choodiyan....

by Arjun_ on April 08, 2009, 03:45:49 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 24618 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: April 08, 2009, 05:29:40 PM »
Reply with quote
Shukriya Di...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Choodiyan by vsrinivash in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Choodiyan khareedi hain*** by tabassum shakeel in Shayri-E-Dard
Choodiyan by Aarish in Shayari -e- Husn
Arjun_
Guest
«Reply #31 on: April 08, 2009, 05:41:52 PM »
Reply with quote
wow, ajj bahoot waqat baad koi aise non-stop sath likhne wala mila hai Yoindia per.. you are too good!!!

Ho jaaye to koi galati, choodiya mana leti hai
Khanak khanak kar tujhko rijha leti hai

Tere pyar ka hai yah sab jaadu
Mosam deewana bana deti hai

Teri deewangi aor in choordiyo ki khanak
Zindagi ke sare gum bhoola deti hai

Hai koi sung sung, akele main samjha deti hai
, her pal tere sath hone ka ahsaas kara deti hai


apka comment bohat encouraging hai.. waise mera mood kabhi kabhi karta hai aaise likhne ko...

Chum ke yeh teri choodiyon
ek ek karke main pehnau

ho bas tum sirf meri
itna suna kar har galti bhool jaun

sharmili si teri yeh hassi
uss pe yeh khanakti choodiyan

sath jab de jaye inka bindi
main ek pal mein hosh gawa jaun

naak pe saja yeh koka tera
paaron mein bajti natkat payal

na pucho sajni kya jadu chale
karti hain yeh kitna ghayal

har pal hain hum sung sung
ek pal bhi tum na yeh bhulna

payar mera teri choodi sa najuk
dekho sajni! isse kabhi na tordna


Logged
Arjun_
Guest
«Reply #32 on: April 08, 2009, 05:45:47 PM »
Reply with quote
Sitaaron ki jagmagahat se bhi pyaari hai ye chudiyan,
tere naam ki daastaan har waqt sunati hai ye chudiyan,

jis din sajaya tha inhe mere haathon mein tune,
tabse tere naam se hi mehekti hai ye chudiyan,

le lo haath apne haathon mein par zara sambhalke,
kahin chot na kha jaaye ye nazuk nazuk chudiyan,

tu chahe jaaye mujhse door kuchh palon ke liye,
meri har tanhayi ko awaaz deti hai ye chudiyan...


bohaat khoob angel
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: April 08, 2009, 05:54:12 PM »
Reply with quote
apka comment bohat encouraging hai.. waise mera mood kabhi kabhi karta hai aaise likhne ko...

Chum ke yeh teri choodiyon
ek ek karke main pehnau

ho bas tum sirf meri
itna suna kar har galti bhool jaun

sharmili si teri yeh hassi
uss pe yeh khanakti choodiyan

sath jab de jaye inka bindi
main ek pal mein hosh gawa jaun

naak pe saja yeh koka tera
paaron mein bajti natkat payal

na pucho sajni kya jadu chale
karti hain yeh kitna ghayal

har pal hain hum sung sung
ek pal bhi tum na yeh bhulna

payar mera teri choodi sa najuk
dekho sajni! isse kabhi na tordna





wah wah wah laya baat hai, ek ek line jaise dil se sidhi yaha aa gai ho... bahoot khoob... app jitna shayad khumar bhara na likh saku... magar sath dene ki koshish main jo man mai aa raha ahi wo likhne ja rahi hu...

De hath tere hatho main, dil yah mera ghabraaye
Teri is deewangi per, dil ke armaan shor muchaaye

Hun main teri, yah kah kar kyun najar meri jhuk jaaye
Mathe ki bindia, phir mere dil ka haal, tujhe sunaye

Koke ki chamak, her pal tere pyar se hai bardti jaaye
Jo pal ho tere bin, us pal se pahle yah zisam, pran tyaag jaaye
Logged
karndhar
Guest
«Reply #34 on: April 09, 2009, 07:39:00 AM »
Reply with quote
Very nicely written by all of you,
Teen page padhne mein samay laga,
Par aakhirkar samay wasool ho gaya !

Keep Writing !!!
Logged
Arjun_
Guest
«Reply #35 on: April 09, 2009, 09:03:04 AM »
Reply with quote

wah wah wah laya baat hai, ek ek line jaise dil se sidhi yaha aa gai ho... bahoot khoob... app jitna shayad khumar bhara na likh saku... magar sath dene ki koshish main jo man mai aa raha ahi wo likhne ja rahi hu...

De hath tere hatho main, dil yah mera ghabraaye
Teri is deewangi per, dil ke armaan shor muchaaye

Hun main teri, yah kah kar kyun najar meri jhuk jaaye
Mathe ki bindia, phir mere dil ka haal, tujhe sunaye

Koke ki chamak, her pal tere pyar se hai bardti jaaye
Jo pal ho tere bin, us pal se pahle yah zisam, pran tyaag jaaye

Pooja apki kavita bohaat hi payari hai..(Imagination starts from here--> ) ...lekin choodiyon ka jikar nahi aaya..kya koi choodi toot gayi ? mera dil mein kuch ehsaas sa hua hai aaisa

barish mein hui kasham-kash,dhadkan thaer gayi
Pakda jo tera hath zori se,toh choodi toot gayi

teri najuk si kalai,seh na payi zakhm mera
payar ke mahaul mein yeh kaise choodi toot gayi

ya mere raab kaisi hui khata hum se dekho
anjane mein hi sahi,magar choodi toot gayi

yeh Arjun tumse kya ho gaya hai Khumar mein
Kaise tere hath se,sajni ki choodi toot gayi...!!!



** shayad utna acha nahi likh paya jitna mann mein socha tha...
Logged
Arjun_
Guest
«Reply #36 on: April 09, 2009, 09:05:28 AM »
Reply with quote
Very nicely written by all of you,
Teen page padhne mein samay laga,
Par aakhirkar samay wasool ho gaya !

Keep Writing !!!

thanks..aap ne itna waqt diya aor pasand kiya iss thread ko.... Pls contribute ur thoughts as well
Logged
Talat
Guest
«Reply #37 on: April 09, 2009, 11:06:55 AM »
Reply with quote
Sitaaron ki jagmagahat se bhi pyaari hai ye chudiyan,
tere naam ki daastaan har waqt sunati hai ye chudiyan,

jis din sajaya tha inhe mere haathon mein tune,
tabse tere naam se hi mehekti hai ye chudiyan,

le lo haath apne haathon mein par zara sambhalke,
kahin chot na kha jaaye ye nazuk nazuk chudiyan,

tu chahe jaaye mujhse door kuchh palon ke liye,
meri har tanhayi ko awaaz deti hai ye chudiyan...


Verry beautiful, Angel
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: April 09, 2009, 11:07:49 AM »
Reply with quote
Pooja and Arjun Ji, you guys are too good....keep it going !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: April 09, 2009, 11:14:27 AM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya hausla afzaai ka Sanjay Ji  Usual Smile

Very nicely written by all of you,
Teen page padhne mein samay laga,
Par aakhirkar samay wasool ho gaya !

Keep Writing !!!


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: April 09, 2009, 11:15:12 AM »
Reply with quote
Waah Sabne Mashallah, Bohat Achche LIkha Hai,.
NIce One,.

Arjun JI,
Pooja Sis,.
Khwaish JI,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: April 09, 2009, 11:16:06 AM »
Reply with quote


Celmira ji.. aapne bohat achta likha hai.. too gud... mann mein ek umang ki tarah reply ne shabdon ka sahara liya hai..

teri choodiyon se hai meri dhadkan
dekho har pal yeh kare khaan khaan

khamosh kabhi na inhhe hone dena
kho na jaye kahin mera sara jeevan

Payar ke raangon si saji yeh choodiyan
ban phoolon si yeh mehkhein har pal

ghulam ban kar jiyun main bas inka
log chahe kahein pagal hai "Arjun"





Arjun Ji
, Bohot bohot shukriya.....credit goes all to you for starting this beautiful thread.......

Mohabbat Se Hain Ye Bhari Choodiyaan,
Ye Neeli, Ye Peeli, Hari Choodiyaan

Sargam Si Dil Main Bajaati Rahen,
Khan Khan Karti Meri Choodiyan

Suhaag Ki Nishaani Hain Ye,
Haathon Main Mere Teri Choodiyan,

Rang Koi Bhi Ho, Khilti Hain Ye,
Rupehli Hon Ya Sunehri Choodiyan !!
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #42 on: April 09, 2009, 11:23:56 AM »
Reply with quote
bohat khoob Arjun ji bohat pyaara aur maasoom.... Applause Applause
sabki koshish bohat bohat achchi hai. bohat khoobsoorat.......
Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: April 09, 2009, 04:03:34 PM »
Reply with quote
Pooja apki kavita bohaat hi payari hai..(Imagination starts from here--> ) ...lekin choodiyon ka jikar nahi aaya..kya koi choodi toot gayi ? mera dil mein kuch ehsaas sa hua hai aaisa

barish mein hui kasham-kash,dhadkan thaer gayi
Pakda jo tera hath zori se,toh choodi toot gayi

teri najuk si kalai,seh na payi zakhm mera
payar ke mahaul mein yeh kaise choodi toot gayi

ya mere raab kaisi hui khata hum se dekho
anjane mein hi sahi,magar choodi toot gayi

yeh Arjun tumse kya ho gaya hai Khumar mein
Kaise tere hath se,sajni ki choodi toot gayi...!!!



** shayad utna acha nahi likh paya jitna mann mein socha tha...



ha ha ha bahoot bahoot pyari aor masoomiyat se bhari hue kavita likhi hai apne... wah... dil khush ho gaya ... ajj ke waqat main bhi itani masoomiyat hai.. pyar main... good work!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #44 on: April 09, 2009, 04:45:16 PM »
Reply with quote
choodiyan


rang birangi tujhe main choodiyan pehna du
gori gori inn bahaon ko satrangi bana du

innki khaan khaan se meri dhadkan ban jaye
hari neeli laal peeli sab rangon se saja du

dil mein chupi har ek baat samjhe teri choodi
inn par main apni aaj jaan bhi luta du.......

dekhna kahin yeh toot kar bhikar na jaye kahi
teri har choodi mein apni mohhabaat chupa du



ARJUN.. Bahut Pyaare Alfaaz Likhe Hain aapne.. Aur Khaas kar Last Line Bahut Khoob Likhi hai..!! aur Pooja Ji, Khwaish Aur Celmia ji.. Sabhi Ne Is Thread par Likh kar Iski Khubsoorat Ko Aur Badha diya Hai.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 10:53:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer