mera adhoora khab hai ...............

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 06:46:34 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7]
ReplyPrint
Author  (Read 7445 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #90 on: July 21, 2005, 05:11:04 PM »
Reply with quote
shabab aaya kisi but par fida hone ka vaqt aaya
meri duniya me bande k khuda hone ka vaqt aaya

unhe dekha to zahid ne kaha imaan ki ye hai
k ab insan ko sajda rava hone ka vaqt aaya

takallum ki khamoshi keh rahi hai harf e matlab se
k ashk aamez nazaro se ada hone ka vaqt aaya

 

khuda jane ye hai auj e yaqin ya pasti e himmat
khuda se kah raha hun nakhuda hone ka vaqt aaya


hame bhi aa pada hai doston se kaam kuch yani
hamare doston k bevfa hone ka vaqt aaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi ak khab hai by muneeb in Shayri-E-Dard
Khab by Sonu in Miscellaneous Shayri
--------adhoora-------- by killbill in Shayri for Khumar -e- Ishq
खाब(khab).......{ambu} by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Khwab adhoora sa.... by Iraprash in Shayri for Khumar -e- Ishq
sandhaya
Guest
«Reply #91 on: July 22, 2005, 11:56:16 AM »
Reply with quote
Usne jo kiya tha vada sadiyon pehle
aaj uske luttke bhikarne ka wakt aaya hai

Hum baithe the ek jamane se uske intezaar main
aaj uthke aage badhne ka wakt aaya hai

usne tuh hume bhulake duniya nai basali thi kabki
aaj humara usse bhulne ka wakt aaya hai

Aaj itne saalon baad bhi vo basa hai meri saanson main
usko na bhul paane ki vajah se khudko katam karne ka wakt aaya hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #92 on: July 22, 2005, 03:35:52 PM »
Reply with quote
mehaboob vada kar k bhi aya na dosto
kya kya kiya na ham ne yahan us k pyar me
murge chura k laye they jo chaar  
 do aarzu me kat gae, do intzaar me
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #93 on: July 22, 2005, 03:45:32 PM »
Reply with quote
mushayron me police vaalon kii duty lagati hai
aur vo ghar jaate jaate khud shayar ban jate hain;
 
Is par ek sher ---->

rafta rafta har police vaale ko shayar kar diya
mehfil e sher o sukhan me bhej kar sarkar ne
ek qaidi subah ko phansi laga kar mar gaya
raat bhar gazlen sunain us ko thanedar ne


ek shaam kisi bazm me joote jo kho gaye,
hum ne kaha bataiye ghar kaise jaayenge
kahne lage k sher sunate raho yun hi
ginte nahin banenge abhi itne aayenge


bola dukandaar ki kya chahiye tumhe?
jo bhi kahoge meri dukan par vo paoge
main ne kaha k kutte k khane ka 'cake' hai?
bolaa yahin pe khaoge ya leke jaoge?
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #94 on: July 22, 2005, 03:53:42 PM »
Reply with quote
jis din hua pathan k murge ka intqaal
davat ki maulvi ki tab aaya use khyal

murda murg ki hui mullah ko jab khabar
sara badan sulag utha, galib hua jalal

kehne lage khilaoge mam gosht?
tum ko nahin zara bhi shariyat ka kuch khayal

murda gosht to shariyat me hai haram
jab tak na zibaah kijiye, hota nahin halaal
 
fatavaa jab apna maulavi sahab suna chuke
jhunjhla k khan ne kiya tab un se ye sawal

kaisi hai ap ki ye shariyat bataiye
bande ko kar diya hai KHUDA se bhi baa kamal
 
ALLAH jis ko maar de, ho jaye vo haram
bande ke haath jo mare, ho jaye vo halal
Logged
nirala
Guest
«Reply #95 on: December 25, 2010, 03:53:01 PM »
Reply with quote
kya baat hai Chiraaag ji--
itna behtareen peshkash.
""
poor zindagi roshan kar gaye uski ek nigah se
    afsoos hua ab usse andhere me dekh kar
""
bahutttt hi umda --kahan ho aap aajao yar --
aapki jarurat aaj bhi hai YO ko.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #96 on: May 02, 2011, 08:47:34 AM »
Reply with quote
meri tanhaai ko ab ik mehmaaN chaahiye
    mujhko saaya naheeN ik insaaN chaahiye

    baatoN meiN khulte heiN aksar puraane zakham
    koi kam-sukhan koi bey-zubaaN chhaahiye
        (kam-sukhan = kam bolne waale)

    aNdhere heiN zindagi meiN door talak bahot
    mujhko ujaaloN ka kaarwaaN chaahiye

    mujhko na raas aayega teraa zareeN qafas
    hum parindoN ko khulaa aasmaaN chaahiye
        (zareeN qafas = sunehri pinjaraa)

     eak "khwab" par guzar di zindgi humne
     ab "chirag" koi yakeeNee "haaN" chhahiye


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah.
 rahi bahutkhamosh shama mere durr ki,
 mujhe bhi bolta hua tere jaisa chiraaaaaaaaaaaaaaag chahiye
mujhe bhi
Logged
Gargi Roy
Guest
«Reply #97 on: July 20, 2019, 11:00:28 AM »
Reply with quote
Namaste! Usual Smile Kya aap mein se koi mujhe is sheyr ka matlab samjha sakte hain? "Kashtiyan nahin toh kya, hausle toh paas hain. Keh do nakhudaon se tum koi khuda nahin". Bahaut shukriya!  
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #98 on: July 20, 2019, 05:35:05 PM »
Reply with quote
Namaste! Usual Smile Kya aap mein se koi mujhe is sheyr ka matlab samjha sakte hain? "Kashtiyan nahin toh kya, hausle toh paas hain. Keh do nakhudaon se tum koi khuda nahin". Bahaut shukriya!  
I would explain to you like this. In the beginning of time when A man was born, he had no tools to survive except courage. With this courage alone he survived and the fact is all though today he has lot of tools but even today tools are useless if he lacks courage. The word naa.khuda means non believers. According to believers, only the believers have courage. According to me to have some kind of faith in himself Man created God. I hope friend this satisfies you.
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 09:47:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer