Main Khwaab Ke Safar Mein Hoon...

by Aryaan on April 09, 2006, 03:11:30 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 6841 times)
angel4u
Guest
«Reply #45 on: June 17, 2006, 09:54:51 PM »
Reply with quote
Aryaan. Very very very nice..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #46 on: June 18, 2006, 12:30:37 AM »
Reply with quote
Thanks a lot SD & Angel...
Logged
abeera
Guest
«Reply #47 on: June 18, 2006, 05:56:11 AM »
Reply with quote
palkoon ki dehliz per aik sapna rakhna parta hai
khud ko her haal mein zinda rakhna parta hai
rishtay ki yeh door bahut kamzoor sahi
is dunya se koi to rishta rakhna parta hai
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #48 on: June 18, 2006, 06:13:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Aankhon ko choo rahe hain sitaaron ke narm hath
Palkon pe aa ruki hai tamanna-e kehkashan
Zulfon ke taar taar se phoot-ti hain mastiyan
Hoton ko choomti hai shararat se chaandni
Pairon ki laghzishein hain surahi ki hichkiyan
Raaston mein harr taraf hain gul-e-yasmeen khiley
Khushboo mein kyun na bandh lein phoolon ke haar hum
Sunte hain chaandni yunhi barse gi raat bhar
Mujh ko pukariye tau, zara ehtiyaat se
Aisa na ho keh kaanch ki deewaar gir pade
Main khwaab ke safar mein hoon
Aahista boliye...


JUST GREAT!!!!!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #49 on: June 20, 2006, 01:55:59 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Isha & Good One Abeera...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #50 on: July 05, 2006, 09:20:06 PM »
Reply with quote
Zindagi khwab sahi, khwab-e-pareshan hi sahi
Dil yeh kehta hai yehi khwab ki tabeer bhi hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #51 on: July 05, 2006, 09:30:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
   
Aray Pagli
Kaha tha na
Mujhe tum is tarha sotey huwe mat choar kar jana
Mujhe beshak jaga dena
Bata dena
Mohabbat ke safar mein sath mere chal nahi sakti
Judayi ke safar mein mere sath chal nahi sakti
Tumhein raasta badalna hai
Meri had se nikalna hai
Tumhein kis baat ka darr tha
Tumhein jaane nahi deta
Kaheen par Qaid kar leta

Aray Pagli
Mohabbat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti
Jisey raasta badalna ho usey raasta badalne se
Jisey had se nikalna ho usey had se nikalne se
Na koyi rok paya hai
Na koyi rok paye ga

Tumhein kis baat ka darr tha
Mujhe beshak jaga detin
Main tum ko dekh hi leta
Tumhein koyi duaa deta
Kam-az-kam yun tau na hota
Mere sath haQeeQat hai

Tumhare baad khone ke liye ab kuch nahi baaQi
Magar khoney se darta hoon
Main ab soney se darta hoon


ARYAAN too good..................too good

sone se abbh darti hoon
usse milne se darti hoon
kaheen chehra uska samane aah na jaye
isse liye palkein baandh karne se darne laghi hoon

usse raat, usko baat kar tu jaithi
usse aik baar jee bar kar dekh tu leti
aaj itni sharmindagi mehsoos na hoti
apne dil ka chain na luothi

raat mein na dinh mein chali jaithi
usko muskurate huwe dekh kar jaithi
uski duayein saath lekar jaithi
tu aaj itni kamzoor na parti :D:D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #52 on: July 10, 2006, 08:31:51 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Anjani & Nice Reply.. Usual Smile

Good One Jalpari....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #53 on: July 11, 2006, 06:51:04 PM »
Reply with quote
Yeh Khwaab Jali Aankhein
Yeh Sehmi Huwi Palkein
Aansoo Hai Keh Shola Hai
Dil Hai Keh Dia Hai
Ik Zehar Mohabbat Hai
Tum Ne Bhi Piya Hoga
Hum Ne Bhi Piya Hai
Hum Pyaas Ke Maaron Ne
Barsaat Ke Paani Se
Ik Boond Nahi Maangi
Ashkon Ko Jalaya Hai
Honton Ko Siya Hai...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #54 on: July 12, 2006, 01:42:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob Aryaan , Anjani N Jalpari
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #55 on: July 13, 2006, 07:45:18 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Ranjana...
Logged
abeera
Guest
«Reply #56 on: July 14, 2006, 07:35:21 AM »
Reply with quote
asalam alikum aryaan good to  see u back on yo india
mein ne bhi kuch naya likha hai

us ki aahat mehsoos karti hoon
us ki baatoon pey hansti hoon
yeh kaisi mohabbat hai meri
 paas hai phir bhi intezar karti hoon
================================
zindagi mein kitne hi chehray dekhay
na nazar mein koi samaya dil ban ker
dharkanoon ney naye saaz cheray
use maine apna banay us ka ban ker
Logged
jalpari
Guest
«Reply #57 on: July 14, 2006, 05:24:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Yeh Khwaab Jali Aankhein
Yeh Sehmi Huwi Palkein
Aansoo Hai Keh Shola Hai
Dil Hai Keh Dia Hai
Ik Zehar Mohabbat Hai
Tum Ne Bhi Piya Hoga
Hum Ne Bhi Piya Hai
Hum Pyaas Ke Maaron Ne
Barsaat Ke Paani Se
Ik Boond Nahi Maangi
Ashkon Ko Jalaya Hai
Honton Ko Siya Hai...

bohut achay Aryaan.. baki sab ne bhi bohut acha likha!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #58 on: July 18, 2006, 04:15:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Yeh Khwaab Jali Aankhein
Yeh Sehmi Huwi Palkein
Aansoo Hai Keh Shola Hai
Dil Hai Keh Dia Hai
Ik Zehar Mohabbat Hai
Tum Ne Bhi Piya Hoga
Hum Ne Bhi Piya Hai
Hum Pyaas Ke Maaron Ne
Barsaat Ke Paani Se
Ik Boond Nahi Maangi
Ashkon Ko Jalaya Hai
Honton Ko Siya Hai...


bahut khoob aryan

ye dil tapsh hi hai jo
zehan me ghutai hai
koi khvab jala hoga
kyun dhuna utha hai
kya tumne phir sada di
 dil chonk ke jaga hai
dhadkan bhi meri tez hai
aankhen ye pochhti hain
 tu kahan chhupa hai
kitni hi raaten hamse khafa
ham jo na sote the
kitani hi shame hamse roothi
 raah teri dekhte the
khoe khoe ham the rahe
sham ko na dekha
 tujhko hi socha hai
ab phir ye kaise aahaten hain
dil ko jagati hain
 tu hai ki hawa hai
aisa hai kai baar hua
hamne socha tu hai par
 par tu na wahan tha
ik khwab hi sa hai tu
dekha bhi hai tujhe ya
socha hi faqqat hai
tu dil ka ik bharam hai
ya zahan ki hai sazish
 ham ko na pata hai
ye tu hi hai na dil me mere
tees sa rahta hai
aankhon se baha hai
ab ban bhi ja haqeeqat
kabtak yun sataega
kya dil na tera hai?
Logged
ashishjethwa8717
Guest
hi
«Reply #59 on: July 18, 2006, 04:20:37 AM »
Reply with quote
hi nice tabassum


Tu Kaun hei meri sakhi...
Batla de itna zara...
Chup kei hei tu kyon kadhi...
aabh saamne toe aa zara...

Mere geet ke bol ho?...
Ya vastu anmol ho...
Naino ka khawab ho?...
Ya mere maun ka jawab ho...
Kya chaaya ho meri?...
Ya koi noor pari...
Kya dulhan ho meri?...
Ya koi sanam meri...

Bechein mein rehta hun...
Har pal kaise guajara...
Chup kei hei tu kyon kadhi...
aabh saamne toe aa zara...

Jogi ki jogan ho?...
Ya koi suhagan ho...
Meethi si baat ho?...
Ya chandani raat ho...
Tum joe bhi ho...
Mujhe aachi lagti ho...
E khushiyon ka gehna...
Mere sang tum hi rehna...

Inkaar na tum karna...
Abh maan le tu kehna...
Chup kei hei tu kyon kadhi...
aabh saamne toe aa zara...
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 05:41:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer