Main Tau Mohabbat Hoon...

by Aryaan on June 26, 2005, 11:22:36 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2152 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2005, 11:00:05 PM »
Reply with quote
Bohat bohat shukriya Dolly, Nidhi & Talat.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
MAIN MOHABBAT HOON!!!! by Munahil Ali in Shayri-E-Dard
Main Tau Tum Se Mohabbat Karta Hoon... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
MaiN moHabbat hooN moHabbat ko bachaa le koie. by Ghulam Haider in Ghazals « 1 2  All »
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: July 05, 2005, 02:03:58 AM »
Reply with quote


Na jaane kyun dil ko yeh ehsaas hota hai
Tu nahi hai paas phir bhi paas hota hai
Iss dil-e-nadaan ne tujh ko chaha bhi bohat hai
Tere hi dam se tau zindigi ka ehsaas hota hai

Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: July 17, 2005, 01:24:59 AM »
Reply with quote


Haan Pyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibaadat Ki Hai
Main Ne Rasmon Se, Riwajon Se, Baghawat Ki Hai

Apni Makhmoor Nigahon Mein Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Kar Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai

Qubool Kar Ke Mujhe Thukra Diya Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat Ki Hai

Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya Hai Khush Bakhti
Apne Maalik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai

Karoon Main Kaise Adaa Shukr Iss Nawazish Ka
Mere Mehboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai

Khud Se Bhi Barh kar Main Ne Teri Chahat Ki Hai
Haan Pyaar Nahi, IshQ Nahi, Teri Ibadaat Ki Hai




makhmoor nigahein= nasheele nain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: July 17, 2005, 01:43:24 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Y.G................... keep it up.......
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #19 on: July 17, 2005, 05:59:24 AM »
Reply with quote

 KE  MAHOBAT  TO KARTE  HAI  SABHIE ,
 AUR MEHBOOB KA INTEZAR BHI KARTE HAI SABHIE ,
 PAR AE MERE HAMNAWA YE MAHOBAAT HAI MAHOBAAT,
 ISE CHUMTE HAI KHUSIYON KE SATH SABHIE,
 AUR  GALE  LAGATE  HAI  BESHUMAR  GAM  KABHIE
[/color].    


Logged
ImaN_
Guest
«Reply #20 on: July 17, 2005, 02:22:55 PM »
Reply with quote
Main Sahil Pe Likkhi Howi Ibaarat Nahi
Jo Lehron Se Mit Jati Hai

Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi
Jo Baras Ke Tham Jati Hai

Main Khwaab Nahi
Jisay Dekha Or Bhula Diya

Main Shama Nahi
Jisay Phoonka Or Bhuja Diya

Main Hawa Ka Jhonka Nahi
Jo Aaya Or Guzar Gaya

Main Chaand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Gaya

Main To Wo Ehsaas Hoon
Jo Tujh Mein Lahoo Bankay Gardish Kare

Main To Wo Rang Hoon
Jo Tere Dil Pe Chadhay Or Kabhi Na Mitay

Main Wo Geet Hoon
Jo Tere Labon Se Juda Na Hoga

Main To Wo Parwana Hoon
Jo Jalta Rahega Magar Fana Na Hoga

Khwab, Ibaarat, Hawa Ki Tarha
Chaand, Boond, Shama Ki Tarha

Mere Mitnay Ka Sawal Nahi
Kion Ke Main To Muhabbat Hoon

Or Muhabbat Koi Sawal Nahi !
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 08:02:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer