mehekta geet *****

by ranjana on August 12, 2006, 07:40:35 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1945 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: August 22, 2006, 03:39:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
jaane yah mera bharm hai ya tere pyaar ki chhaaya hai
iss duniya ki bheed mein bas tujko hi apna paaya hai
 
jab bhi khud ko tere khayalo  mein gum paaya hai
mujhe waqt wahi taharata sa nazar aaya hai........
 
bitaaye toh they tere saath sirf zindagi ke chaar pal
fir bhi unhi lamaho mein aaj tak khud ko qaid paayaa  hai
 
jaanati hun ki ab tu wapas laut kar na aayega
fir bhi  har waqt khud ko tere intzaar mein paaya hai
 
jab bhi jala hai dil mera waqt ke haadaso se kabhi
khud ko tere pyaar ke shabado ki barish mein beegata hua  paaya hai,
 
jaata bhi toh jaata kaise tera khayaal mere dil se
kya kushbu ko kabhi koi phoolo se alag kar paaya  hai...............


behad khubsoorat likha hai aapne.. RANJANA....

LAJAWAB shayari ki hai aapne....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rastariya Geet by Amit Janglan in Shairy-E-Watan
preet ke geet...................... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq
geet by shambhu_007 in Miscellaneous Shayri
ghazal ka geet by KAVI AMIT SAGAR in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Geet jab mar jaayenge... by sourabh345 in Shairy-E-Watan
ranjana
Guest
«Reply #16 on: August 23, 2006, 04:15:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
Quote from: "ranjana"
jaane yah mera bharm hai ya tere pyaar ki chhaaya hai
iss duniya ki bheed mein bas tujko hi apna paaya hai
 
jab bhi khud ko tere khayalo  mein gum paaya hai
mujhe waqt wahi taharata sa nazar aaya hai........
 
bitaaye toh they tere saath sirf zindagi ke chaar pal
fir bhi unhi lamaho mein aaj tak khud ko qaid paayaa  hai
 
jaanati hun ki ab tu wapas laut kar na aayega
fir bhi  har waqt khud ko tere intzaar mein paaya hai
 
jab bhi jala hai dil mera waqt ke haadaso se kabhi
khud ko tere pyaar ke shabado ki barish mein beegata hua  paaya hai,
 
jaata bhi toh jaata kaise tera khayaal mere dil se
kya kushbu ko kabhi koi phoolo se alag kar paaya  hai...............


behad khubsoorat likha hai aapne.. RANJANA....

LAJAWAB shayari ki hai aapne....


shukriya Vicky .... :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: August 23, 2006, 08:04:19 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Ranjana Sis..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: August 24, 2006, 04:46:07 AM »
Reply with quote
shukriya Azeem bhai ...

bas ek baar mujhe kahi se awaz toh do
ki dil yeh aaj bada betaab hai
sulag rahi hai aaj kyu saanse meri
yeh aaj kaisi barsaat hai
fir se suna de mujhe koi lafaz pyaar ka
ki mehke uthe bas geet mere
aaj mere labo per ruki hui bas tere hi pyaar ki baat hai!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: August 27, 2006, 12:30:29 PM »
Reply with quote
Ur Always Welcome Ranjana Sis..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: August 27, 2006, 02:04:26 PM »
Reply with quote
aaj fir se koi nayi baat karo
is mehekti chandani ko fir se guljar karo

kuch toh sakoon aaye ab is tadapti rooh ko
aaj fir se prem ke geet mein wahi anuraag bharo
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #21 on: August 27, 2006, 04:22:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
aaj fir se koi nayi baat karo
is mehekti chandani ko fir se guljar karo

kuch toh sakoon aaye ab is tadapti rooh ko
aaj fir se prem ke geet mein wahi anuraag bharo


Nayi baaton se kuch naye Afsane bune jayenge......
Mahobbat ko meri na jaane kya kya naam diye jayenge......

Rakh doon jo apna Seena bhi Cheer ke in Banzar Dilon ka saamne.....
Tab bhi yeh behte khoon ko Zakhm ki Saugaat he batayenge.....!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: August 28, 2006, 03:58:01 AM »
Reply with quote
yun hi cher de koi geet tu suhana
mat soch kya kehega zamaana

yeh dagar maana hai bahut hi mushkil
per aata hai hame bhi pyaar ki rasmo ko nibhaana

jab bhi zindagi mein koi baat lage bigadane
aa ke bas tum mera sahara ban jaana !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: August 28, 2006, 12:47:28 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Ranjana Sis And Gaurav Bhai,..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #24 on: August 30, 2006, 11:55:33 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA .............

Milna kabhi-ladna kabhi, aana kabhi-jana kabhi,
jhuka palken ada-andaaz se, sharmati hai kabhi......

utha nazren phir dil pe kayamat dhati hai kabhi,
karke ishare mohabbat ke, dil dharkati hai kabhi.....

mahakte apne geeto se, phir mahakati hai kabhi,
raaton ko khwaabon me aake, jagaati hai kabhi.......

shabnam ko aa jaye hansi, aise muskurati hai kabhi,
husn-e-jalwon se, dil pe churiyan chalati hai kabhi........

kamsin apni nigahon se jala ke mere jism ko wo,
aa ke kareeb mere, seene se lag jaati hai kabhi......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: August 30, 2006, 12:05:10 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... bahoot khoob BS JI, Ranju and Vicky....

muskura kar jo tum najre churate ho
apni isi ada se dil ko chura le jaate ho

kabhi payar, kabhi gussa, kabhi samjhate ho
kis kadar her roop mai payaar barsaate ho

kabhi ruth kar, ghanto muje satate ho
Ruth jaau jo main, ghanto muje manate ho

jab bhi pukara dil ne, ankhon ke samne aa jaate ho
khamosh meri muhobat per, apna janoon jataty ho

Tadap kar meri muhobat mai, jab shikayt per atty ho
kar ke muje bekaraar, apna deewana banaye jaate ho
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #26 on: September 07, 2006, 04:54:04 AM »
Reply with quote
Waah...!!

Agar hai yeh tumhare Pyar ki Khushbu.....
Toh mere bhi yeh Mahobbat ke Bol hai.....

Gunguna lo tum bhi Kuch Pyar ke Afsaane.....
Zindagi se jayada ab tumhari Khushi hume Anmol hai.....

Paana nahi ab tumhe....bas tumhare Saath chalte rehna hai.....
Likhte rehna kuch Nazm Naam tumhare aur use Ghazal me kehna hai.....!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #27 on: September 07, 2006, 06:00:52 AM »
Reply with quote
har lafaz ghazal aaj ban jaaye
har lafaz aaj muskaraaye

agar tu mujhe apana aaj keh de
toh mere bechain dil ko aaj qarar aaye

cher de aaj mere dil ke taaro ko kuch aise
ki aaj har dharkan pyaar ka saaz ban jaaye
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:09:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer