**~** Nigaahon Ka Sharmaana **~**

by _Vicky_ on May 14, 2010, 02:32:23 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6342 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #30 on: July 12, 2010, 06:40:45 AM »
Reply with quote
I have no words...Hmm kaise tariff karoun apki Vikas bhaijan..bahaut sunder likha hai..woh dard mehsoos hota hai mujhe apki kalam se...Kisi ki kami khalne ka ehsaas bahaut hai mujhe isiliye ankhein bharr ayi yeh nazm parr ke...

"Aj pyaasa jo lauta hoon, teri baahon se dilbaar,
Lagta hai tujse mile hue zamana hogaya.."

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Behad Shukriya Rahim bhai.. Ki Aapne Mere In Alfaazon Ko Padha aur Dil Se Mehsoos Kiya..  notworthy notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tu Nigaahon se pila de to Mera kaam Chale.......! by sharmaarunkumar in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
***tu door hai nigaahon se*** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
Madmast nigaahon se usne by Iftakhar Ahmad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dekha kiye wo mast nigaahon se by Iftakhar Ahmad in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAAN LE JAYE TERA SHARMAANA by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
qazgani
Guest
«Reply #31 on: July 12, 2010, 06:45:08 AM »
Reply with quote
nice
Logged
Abhi Tamrakar
Guest
«Reply #32 on: July 12, 2010, 06:57:13 AM »
Reply with quote
wah mann ji bahut khooob lkha he...apka kayal ho gaya...
agar admin ji ne mauka diya to mehfil ek rang "Abhi" ka bhi nazar ayega~

kuchh meri tarafa se>>

zarra hun zamin ka mujhse asmaan ki baat na kar e Duniyaaa warna
ek shabda hi mera "Abhi" zameen ko asmaan kar sakta he~`
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #33 on: July 12, 2010, 07:03:18 AM »
Reply with quote
aahaaaaaaa abhi ji aapko yahan dekh kar bht khushi hui
chaliye koi to hai jiski shayri k hum bhi kaayal hain....
maan ji sach me kammaal likha hai aapne......ek madhoshi chha gai aapki is nazm se.........
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #34 on: July 12, 2010, 05:44:40 PM »
Reply with quote
Dilbar Se Milne Gaya Ek Dil, Jab Tarasta Hai Use Mohabbat karne Ko, Baahon me Bharne Ko, Aur Har Hadd ko Paar Karne ko.. Par Kuch Seemaayen Use Aisa karne se Rok Leti hain.. Use Tadpa Kar Pyaasa Chod Deti Hain.. Uske baad Us Pyaase Dil par Kya Guzarti hai..  Basss usi Ek lamhe ka Zikra Yahan Kar raha hooon.. Ummeed Karta hoon Meri Yeh Koshish aapko Pasand aayegi..!!!  Usual Smile



Gazal Teri Aankhon Par, Likh To Di Thi Maine,
Nigaahon Ka Tabhi Tera, Sharmaana Ho Gaya...

Main Baitha Raha Liye Tera Hath Hathon Me,
Aur Tabhi Tera Seene Se Lipat Jaana Ho Gaya....

Chahat Thi Us Lamha Tujhe Apna Banaane Ki,
Us Par Tera Khafa Hoke Palat Jaana Ho Gaya.....

Main Tarasta Raha Teri Rooh Tak Me Utane Ko,
Aur Tera Phir Se Na Milne Ka Bahaana Ho Gaya.....

Mujhe Zaroorat Thi Teri, Tujhe Di Thi Qasam,
Tabhi Labon Pe Se Tera Lab Hataana Ho Gaya......

Aaj Pyasa Jo Lauta Hoon, Teri Baahon Se Dilbar,
Lagta Hai Jaise Mile Tujhse Ek Zamaana Ho Gaya....

Gazal Teri Aankhon Par, Likh To Di Thi Maine,
Nigaahon Ka Tabhi Tera, Sharmaana Ho Gaya...!!!!!





**~** Mann **~**


Mann Ji... Aadaab ! jaise aapne meri koshish ko pehli baar padha hai...main bhi aapki iss rachna ko padhte waqt wahi sab mehsoos kar raha hoon....matle se maqte tak kahi nahi rukaa ....bahut umdaa ehsaason ko lafzon se sajaya hai aapne .... khayal aur adaayegi....purkashish lagi mujhe....dil se daad hazir hai...qubuul farmaayen... khush rahen....

apna khayal theek se khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #35 on: July 16, 2010, 02:40:27 PM »
Reply with quote
dil ke jazbao'n ko lafzao'n ki siyaahi se...
bikher di tu ne khushboo chaar soo bazm main..

naayaab paishkash hai ...

Aapka Tahe dil Se Behad Shukriya Nazar Saheb.. Ki aapne Apna Qeemti Waqt meri is Choti si Koshish Ko diya aur Saraaha..  notworthy  notworthy




**~** Mann **~**
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #36 on: July 18, 2010, 08:53:48 AM »
Reply with quote
Bahot achhi rachna hai Mann ji. Padhkar bahot achha laga. Ismein aapne dil tadap bayaan karne mein aapne kamyabi hasil ki hai. Daad hazir hair.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #37 on: August 22, 2010, 01:30:35 PM »
Reply with quote
Very Nice Poetry........Mann Ji .. Very Impressive ... Very Touching ... Very Nice Creation... !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #38 on: September 11, 2010, 01:46:57 PM »
Reply with quote
Teri Sanson Ko Apni Sanso Mein cHupa lun
Aaja Sanam Tujhe apni Bahon mein CHupa lun

Koi Doond na sake Tujhe Iss Badnaam Jahan mein
Tujhe Main Iss Kadar Apne Seene se Laga Lun   !!!

Divya



Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #39 on: September 11, 2010, 02:10:17 PM »
Reply with quote
Aaye Haye Kya baat hai Divya.. Behad Mohabbat Bhara Likha hai.. Applause Applause



Na Jana Kyun Tamanna Teri Meri Tamanna Si Lagti Hai,
Door Ho Kar Bhi Tu Dil Ke Mere, Aas-Paas Si Lagti Hai...

Kabhi Jo Sochta Bhi Hoon Tujhse Mohabbat Karne Ko,
Bas Band Karta Hoon Aankhen, Tu Baahon Me Milti Hai...!!!





**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #40 on: September 11, 2010, 02:18:49 PM »
Reply with quote
Hahaha...

Bahoot Bahoot Bahoot Bahoot Pyaar bhari Peshkash Hai.. Ab Dikhe Na aap Apne asli Rang mein.. Bahoot Bahoot Umda aur Khoobsoorat


Teri Inni Baaton Ne Hame Fasa rakha hai
Door Rehkar Bhi Hame Yun Luba Rakha hai

Kaise Reh Payenge Hum Tere Begair Sanam
Isliye Teri Chahat ko Dil Mein CHupa rakha hai !!!!


Divya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #41 on: September 11, 2010, 02:29:25 PM »
Reply with quote
Jawab To Qaatilaana hai Divya Ji.. Kamaal hi kar diya... Applause Applause



Ek Baat Tere Kaanon Me Kahane Ki Tamanna Rakhta Hoon,
Tere Bahut Qareeb Aake Mohabbat Ka Armaan Rakhta Hoon....

Saanson Ki Garmi Se Pighla Ke Kuch Is Qadar Tujhe Dilbar,
Apna Hi Bana Jaane Ka, Ek Chota Sa Khwaab Rakhta Hoon...!!!




**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #42 on: September 11, 2010, 02:37:58 PM »
Reply with quote
Bahoot Khwaab Dekhne lag gaye hai Janaab Ab,... Heheehe,,, Just kidding... !!

Bahoot Bahoot khoobsoorat aur aisa jawaab diya ki ab sharm aa rahi hai... Bahoot hi Romantic or fantastic jawaab diya hai ... !!!!


Iss Kadar Tum Mere Dil Ko Betaab Na kiya Karo
Kahin Mera Khud par se Aithbaar utt Na Jaaye

Jo Band Kar Rakhe Hai Khawaab Seene Mein Hamne
Woh CHupe Armaano ke Parde kahin Utt Na jaaye !!!

Divya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #43 on: September 12, 2010, 07:23:24 AM »
Reply with quote
Jawab to aapka Bhi Kam Khubsoorat nahi Divya Ji.. Bahut hi Rumaani Jawab diya hai.. Applause Applause



Qasame Yeh Pyaar Bhari Teri, Jaan Dene Ke Iraade Tere,
Uuuffff....!!! Yeh Saath Jeene Aur Marne Ke Vaade Tere.....

Bahaka Si Jati Hain Yeh Madbhari-Sharbati Aankhen Teri,
Uspe Qatl Kar Jate Hain, Mujhpe Mar Mitne Ke Iraade Tere....!!




**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #44 on: September 12, 2010, 08:01:20 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Kya Baat ... Kya baaaatttt... Kya Baaaaatttttttt ! Bahoot Khoob Janab !


Hadd se Guzarne Ko Chahta hai dil Teri Chahat Pe
Par Kambakht Dil Ko Tujh Pe Aithbaar Na Raha Ab

Par Yea Teri Chahat Ka Khumar Ab tak Zinda hai
Isliye Kar diya Khudko Maine Teri Khushi ke naam Ab !!!!


Divya 
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 12:14:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer