Mohabbat-izhaar

by shayar_dildaar on August 16, 2005, 06:07:12 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 34925 times)
shayar_dildaar
Guest
«Reply #45 on: September 27, 2005, 11:51:44 PM »
Reply with quote
Nice one neelam ji. Chaliye aap ke  reply mein kuch likh hi dete hain. Na jane kaun woh kush kismat hain jiske liye aapne likha hain.

Tumpe maine kiya nahin koi jaadu,
Yeh mohabbat karta hain hummein beqaabu.

Marte dum taq saath nibhayenge,
Chahe kuch bhi ho jaye, tumhe na bhool payenge.

Mere rehne se, tumpar na ayegi koi aafat,
yakeen hain mujhe, mere mohabbat main hain yeh taqat.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #46 on: September 30, 2005, 05:29:35 PM »
Reply with quote
Na koi khat na koi sandesa, kya sitam hain yeh dilbar,
Ehsas nahin tumhe jo koi milo dur rehkar bhi jaan chidakta hain tumpar.

Reham kar iss dil par, ek pyaar bhara khat bhej de mujhe,
Mohabbat karta hu tujhse, kya pata hain yeh tujhe.

Kaam main phas gaya tha, iss liye baat na kar paya
Ruth na jao mujhse yun, kitne baar tumhe samjhaya.

Thik hain, iss mehfil mein maafi mang lete hain tumse,
Ab to inn betabiyon ko durr kar mujhse.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #47 on: October 04, 2005, 04:02:20 AM »
Reply with quote
Aapki yaad bahut a rahi thi aaj;
Socha maine, bahut ho gaya yeh kaam kaaj.

Yeh yaadein badi sundar hoti hain,
humare pyaar k khas lamhe jo lati hain.

Tumse duur rehkar bhi tumhe apne jaan se laga kar rakhta hu,
Apne zindagi se bhi badkar, tumhare pyaar ko mein samajhta hu.

Yaad hain mujhe kis tarah durga puja k waqt hum mile they,
Iqraar e mohabbat jo kiya tha, woh pal jo tumhe apna samjhe they.

Kuch bhula nahin mein, harpal tumko dhoondta hain yeh dil,
Iss dil ke har dhadkan mein tum ho shaamil.
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #48 on: October 05, 2005, 12:56:58 PM »
Reply with quote
woh shayarji!!!bahut sahi kaha  hain aap..
REALLY GR8...

Aakhon aakhon mein milta hain mujhe teri baaton ka ishara..
Mujhe bhi bahoot yaad a rahi hain humara pahela mulaquat ka..
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #49 on: October 05, 2005, 03:35:20 PM »
Reply with quote
Isharo mein tumhein mohabbat ka paygam hum pahuchate hain,
aur kya chahiye hummein, aap jo innhe samajh lete hain.
Logged
srishti2511
Guest
«Reply #50 on: October 05, 2005, 03:50:45 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hai...grrr8!
aapke isharon ne banaya humko deewana
isharon isharon mein hi humne dil diya
aapka karien ya isharon ka karien shukriya
ki isharon isharon mein hi humne pyar kiya
Logged
Simplyasir
Guest
«Reply #51 on: October 06, 2005, 10:01:31 AM »
Reply with quote
Humko tumse itne mohabbat hai
jitne samundar ko lehron se
Jitne khushboo ko Pholon se
jitne dil ko dhadkan se
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #52 on: October 07, 2005, 03:17:23 PM »
Reply with quote
Thats cool asir. Keep writing man.
Logged
Ladke_hain_duffer
Guest
«Reply #53 on: October 07, 2005, 04:37:58 PM »
Reply with quote
very nice ....... likhte rahiye!!

Mere dil mein jo baat hai
woh main unko kaise bataun
jo aankhon ki zubaa nahi samjhte
unhe dil ki baat kaise bataun
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #54 on: October 08, 2005, 06:46:59 AM »
Reply with quote
Ishq ka rog bada zulmi hota hain,
Unke bina dil ko khub dard jo deta hain.

Yeh duuri ab sehan nahin hoti,
Khun k har qatre mein shayad mohabbat beh chuka hain.

Sambhalo mujhe dosto,
Shayad yeh dil ishq mein behek chukha hain.[/b]
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #55 on: October 08, 2005, 02:05:22 PM »
Reply with quote
Very nice shayarji!!! keep posting....

App jab se kareeb aayey hain...
Pyaar ke rang dil mein chhaye gaye hain..
Lagta hain ab anewala hain waqt mulaquat ka...
Nazron se nazron milake baatein karne ka...
[/color]
[/color][/b]
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #56 on: October 10, 2005, 05:01:28 AM »
Reply with quote
Too good neelamji. Kya baat hain. Everyday I c a good one cuming from ur side. U r getting too good at this.
Shayar_dildaar
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #57 on: October 11, 2005, 04:56:51 AM »
Reply with quote
Adaab.
Na poocho mujhe yeh ishq kya rang dikhata hain,
Na poocho mujhe yeh ishq kiss hadh tak lekar jata hain.

Din mein unke khayalo mein dooba rehta hoon,
Sapno mein bhi unhe apne aaghosh mein le leta hoon.

Shayad mohabbat mein barbaadi k raaste chal pada hoon,
Koi fikar nahin mujhe,saccha mohabbat jo farmata hoon.

Mere mohaabat ka koi peymaaish nahi,
Unke alawa aur koi khwaish bhi nahi.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #58 on: October 11, 2005, 10:11:03 PM »
Reply with quote
Ishq ke izhaar mein har chand ruswaai to hai
Par karoon kya ab tabiyat aap par aayiee hai


---By 'Akbar Allahabadi'
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #59 on: October 17, 2005, 06:49:20 AM »
Reply with quote
Hothon se na sahi fir bhi kuch sun na chahta hai yeh dil,
Door se hi sahi fir bhi kuch pass aana chahta hai yeh dil,
Milne ke baad ki dhadkan ka ehsaas chahta hai yeh dil,
Milne ke baad ki dhadkan ka ehsaas chahta hai  yeh dil,
Aankhein band karke tumhe dekhna chahta hai yeh dil,
Bechain to pehle hi hai aur bechain hona chahta hai yeh dil........
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 08:10:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.915 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer