Dil bhi tumhara, hum bhi tumhare !

by Rishi on October 19, 2004, 09:03:16 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Author  (Read 7458 times)
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #75 on: December 05, 2004, 11:11:31 AM »
Reply with quote
thnax mnajmi Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tumhara Ehsaas by yasir_sensitive in Ghazals
~~~Tumhara Ho~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
*~*Hum Tumhare Hain....Tumhare Sanam ! *~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
***Tumhara Pyar*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
Taish- GEET tumhare, DARD tumhara...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard
myheart_ursonly
Guest
«Reply #76 on: December 05, 2004, 11:24:19 AM »
Reply with quote
thnx mnajmi!!!


hehehe!!!


oye nach de!!


 :oops:
Logged
Rishi
Guest
«Reply #77 on: December 05, 2004, 11:41:08 PM »
Reply with quote
very beautiful words archi....!
aur tum to do lines mein bada kamaal karte ho heart....!
**
kaboo mein nahin hai dhadkan dil-e-bekraar ki,
saanson mein ye kaisi madhoshi chhaa rahi hai,
sambhaale se bhi sambhalta nahi aaj dil mera,
jaan-e-bahaar meri mujh se milne ko aa rahi hai....

kaisa hoga un se pehli mulaqat ka wo manjar,
tham jaayegi dil ki dhadkan unhein dekh kar,
aur bhi surkh ho jaayenge un ke gaal gulaabi,
jhuk jaayengi aankhein jo mujh se milegi nazar....

khamosh lab aur jhuki huyi wo nigaayein un ki,
ya khuda ab kaise hongi un se baatein dil ki,
unki gori kalayiyon mein khanakati chuddiyaan,
ban jaayengi un lamhon mein zubaan un ki....
**
Logged
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #78 on: December 06, 2004, 05:43:26 AM »
Reply with quote
awesome !! :D

feel like writin a reply though i dun have time right now!!But dat was reallly reallllyyy breathtakin! Usual Smile
Logged
Rishi
Guest
«Reply #79 on: December 07, 2004, 12:01:06 AM »
Reply with quote
Thanx Archi....!
**
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #80 on: December 08, 2004, 05:32:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
very nice rishi ji!!!



Sota raha aapke khwab dekhthe hue raath bhar.
Ab din aaya tho kya hua,koi tikana nahi is khwab ka...



 Puzzled !


superb u all........  heart..........rishi......maansi.......sabhi logon ki bahot acchi shayari  kisi ki bhi kisi se kam nahin hai.......nice work all.........

Maine Jis Lamhe Ko Pooja Hai Use Bas Ek Baar
Khwab Ban Kar Teri Ankhoon Mein Utarta Dekhon....................
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #81 on: December 08, 2004, 07:45:13 AM »
Reply with quote
Bahut ache Waheed ji...
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #82 on: December 08, 2004, 07:47:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Rishi"

**
kaboo mein nahin hai dhadkan dil-e-bekraar ki,
saanson mein ye kaisi madhoshi chhaa rahi hai,
sambhaale se bhi sambhalta nahi aaj dil mera,
jaan-e-bahaar meri mujh se milne ko aa rahi hai....

kaisa hoga un se pehli mulaqat ka wo manjar,
tham jaayegi dil ki dhadkan unhein dekh kar,
aur bhi surkh ho jaayenge un ke gaal gulaabi,
jhuk jaayengi aankhein jo mujh se milegi nazar....

khamosh lab aur jhuki huyi wo nigaayein un ki,
ya khuda ab kaise hongi un se baatein dil ki,
unki gori kalayiyon mein khanakati chuddiyaan,
ban jaayengi un lamhon mein zubaan un ki....
**




Kamaal ka likha hai Rishi bhai..
Maja aa gaya...


NaaaM....

Ye jo is seene mein humaare, dill basa hai
Uspe humne tumhaara, naaam likha hai

Jeene ke liye sab duniya mein, Saaans lete hain
Jeete hain hum bhi lekin, Tumhaara naam lete hain
Dhadka hai jab-bhi ye dil, Tumhein yaad kiya hai
Ye jo is seene.......

Jaisa hai naam tumhaara, Bilkul hi waise ho tum
Phool khilte hain har taraf, Jo muskuraate ho tum
Tumhaare liye hi to, ye "KaMaL" khila hai
Ye jo is seene.......
Logged
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #83 on: December 08, 2004, 05:50:35 PM »
Reply with quote
V nice Kamal Usual Smile
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #84 on: December 09, 2004, 07:45:18 AM »
Reply with quote
thanks mansi ji
Logged
akela
Guest
«Reply #85 on: December 09, 2004, 08:56:31 AM »
Reply with quote
nice all of you
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #86 on: March 13, 2005, 08:00:08 PM »
Reply with quote
:cry: Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey
hain

Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain

Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain

Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain

Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain

"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain

yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain

Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain :cry:
Logged
sanya310
Guest
«Reply #87 on: March 13, 2005, 08:02:56 PM »
Reply with quote
wah wah kya likha hai roomaharis!!! bohot hi ache n touching
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #88 on: March 13, 2005, 08:10:00 PM »
Reply with quote
Hope waits upon the flowry Prime,
And Summer, tho' it be less gay,
Yet is not look'd on as a time
Of Declination and Decay,
For with a full Hand that does bring
All that was promis'd by the Spring.
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #89 on: March 13, 2005, 08:13:33 PM »
Reply with quote
:cry: omer bher tarasta raha mai roshani kay liay
Dia mairay haath mai de ker hawanoon ko taiz ker dia

Rooti hui aankhain hustay huay lubb
Taqdeer ne kia haseen intikhab-e-saza ker dia


Thak gya mai us se kehtay kehtay dil ki baat mager
Pal mai us ne kahi baton ko unkahi ker dia

Takra jaoon mai kabhi jo muqader se to pochoon
Kyon hyat hi mai mujhay behyat ker dia :cry:
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 08:40:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer