Mujhe Tumse Pyaar Hai.

by majid on May 13, 2009, 09:19:44 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 21
ReplyPrint
Author  (Read 20698 times)
madhuwesh
Guest
«Reply #15 on: October 29, 2009, 05:34:30 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Shihab ji and Sophi ji,lovely creation.excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
sabir143
Guest
«Reply #16 on: December 20, 2009, 11:07:11 AM »
Reply with quote
Hello Doston
Ek Baar Phir Ishq Mein Likhne Ki
Maine Gushtakhi Ki Hai Galti Hui Ho
To Plz Maaf Kar Dijiyega...
Aapki Nazar Kar Raha Hun Main..



    Aankhen Hai Banzar Aur Dil.e.Waadi Bahaar Hai
   Main Kahin Bhi Rahun Teri Yaad Lailo Nahaar Hai.
 
   Itni Fursat Kahan Ki Ik Nazar Zamaane Ko Dekhu
   Meri Nazron Pe To Chhaya Sirf Tera Khumaar Hai.
 
   Betaab Si Hai Dhadkane Aur Bechain Si Saansen
   Jaise Har Tamanna Tujhse Milne Ko Beqaraar Hai.
 
   Naa Keh Paata Hoon Aur Naa Hi Reh Paata Hoon
   Na Jaane  Ye Kaisi Khud Se Khud Ki Takraar Hai.

   Ye Pagal Pan Hai Yaa Kuch Aur Main Nahi Jaanta
   Bas Jaanta Hun To Itna Ki Mujhe Tumse Pyaar Hai.

   Kyun Na Hoti Meri Baaton Pe Wah Wah Hi Shihab!
   Meri Har Soch Mein  Woh Dilbar Jo Shumaar Hai.


Shu Vaat Chhe Majnu Bhai
Wah Aashiq Hoy To Taaraj Jevo
Bahuj Saras Lakhyon Se Mari Jaan


Logged
Sirf Meri Chahat
Guest
«Reply #17 on: December 20, 2009, 11:09:25 AM »
Reply with quote
KYA MAST LIKHA AAP NE SHIHAB JI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: December 20, 2009, 05:29:22 PM »
Reply with quote
Hello Doston
Ek Baar Phir Ishq Mein Likhne Ki
Maine Gushtakhi Ki Hai Galti Hui Ho
To Plz Maaf Kar Dijiyega...
Aapki Nazar Kar Raha Hun Main..



    Aankhen Hai Banzar Aur Dil.e.Waadi Bahaar Hai
   Main Kahin Bhi Rahun Teri Yaad Lailo Nahaar Hai.
 
   Itni Fursat Kahan Ki Ik Nazar Zamaane Ko Dekhu
   Meri Nazron Pe To Chhaya Sirf Tera Khumaar Hai.
 
   Betaab Si Hai Dhadkane Aur Bechain Si Saansen
   Jaise Har Tamanna Tujhse Milne Ko Beqaraar Hai.
 
   Naa Keh Paata Hoon Aur Naa Hi Reh Paata Hoon
   Na Jaane  Ye Kaisi Khud Se Khud Ki Takraar Hai.

   Ye Pagal Pan Hai Yaa Kuch Aur Main Nahi Jaanta
   Bas Jaanta Hun To Itna Ki Mujhe Tumse Pyaar Hai.

   Kyun Na Hoti Meri Baaton Pe Wah Wah Hi Shihab!
   Meri Har Soch Mein  Woh Dilbar Jo Shumaar Hai.


wow too good Shihab ji.... sorry itani deri se parra... ek ek line kamal ki likhi hai  apne.... Good creation...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: December 20, 2009, 07:27:51 PM »
Reply with quote
Hello Doston
Ek Baar Phir Ishq Mein Likhne Ki
Maine Gushtakhi Ki Hai Galti Hui Ho
To Plz Maaf Kar Dijiyega...
Aapki Nazar Kar Raha Hun Main..



    Aankhen Hai Banzar Aur Dil.e.Waadi Bahaar Hai
   Main Kahin Bhi Rahun Teri Yaad Lailo Nahaar Hai.
 
   Itni Fursat Kahan Ki Ik Nazar Zamaane Ko Dekhu
   Meri Nazron Pe To Chhaya Sirf Tera Khumaar Hai.
 
   Betaab Si Hai Dhadkane Aur Bechain Si Saansen
   Jaise Har Tamanna Tujhse Milne Ko Beqaraar Hai.
 
   Naa Keh Paata Hoon Aur Naa Hi Reh Paata Hoon
   Na Jaane  Ye Kaisi Khud Se Khud Ki Takraar Hai.

   Ye Pagal Pan Hai Yaa Kuch Aur Main Nahi Jaanta
   Bas Jaanta Hun To Itna Ki Mujhe Tumse Pyaar Hai.

   Kyun Na Hoti Meri Baaton Pe Wah Wah Hi Shihab!
   Meri Har Soch Mein  Woh Dilbar Jo Shumaar Hai.

app kahe aor hum na likhe yah to ho nahi sakta shihab ji.... magar ajj kal likhne ka kuch mood he nahi banta... apki kavita parr kar jo man mai atta gaya likhati gai hu... shayad apko pasand ayye.....

apni ankho ko kaise banjar kah du,
jisne dekha teri ankho main khud ke liye pyar hai

Fursat main bhi fursat kaha
her waqat bas ek tera he to khayal hai

Tamanna e bekarari dil ki kaise bataye tumhe
milna tujh se aise lage, jaise koi tayohaar hai

bahoot kuch kahne mai, na kah paaye ek shabd bhi hum
ya khuda kis tarah chaya, sanam ka mujh per khumar hai

samjh sako to samjh lo mere jaana-e-jahan, is dil ki baat
Fiza ka zarra zarra bhi jaan chuka, hua hume tumse pyaar hai!!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #20 on: December 20, 2009, 07:36:17 PM »
Reply with quote
waah bahut hi badhiya mehfil jamayi pooja ji aur shihab ji too gud...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #21 on: December 20, 2009, 08:19:29 PM »
Reply with quote
shukriya shihab ji filhaal tou ijazat chahungi per agli baar aake zarur likhungi..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: December 20, 2009, 08:37:47 PM »
Reply with quote

Sabse Pahle To Bahut Bahut Shukariya Ki Aapne
Meri Baaton Pe Roshni Daali.Badi Meharbani Ji
Aur Rahi Baat Mood Ki To Aksar Aisa Hi Hota Hai Ji
Ki Hum Jo Chahte Hai Woh Nahi Hota.Aur Jo Nahi Chahte
Woh Ho Jaata Hai.Shayad Yahi Zindagi Hai Ji.
Par Humpe Bhi Nirbhar Karta Hai Ki Hum Kaise Face Karen
Khair.
Aur Rahi Baat Aapke Likhne Ki To Hume Bahut Pasand Aaya Ji
Aapka Tahe Dil Se Mashqoor Hun Ki Aapne Apna Waqt Nikalkar
Itna Pyaar Likha..Bahut Bahut Shukariya Ji...


Shayad Main Isse Pahle Bhi Post Kar Chuka Hoon
Aaj Dubara Kar Raha Hun.I Hope Aapko Pasand Aaye.!



Jane Ye Teri Chahten Kaisa Asar Kar Gayi Hai
 Ki Beshumar Hasratein Dil Mein Bhar Gayi Hai.

 Mehek Ne Lagi Hai Dil Ki Galiyaan,  Jab Se Tu
 Banke Khushbooh  Sanso Mein Utar Gayi Hai.

 Kal Raat Khwaab Me Is Qdar Dekhi Teri Jhalak
 Subah Utha To Jaise Aankhen Sanwar Gayi Hai

 Har Pal Mera Jaise Tere Ehsaso Mein Dhal Gaya
 Is Qdar Teri Yaaden Mujhme Ghar Kar Gayi Hai.

Kash Wo Pal B Aaye Ki Tujhe Bahon Me Bhar Lun
Jane Kitni Ghadiya Intezar Me Hi Guzar Gayi Hai..!



Subhan Allah!!! kaya lafz piroye hai Apne Shihab ji,.. wah wah wah... ek ek shabd... ek ek line,,, kamaal likhi hai.. bahoot khoob..

Chahte hai yah dil ki, dil per asar dikhayegi
Ahh hum bharege yaha, waha tere dil mai hook uthayegi

Ankhon se utar kar, jo tasveer bas gai hai dil mai
jab bhi dekhege hum, humare sath yah fiza bhi muskurayegi

Na Soch itna hume apni socho main
yakin kar, yeh soche humari nindein udayegi

her pal ek tera he nasha chaya hai...uufff yeh haya
Husan ki ada hai, kuch to intzaar karwayegi....
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #23 on: December 22, 2009, 01:40:48 PM »
Reply with quote
arree waah pooja ji bahut hi umda likha hai bahut badhiya... Clapping Smiley Clapping Smiley

Husn ki ada hai kuch tou intezaar karwayegi,
jane vo kaun si shaam hai jab use merre kareeb layegi,

ek muddat se bechain hai dil merra use chhune ko,
jane kab vo hawa banke merri sanso mein samayegi,

dekhke use dil nhi bharta ek lamha bhi,
jane kab uski mhbt ye qaynat mujhpe barsayegi,

sirrf ek guzarish hai vo mil jaye chahe lamhe bhar ko hi..
jane kab merri ye dua merri nigaho ki pyas bujhayegi......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #24 on: December 22, 2009, 08:12:00 PM »
Reply with quote
thnx shihab ji wada kiya hai tou nibhana tou padega hi...wada todne walo mein se hum nhi hai khair apke reeply kaa intezaar rahega aur ye jankar khushi hui ki apko merre alfaz pasand aaye..abhi k liye chalti hu jald phir milungi..gud nite...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #25 on: December 22, 2009, 09:51:06 PM »
Reply with quote
Wow  :hatsoff:bahut hi khoob Geet ji,Pooja ji,Shihab ji,mindblowing lines .excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #26 on: December 23, 2009, 05:08:18 AM »
Reply with quote
Waah Waah Kya baat hai Shihab, Pooja di and Geet... Bahoot Bahoot Khoob Likha hai sabne ...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #27 on: December 23, 2009, 04:54:19 PM »
Reply with quote
thnx alot madhuji n sophiji...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #28 on: December 25, 2009, 07:32:53 PM »
Reply with quote
Badi Achhi Baat Hai Ji
Khushi Hui Jaankar Ki Is Daur Mein Bhi
Aise Log Hote Hain..Khair
Maafi Chahta Hun Rep Mein Deri K Liye
Abhi Aapka Intezar Door Kiye Deta Hoon
Koshish Karta Hoon Galti Maaf Ho...!



Yeh To Sach Hai Ki Hum Bane Hai Ik Dujhe K Liye
Phir Kyun Tadap Rahe Hai Aakhir Ik Dujhe K Liye.!

...............
Har Pal Har Ghadi Bas Tera Hi Intezar Rehta Hai
Jane Kyun Tu Is Qadar Mujhpe Sawaar Rehta Hai.

Tere Hi Khayal Se Bandhi Hui Hai Hr Khushi Meri
Tujhi Pe Jaise Mera, Sara Daro-madar Rehta Hai.

Bhool Baitha Hoon Main Khud Ko Is Qadar Ki Abto
Hid-dat Dil Pe Teri Yaadon Ka Ikhtiyar Rehta Hai.

Yeh Tabassum Ye Madmast Nighaein Hai Zindagi Meri
Tujhe Soche Bina To Har Lamha Sogawaar Rehta Hai.

Meri Chahaton Pe Chahe Tu Yakeen Kar Na Kar Magar
Mujhey To e Sanam Tere Waade Pe Aitbaar Rehta Hai.


Bahut khoob Shihab Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #29 on: December 25, 2009, 08:58:37 PM »
Reply with quote
bahut hi khoob likha hai apne shihab ji per hamesha ki tarah iss bar bhi maafi chahungi jald hi laut k apko reply karungi...gud nite.....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 10:22:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer