Main Samander Hoon...

by Aryaan on November 18, 2005, 01:38:32 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4893 times)
Aryaan
Guest
«Reply #30 on: December 05, 2005, 01:10:36 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Princess...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main nashay main hoon by Syed Imran in Ghazals
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
..hoon main... by dead heart in Ghazals
bhare samander main manjhi ko by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #31 on: December 05, 2005, 01:14:23 PM »
Reply with quote
Dil chahta hai mera mujhe pyar tum beshumaar karo,
Mere har inkaar ko tum ikraar samajhaa karo,
Chhaahoon mein tumhe per izhaar kar na sakoon,
Izhaar karo kuch aisa ke inkaar kar na sakoon..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: December 05, 2005, 06:00:03 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Abeera...

Talluq Toarta Hoon Tau Mukammal Toar Deta Hoon
Jisey Main Choar Deta Hoon, Usey Main Choar Deta Hoon
Mohabbat Ho Ya Nafrat, Bhara Rehta Hoon Shiddat Se
Jidhar Se Aaye Yeh Dariya, Udhar Ko Moar Deta Hoon..


WAH, Bahoot khoob Aryaan!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: December 05, 2005, 06:01:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "gesu_kapoor"
Dil chahta hai mera mujhe pyar tum beshumaar karo,
Mere har inkaar ko tum ikraar samajhaa karo,
Chhaahoon mein tumhe per izhaar kar na sakoon,
Izhaar karo kuch aisa ke inkaar kar na sakoon..


wah kaya baat hai gesu ji, bahoot hi khoobsoorat likha hai!!!

Izhaar karo kuch aisa ki inkaar kar na saku.... wah!! bahoot khoob!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: December 06, 2005, 05:50:05 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Pooja....

Bohat achey Gesu....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #35 on: December 06, 2005, 05:53:23 PM »
Reply with quote
nice gesu ji...
Logged
abeera
Guest
«Reply #36 on: December 07, 2005, 02:08:51 PM »
Reply with quote
mohaabbaton ke nisaab jaisa
woh aik chehraa kitaab jaisa

mehekta hai merey qalb-o-jaan mein
woh shakhs kiltey ghulaab jaisa

yaqeen bhi hai woh merey dil kaa
gumaan bhi hai woh saraab jaisa

main sochoun uss ko toh tut jaaye
khayal-e-naazuk, habab jaisa

wo bansari hai jo hont rakhkhoon
jo dekhoon chu ke, rubaab jaisa

danak ke rangon main woh chhupa hai
nigah-e-baaran main khwaab jaisa

qamar gunnah hai yahan mohabbat
mujhey gunna yeh sawab jaisa
Logged
abeera
Guest
«Reply #37 on: December 08, 2005, 01:22:35 PM »
Reply with quote
chaha tha use rooh ki  gehraiyon ke saath
zinda hoon apni zaat ki tanhaiyon ke saath
roka nahin us ko bichharne ke waqt bhi
apni wafa pe naaz tha sachaiyon ke saath

asalam alikum ARYAAN
waiting for something new from u
ALLAH HAFIZ
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #38 on: December 08, 2005, 01:38:00 PM »
Reply with quote
Bohat hi achey Abeera...

Aap zara Dard section mein chakkar lagaiye na...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: December 08, 2005, 05:56:27 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... bahoot khoob abeera

Apni wafa per naaz tha sachhaiyion ke sath!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #40 on: December 08, 2005, 06:01:11 PM »
Reply with quote
tooooooooo gud everyone....Aryaan ji bahut bahut acha likha hai..very simple n mind blowing. Keep writing.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: December 08, 2005, 07:56:57 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Nikki...
Logged
abeera
Guest
«Reply #42 on: December 09, 2005, 12:27:48 PM »
Reply with quote
asalam alikum ARYAAN

kaha tha kis nay kay aehd-e-wafa karo us say

jo yoon kia hay to phir kion gila karo us say

naseeb phir koi taqreeb-e qurb ho kay na ho

jo dil main hoon wohi batain kia karo us say

ye aehl-e-bazm tinak housla sahi phir bhi

zra fasana-e-dil ibteda karo us say

ye kia kay tumhi gham kay fasanay kaho

kabhi to us kay bahanay suna karo us say

Faraz tark-e-ta'al'luq to khair kia hoga

ye behtar hay kay kam kam mila karo us say
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: December 10, 2005, 01:48:45 AM »
Reply with quote
Waleikum assalaam Abeera..

Bohat hi khubsoorat poem likhi hai aap ne...keep writing!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #44 on: December 10, 2005, 07:30:32 AM »
Reply with quote
meri yaadon ko yuin na tatola kijiye
veeranio main baharon ko na tola kijiye
bahate hain ansoo tere tasawur ke liye
mere aanchal main yuin na dola keejiye.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 10:42:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer