Milte agar hum

by Pooja on January 17, 2008, 12:04:38 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2490 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #15 on: December 29, 2008, 11:50:15 AM »
Reply with quote
Sabhi ne bohat khoob likha hain.....

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa

shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii
mai.n chend Khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa

                                  -Jan Nissar Akhtar-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum hi milte to accha tha by yasir_sensitive in Ghazals
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Jab bhi milte the...Ajanabi ki tarah milte the by zahidbarelvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghar nahin milte. by yati_om in Ghazals
Tum hi milte to acha tha! by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
Pooja
Guest
«Reply #16 on: December 29, 2008, 06:54:59 PM »
Reply with quote

Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota

Dhadkati dhadkano ka shor hota
Nachta man ka more hota

Lub kahte hue rukte, khamoshi ka sath hota
Kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota

Najro se najro ka phir takraar hota
Milte gale ya hatho main hath hota

lagte jab tere seene se, badan mai sihran ka raj hota
Kampkapate hontho pe tere hontho ke sungam ka saz hota

Thirkate tan se anchal ka hataaw hota
Madhuban mai mehkata her ek khawab hota

Milte agar hum to kaya haal hota
Soch soch kar yahi boora hai mera haal hota!!!


 wah wah kya khayal hain...aur kya khubsoorti se unhe sabdon me sajaya hai aapne
Padh kar outhti he tarange dil me
ye to kamaal hai.....kamaal hai!!!

Tarango se nikli ye kuchh panktiye....

Milte agar hum to missal-e-yaar hota
Sharamo-haya se ye gaal laal hota

Aankho-he-aankho  me ikrar hota
Isharo-isharo me jab baat hota

Labo pe  tere-mere  rukhsar hota
Shiharte badno me gazab ka taap hota

Mahakta gulshan aur khumaar hota
Har taraf bus mauseme bahaar hota

Milte agar hum to bus ye haal hota
Soch soch kar jiya mera bekarar hota

Anaam


 Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai Anaam ji, ajj apne ek sathi Jo Benam naam se hai Yoindia per, unki yaad dila di.. bahoot he payara ajwab likha hai apne!! God work
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: December 29, 2008, 06:58:16 PM »
Reply with quote
Sabhi ne bohat khoob likha hain.....

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa

shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii
mai.n chend Khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa

                                  -Jan Nissar Akhtar-


Nice sharing SG
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #18 on: December 30, 2008, 01:21:50 PM »
Reply with quote
Javab passand aaya aap ko....Dhanyavad-shukriya....
Sochta hu ab, kalpana meri kab sakar hogi..!!!
Milte agar hum tou n-jaane kya-kya baat hoti...
Milte agar hum tou n-jaane kab din aur kab raat hoti...
Milte agar hum tou kaise wo mulakaat hoti...
wah wah kya khayal hain...aur kya khubsoorti se unhe sabdon me sajaya hai aapne
Padh kar outhti he tarange dil me
ye to kamaal hai.....kamaal hai!!!

Tarango se nikli ye kuchh panktiye....

Milte agar hum to missal-e-yaar hota
Sharamo-haya se ye gaal laal hota

Aankho-he-aankho  me ikrar hota
Isharo-isharo me jab baat hota

Labo pe  tere-mere  rukhsar hota
Shiharte badno me gazab ka taap hota

Mahakta gulshan aur khumaar hota
Har taraf bus mauseme bahaar hota

Milte agar hum to bus ye haal hota
Soch soch kar jiya mera bekarar hota

Anaam



 Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai Anaam ji, ajj apne ek sathi Jo Benam naam se hai Yoindia per, unki yaad dila di.. bahoot he payara ajwab likha hai apne!! God work
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #19 on: December 30, 2008, 02:03:45 PM »
Reply with quote
wow sab ne bahut bahut accha likha hai... Pooja di .. icon_salut
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: December 30, 2008, 05:06:04 PM »
Reply with quote
shukaria Sonia rani...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 07:47:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer