Mujhe Tumse Pyaar Hai.

by majid on May 13, 2009, 09:19:44 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21
ReplyPrint
Author  (Read 20750 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #255 on: August 02, 2010, 07:35:07 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Khub Likha Hi Ji Aapne
Aur Derri Ke Liye Maafi Chahta Hun
Ek Nakaam Si Koshishi Ki Hai
Umeed Karta Hun Aapko Pasand Aayegi...!




  Bin Tere Kahaan  Aey Jaaneman  Qaraar  Hai
Tujhi Se  To  Meri  Zindagi  Mein  Bahaar  Hai.

Hai Hazaar Ranginiyan Yun To Samne  Magar
Tu Nahi To Lagti Ye Sab Mujhey  Bekaar  Hai.

Jabse Basaya Hai Teri Chahton Ko Seene Mein
Khilsa Gaya Mere Dil Ka Jaise Bas Sansaar Hai.

Is Qadar Ban  Gayi Ho  Zindagi  Ki  Jarurat Ki
Tere Bina Ek Pal B Jeena Ab Na Ghawaar Hai.

Yun Rehti Ho  Banke  Khushboo Char  Soo Ki
Tere Hi Ehsason Se Mehakte Lail-o-Nahar Hai.

Ab Khuda Hi Jane Kya Hoga Anjaam Humara
Bas Mujhe To Tumse Pyaar Tha Aur Pyar Hai.


Lail-o- Nahaar...Raat Din


bahut khoob shihab ji aur maafi ki zarurat nhi hai ji aksar achi rachanaye likhne mein waqt lag hi jata hai...shihab ji maafi chahungi abhi kuch ban nhi raha jald hi laut kar reply karungi..take cre....
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #256 on: August 05, 2010, 10:19:48 AM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Muhabbaton Bhara Shama Bandha Hai
Sach Mein Aap Dono Ki Taal Mel Ka Jawaab Nahi
Bohat Bohat Aur Bohat Hi Khoob Brokenbyluv Ji Aur Maju

Lagey Raho
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #257 on: August 19, 2010, 07:34:59 PM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Muhabbaton Bhara Shama Bandha Hai
Sach Mein Aap Dono Ki Taal Mel Ka Jawaab Nahi
Bohat Bohat Aur Bohat Hi Khoob Brokenbyluv Ji Aur Maju

Lagey Raho


bahut bahut shukriya shabbir ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #258 on: August 19, 2010, 07:50:04 PM »
Reply with quote

 Bin Tere Kahaan  Aey Jaaneman  Qaraar  Hai
Tujhi Se  To  Meri  Zindagi  Mein  Bahaar  Hai.

Hai Hazaar Ranginiyan Yun To Samne  Magar
Tu Nahi To Lagti Ye Sab Mujhey  Bekaar  Hai.

Jabse Basaya Hai Teri Chahton Ko Seene Mein
Khilsa Gaya Mere Dil Ka Jaise Bas Sansaar Hai.

Is Qadar Ban  Gayi Ho  Zindagi  Ki  Jarurat Ki
Tere Bina Ek Pal B Jeena Ab Na Ghawaar Hai.

Yun Rehti Ho  Banke  Khushboo Char  Soo Ki
Tere Hi Ehsason Se Mehakte Lail-o-Nahar Hai.

Ab Khuda Hi Jane Kya Hoga Anjaam Humara
Bas Mujhe To Tumse Pyaar Tha Aur Pyar Hai.


Lail-o- Nahaar...Raat Din



maaf kijiyega deri se jawab dene k liye...


Kamyaad hoti hai wahi mhbt jisme sachayi ho,
khuda ko bhi paa sako kuch aesi khudayi ho,
doob jaye ik dafa jo uska naam le kar..
phir kabhi na ubhar sako kuch aesi gehrayi ho.........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #259 on: August 19, 2010, 08:14:09 PM »
Reply with quote
Shihab Sahab Aadaab O tasleem......

Behad khoob kalaam se nawaaza hai aapne....
Puri kalaam hi daad ke kabil hai... sabhi ashaar
ek se badhker ek aur waqai ishq ke rangoN meiN doobe
huye lage......

Is purkashish kalaam per dil se daad hazir hai...

Likhate rahiye.....
Khush rahiye......
Khuda Hafez......

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #260 on: September 12, 2010, 06:23:09 PM »
Reply with quote
    Badi Badi Hain Yahan Insan Ki Khwaishen
           Aur Zindagi Ki Dor Hai Bahut Hi Kachchi.

                      Jane B To Kaise Koi In Badalte Chehron Men
                              Ki Kiski Chahat Jhuthi Hai Or Kiski Sachchi.



Kisiko ek nazar mein pehchan'na asan nhi hota,
per dil ka sharif kabhi nigaho se beimaan nhi hota,
karte hai log lakho waade mhbt k bazar mein..
per har koi dil mhbt mein kurbaan nhi hota.........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #261 on: September 12, 2010, 06:48:38 PM »
Reply with quote
Deke  Dagha Dard  Dil Ke Paar  Karte Hain
Yun  Raat Din Ke Liye Beqaraar Karte Hain.

Karke Pyaari Pyaari Baaten Jaane Kyun Log
Shihab, Masoom Se Dil Ka Shikar Karte Hain.


behetareen ji...


Jab hawao ka rukh badla sa lage,
jab fizao main bhi pehle jaisi baat na ho,
samjh lena mausam ki tabdiliyo se..
jo aaj hai tumhara kal shayad tumhare sath na ho.........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #262 on: September 12, 2010, 07:26:38 PM »
Reply with quote
Shukariya Ji

Kyun Kar Karun  Tanhaiyon  Ki Shikayatein
Kya Hua Gar Nahi Haatho Men Kisi Ka Haath.

Mere Liye Kaafi Hai Wohi Aey  Dost Mere Ki
Koi Ho  Na Ho Woh  Khuda To Hai Mere Saath.



Tuta sa dil hai khali se khwab hai,
kuch unsuljhe sawal kuch adhe se jawab hai,
andhiyo mein nikalte hai ashiya ki talash mein,
mhbto mein ujde jaane kitne aese sailaab hai.........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #263 on: September 12, 2010, 08:40:46 PM »
Reply with quote
Sambhal Ke Rakh Jo Bhi Tere Khali Se Khwab Hai
Kyun Ki Roz  Subha Nikalta  Ik  Naya  Aaftab Hai
.
Kyun Uljahte Ho Aisi Baaton Men Khudko Ay Dost
Jinka Nahi Laga Saka Ab Tak Koi Bhi Hisaab Hai.!



Dard k har pehelu ko samjhti hu main,
per khushiyo ka mujhe koi gumaan nhi,
jo mila de mujhe sukoon bhari zindgi se..
kya is jahan mein aesa koi sahebaan nhi.........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #264 on: September 12, 2010, 09:03:36 PM »
Reply with quote
maafi chahungi shihab ji abhi ijazat de jald hi laut kar jawab dungi..take care....
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #265 on: September 13, 2010, 02:58:19 AM »
Reply with quote
Shukar Hai Khuda Ka Aap Dono Ne Phirse Likhna Shuru Kar Diya
Aap Dono Ki Mehfil Mein Har Tarah Ke Jazbaat Padne Ko Milte Hain
Bohat Hi Accha Lagta Hai Aap Logon Ko Padke Is Silsile Ko Rukne Na Dijiyega.
Bohat Hi Khoobsurat Likha Hai Aap Dono Ne Har Baar Ki Tarah
Brokenbyluv Ji Aur Maju. Lagey Raho

ALLAH Pak Aap Dono Ko Khush Rakhe.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #266 on: September 13, 2010, 12:23:14 PM »
Reply with quote
Shukar Hai Khuda Ka Aap Dono Ne Phirse Likhna Shuru Kar Diya
Aap Dono Ki Mehfil Mein Har Tarah Ke Jazbaat Padne Ko Milte Hain
Bohat Hi Accha Lagta Hai Aap Logon Ko Padke Is Silsile Ko Rukne Na Dijiyega.
Bohat Hi Khoobsurat Likha Hai Aap Dono Ne Har Baar Ki Tarah
Brokenbyluv Ji Aur Maju. Lagey Raho

ALLAH Pak Aap Dono Ko Khush Rakhe.



Bahut bahut shukriya shabbir ji,shihab ji k sath waqai mein likhne aur hi maza hai..plzz sathi members galat na samjhe..shihab ji waqai mein ek behetareen shayar hai...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #267 on: September 14, 2010, 08:30:03 PM »
Reply with quote
Deke Apne  Hissey Ki Khushiyaan  Saari
Woh  Aapke Saare Ghamon Ko Le Lenge.

Aap Zara Sa Nazar Uthakar To Dekhiye
Ek Nahi Aise Hazaar Sahebaan Milenge.


Hazaar nhi sirrf eh hi chahiye,
jo bhar de merre har zakhm ko,
jisko khone ka darr kabhi na ho dil mein..
aur jo poori kare chahto ki har rasm ko.........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #268 on: September 16, 2010, 04:34:53 AM »
Reply with quote
Ghamon Ka Pahaad Pal Mein Hi Pighal Jaayega
Lahja  Lahja  Tera  Khushiyon Se Khil  Jaayega.

Fikar Na Kar Ay Dost Mere Khuda Ne Chaha To
Aisa Koi  Humsafar  Aapko Jald Hi Mil Jaayega.


Ek chah hai jo merri humsafar ki,
use pane mein jane kitne aur sama bitenge,
kab hogi merri bhi subah kisi ki baho mein..
kab har mushkil ko paar kar mhbt bhare dil jitenge.........
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #269 on: September 16, 2010, 05:03:22 AM »
Reply with quote
Mujhe tou janm-janm se hai patta ki tu meri hai
Aaj tune bhi keh diya..."Mujhe Tumse Pyaar Hai"



Dil garden garden ho gaya jeeeeeeeeeeeeeeee
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 04:07:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer