Kat-ti nahi ab tanha zindagi
Tarapta hai dil, chale aao
Charha hai ishQ banke bukhaar
Tum ban ke dawa chale aao
Saansein hain tere reham-o-karam par
Tum ban ke hawa chale aao
Dil dharke tau kiske liye
Tum ban ke wajah chale aao
Hai gunaah agar ishQ karna
Tum ban ke sazaa chale aao
Jaane kahan khoyi hai manzil
Tum ban ke dagar chale aao
Main doob jaana chaahoon tujh mein
Tum ban ke bhanvar chale aao
Rakhoon ga daba kar seene mein tumhein
Tum ban ke khanjjar chale aao
Karoonga ibaadat zindagi bhar tumhari
Tum ban ke khuda chale aao
Chooti saansein, na choota intezaar
Tum ban ke kafan chale aao
Bhool jaye shayeri zamaana sara
Tum ban ke Ghazal chale aao...
bahut khoob surat gazal hai iske jawab ki jurrat karne ki gustakhi maaf karen
saza banke main aati aur tumhari zindagi me?
meri chahat ko itna sakht kyon tumne hai maana
main chahti thi tere qadmo me rahna
dhadkna chahti thi dil me tere
teri aawaz hi bas mujhko pukare
sajun tere liye aur tu nihare
simat jaaun main jab dekhe tu mujhko
ki ab aisi nazarr koi nahi hai
ki mujh tak aanch jo de jaae vaisi
tapish aisi kahin koi nahi hai
tera har baat pe vo muskurana
vo baaten karke jaise gudgudana
kabhi toone chua ye kab hua tha
magar teri chuan mujhme kahin hai
ki jis ko phir kabhi koi choo na paaya
vo anchhooi chuan mujh me kahin hai
hamari chahton ka bas sila hai
ki main tujh me aur tu mujhme kahin hai................................