Hum Mohabbat Kareinge

by CoolGirl on December 11, 2006, 12:19:51 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
ReplyPrint
Author  (Read 6941 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #120 on: February 02, 2007, 06:21:47 PM »
Reply with quote
dil chahta hai us say shikway shikayat karoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai?



dil chahata hai k us say toot kar pyar karoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai ?



dil chahta hai k us k seenay say lag kar so jaoon lakin!
sochta hoon k woh mera kiya lagti hai?



dil chahta hai k us say laroon aur manaoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai?



dil chahta hai k us ko ajj bata doon k!
.......wo hi meri sab kuch lagti hai!!



kash koi yeh samjah bhii leeeeee.......
k WOH hamari kya lagti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabbat by sabreena in Shayri-E-Dard
mohabbat by VIKRANT in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Mohabbat Ki Keemat Adaa Hum Kareinge,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CoolGirl
Guest
«Reply #121 on: February 02, 2007, 06:23:16 PM »
Reply with quote
Bas thoda sa pyaar maanga tha......
Nahi tumse tumhaara sansaar maanga tha
maanga to bas thoda sa pyaar maanga tha

Thodi si hansi,thodi si muskaan
thodi chamak aankhon ki,thoda hothon ka bayaan
thoda sona tera rakh ke mere kandhe par sar
thoda ghoomna mere saath ho baarish mein tar

Nahi tumse chahat ha iqraar maanga tha
maanga to bas thoda sa pyaar maanga tha

Thodi justuzoo ki zindagi ne bahaar ki
thodi aarzoo ki aankhon ne tere deedaar ki
thodi tamanna ki baahon mein tumhe jhulanne ki
thodi khwahish ki teri chaah mein khud ko bhulaane ki

Nahi tumse isse jyada koi adhikaar maanga tha
maanga to bas thoda sa pyaar maanga tha

Khwaab to tha ki tumhe ek din apna kah sakoon
karib itna aaoon ki sada tere dil mein rah sakoon
tu meri khushboon aut main tera phool ban jaaoon
tu meri aatma aur main tera rasool ban jaaoon

Par kahan maine in khwaabon ka saakaar maanga tha
maanga to bas thoda sa pyaar maanga tha.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #122 on: February 03, 2007, 08:45:37 AM »
Reply with quote
Ek baar Tujh ko kya dekha
Har pal wahi Chehra dekha,
Dhadkane Ruk si gayi,
Waqt ko Thehra dekha....

Ek baar Tujh ko kya dekha
Is Dil ko tarasta dekha,
Tu jab dheere se muskurai
Ek phool ko hasta dekha..

Ek baar Tujh ko kya dekha
Badla sa ye jahan dekha,
Zameen kahan thi khabar nahi,
Kadmon mai Aasman dekha....

Ek baar Tujh ko kya dekha
Khud se khud ko juda dekha
Yun ruk gayi Tujh per Nazar
Jaise aaj Khuda dekha....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #123 on: February 06, 2007, 08:54:52 AM »
Reply with quote
Kabhi khwabon ke saath yoon hi nikal jaate hain,
Tujhe khwabon mein dhundte hain aur phir kho jaate hain,
Teri yaad ne na hone diya tanha hame,
Akele hue to tujhe yaadon mein milne chale jaate hain,
Raho tum lakh duur par dil se duur nahi ho,
Jab dil dhadakta hai tumhe apne pass hi paate hain,
Sharton ka silsila to nahi hai pyaar mein,
Bas hudd se zyada tumhe pyaar kiye jaate hain,
Kiya thha wada miloge kisi mod pe,
Har mod pe muskura ke nikal jaate hain,
Tumse koi shikwa koi shikayat nahi hai in aankhon ko,
Yeh to aansu hain bas yoon hi umad jaate hain.
Logged
skumar
Guest
«Reply #124 on: February 06, 2007, 09:13:50 AM »
Reply with quote
hi coolgirl.......
quite nice posts here.....gr8 work...
pad kar acha laga.....keep it up...cheersss..Usual Smile
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #125 on: February 06, 2007, 09:53:07 AM »
Reply with quote
thnx kumar jee
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #126 on: February 06, 2007, 10:21:14 AM »
Reply with quote
izhar-e-muhabbat karne ka mila na waqt
unse aakhari mulakat ka mila na waqt
dil mein to hamari dharak rahi thi muhabbat
per unko kehna ka mila na waqt
aankhon se to beyan hoti rahi hamari muhabbat
per unko zabaan-e-ishq samjhane ka mila na waqt
woh to ban chuke the hamari dil ki dharkan
unke dil mein jaga banane ka mila na waqt
unke hi khayalo mein khoye rahe hum
per unki dil ki baat janne ka mila na waqt
naadan dil samaj behta kerte hai woh bhi pyar
per dil ko dard-e-ishq samjhane ka mila na waqt
dil ke aarman aanson mein begaye RANI
Khuda ko ye aarman poora karne ka mila na waqt..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #127 on: February 07, 2007, 03:45:01 PM »
Reply with quote
Tumhain hi har pal sochta rehta houn
Tumhare khayalon mein khooya rehta houn

Ajub si hey dill mein yeh khashmakash
Tum se milke hua houn mein mukamal

Zindagi tu ek safar hey har haal beet hi jani thi
Laikin tumne zindagi mein ake iski tarjumani ki

Tumse milne se pehle zindagi bekaif thi
Tumse milke zindagi ko bohut rahat milli

Tumhari muskurahat jub kaano mein atti hey
Mere pyaar ki tishnagi ko aur burhati hey

Suna hey pyar mein judai ka durd tarpata hey
Yahan tu judai ka sochna bhi dill larzata hey

Tumse milke zindagi ko ek naya roop milla
Tumhare pyaar se hi dill ko bohut sakon mila

Tumhara pyaar hey jisne mujhay mukamal kia hey
Meri tareek zindagi mein yeh aisa roshan diya hey

Tumse juda hoke aub hum jee na payain gey
Gar bichray tumse tu hum bikhar jaain gey
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #128 on: February 09, 2007, 08:56:26 AM »
Reply with quote
kash koi mujhse bhi pyar kerta
dilke aashiyane mein mujhko rakhta
mere khayalon main khoya rahta
mujhko hi apne dilki dharkan kehta
kabhi jo main root jati to mujko woh manata
lamha lamha bas pyar ki baatein hoti
chahat ke phoolon se mujhko woh sajata
apni baahon main bhar ke mujhko
meri zulfon taale khoya rahta
mujhko banake apni RANI
dur kahin uda lejata
bas mere liye jeeta mere liye hi maarta
kash koi mujhse bhi pyar kerta.....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #129 on: February 10, 2007, 09:05:55 AM »
Reply with quote
Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai
 
 
Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai
 
 
Ab ya duniya mari muha veeran si lagti hai
Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai
 
Jis des bhi jao tum who des tumhara ho
               Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #130 on: February 10, 2007, 09:27:31 AM »
Reply with quote
nadan dil aanjan tha dard-e-ishq se
najane kab kaise dil main basgaya koi chupke se



unke khayalon main gumsum rehta tha
bezuban dil ko maine samjhaya tha
na ker muhabbat tu pachtaega
chahat ke gham se



nanhe se dil main aarman koi jaga
naye naye sapne wo chunne laga
na pata tha isko toot jayenge wo
sheeshe ki tarha se



kya kare dil hai k manta nahi
ishq to kerle per ye janta nahi
ishq hota nahin sabhi keliye
pyar se pyar jo kare wo milta hai kismat se
nadan dil aanjan tha dard-e-ishq se......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #131 on: February 12, 2007, 12:32:08 PM »
Reply with quote
Tere hoton ki hansi banane ka khwab hai
Tere agos mein simat jane ka khwab hai,
Tu lakh bachale daman ishq ke hathon
Aasma bankar tujhpar chha jane ka khwab hai,

Azmaish yu to achi nahi hoti ishq ki
Tu chahe to teri taqdir banane ka khwab hai,

Vo maut bhi laut jaye tere darwaje pe aake
Tujhe aisi zindagi dene ka khwab hai,

Jee bhi lenge agar jeena pade tere bina
Lekin tujh par to mar mitne ka khwab hai.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #132 on: February 12, 2007, 12:33:02 PM »
Reply with quote
Teray sath chaltay chaltay Teray khwab jeet loon
teray aankhon ke piyalo main kuch sapne boun loon
teray sath zindagi ka ye safar mukammal hain
tu kahe to tujh ko apne baahon main baar loon
ab to tu hi bas chuki hai rooh ki gerayi tak
teray sath hi ye chandni raatein beeta loon
na hona ab juda na kerna ab tanha
teray pyar ki panna main mein ye zindagi beeta loon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #133 on: February 14, 2007, 06:41:27 AM »
Reply with quote
Dilme Aye Wo Is Tarah,
Din Raat Behak Gaye Kis Tarah,
Na Puche Koi Halaat-E-Dil,
Intezar-E-Deedar hai Har Jagah
aankhon main chaya hai unhi ka manzar
chera dekhe unka har jagah
chori chori humko satate baut hain
sapno main hi milne aaye woh har dafah
dil ko ab aaram nahi aata
unke pyar main hi milti hai issko dawah
intezar-e-aarzo main kahin saansein taham na jaye
tere deedar ko tarse aankhein meri har jagah
ab to unke hi panna main beetani hai zindagi
mit jaye yeh dooriyan kisi tarah....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #134 on: February 14, 2007, 08:08:00 AM »
Reply with quote
Good job Cool girl. U will definetaly win the contest.

Best of luck
Divya
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:43:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer