parde main chaand..........

by purani_jeans_aur_guitar on June 15, 2006, 01:00:56 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 4993 times)
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #60 on: June 22, 2006, 07:27:10 AM »
Reply with quote
sukriya ji..............

    dhadkane bad gayi hai,ek nasha sa chaaya hai
    ki raat mai mera chand badlo se nikal aaya hai

................@fahi@..................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
..~~Chaand~~.. by HumTum in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~Chaand~*~ by Aryaan in Shayri-E-Dard
Parde Parde mein... by suman59 in Urdu Poets « 1 2  All »
Kya Ho Raha Hai Parde Ke Pichhe...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
.{ main chaand hoon chaand }. by Omi-Shru in Shayri for Khumar -e- Ishq
tabassum shakeel
Guest
«Reply #61 on: June 22, 2006, 11:52:03 AM »
Reply with quote
nice one
chaand pe parda rahne do
tumne dekha kaafi hai
sab dekhenge achcha lagega
kuchh to parda rahne do
phir na kahna ham jo jaaen
sharm hame bhi aati hai
chaand pe parda rahne hi do
 tumne dekha kaafi hai........
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #62 on: June 22, 2006, 12:10:50 PM »
Reply with quote
chand se parde ko uthana ka to mehaz ek bahana ha
   apni tarsi aankhon ko uske husn ka deedar jo karana haii
 
 .................@fahi@...............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #63 on: June 22, 2006, 12:13:18 PM »
Reply with quote
ye teri aankhon ne rakhli meri haya varna
mera naqaab kab tere liye naqaab raha

meri nigaahon ki shokhi hai bas tere dam se
tujhe jo dekh likh liya ik nasha sharab raha

ye kaise maan liya tumne ki main nahi hun teri
yahi to ek sila hai jo lajwaab raha

saath jo tu hai mere manzil hai paon ke neeche
kise hai hosh kahaan rasta kharaab raha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #64 on: June 22, 2006, 12:14:38 PM »
Reply with quote
good going tabassum ,fahi............... :D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #65 on: June 22, 2006, 12:16:20 PM »
Reply with quote
Very Nice all of U.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #66 on: June 22, 2006, 12:27:33 PM »
Reply with quote
thanx ranju and shikha
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #67 on: June 22, 2006, 12:47:51 PM »
Reply with quote
sukriya ranjana,shikha ji & very nice tabassum ji........

  jehan mai mere ishq ka shola bhadak gaya hai
  teri baaton se phir dil mera dhadak gaya hai

  teri shokh ankhein aur hontho ki tapish ko
  dekhkar dhadkano ka saaz atak gaya hai

  sharmo-haya ke aaj parde tum hata do
tere sine mai utarne ko deewana bhatak gaya hai

 ..............@fahi@................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #68 on: June 22, 2006, 12:51:38 PM »
Reply with quote
thanx fahi  aur bahut khoob aapne likha hai
arz kiya hai ki
aise sare khwab likhugi
jo na poore ho pae
zindagi me na sahi
kagaz par rang bikherungi
apna apna badla hai ye
likhna koi likhna hai
kuchh hain tumhari yaaden bas
kuchh dard bas apna hai
sare din vo likhna hai
jab tumko maine yaad kiya
par nahi tumhara naam liya
sari baaten likhnaa hai
jo tum se main na kah paai
sari raaten likhni hain
jab sari raat na so paai
par jo likhdun to kya hoga
tum to isko padhte nahi
sare log hi padhte hain
bas ik tumko maaloom nahi
ik din vo himmat bhi karungi
tumko yahan bulaaungi
sara likha phir tum bhi padhna
main door kahin chhup jaaungi
tum jab tak aawaz na doge
paas nahi main aaungi
kagaz par likhte likhte ab
dil hai mera bhar sa gaya
tum aao to rang bharenge
ham kaagaz ke bahar bhi...........................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #69 on: June 23, 2006, 05:39:38 AM »
Reply with quote
very nice tabassum ............

 tere kagzo per likhi syahi ko padne ki nahi hai zaroorat
 tere aankhein dekhkar hi dikhti hai teri beintaah chahat

  phir bhi tere har lafz ko sine se apne lagayenge hum
 tujhe saath leker saari duniya ko ye ishq dhikayenge hum

  ki janega sangdil zamana phir tere ki hui ishq-e-ibadat ko
  salam karega jhukkar khuda bhi teri is pak mohabbat ko

....................@fahi@................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #70 on: June 23, 2006, 06:05:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob fahi

 meri ye taqdeer kahan teri aankhon ka khwab banu
ye naam faqat ik naam hi hai isme koi muskaan nahi

main tumse kahna chahti hun tum is naam ko mat likhna
ye mujh ko  raas nahi aaya saara jeevan tha bas rona

ik naam ki hi main tabassum hun dil me koi arman nahi
na koi achcha sapna hai ki tujhko main vo hi de dun
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #71 on: June 23, 2006, 06:53:52 AM »
Reply with quote
bahut khub tabassum ji..........

 tere naam ki lakeero se kab maine apna naata tha joda
 maine jo jaana hai sirf tujhe,apna maana hai sirf tujhe

 kyun aaj tu apne dard ko apne hi dil mai dabakar,meri aankhon se chipakar ,andhere kone mai baha rahi hai
  tere har sukh ka saathi bana hoon mai phir kaise tere gum mai tujhe chod du tanha.
 kyun tu aaj nahi pakdna chahti sanam meri ye chahat ki baah

  kyun aaj tu apne hi naam per is qadar gumnaami ka ahsaas kar rahi hai
  kyun? kyun?.......jab mai tere saath hi hu phir tu kisse dar rahi hai .

 aaja tham le haath mera aur zamane ko ye batane de
  tu sirf meri hai ...haan sirf meri ,mujhe dil mai apne samane de.

...................@fahi@.................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #72 on: June 23, 2006, 07:02:08 AM »
Reply with quote
nice one faahi

                             bichhati apni palaken tere pairon ke tale bhi main
                             jo tera saath milta doosari hi ban ke rahti main

                              tere darwaze pe main khud diya ban ke jala karti
                              jo ye hota to hamdam baat koi aur hi hoti

                              tu mujhse roothne ka ek bhi pal chhant na pata
                              main teri har khushi pe is tarah qurban ho jaati

                              hamara ghar hi phir ek bagh hota apni chahat ka
                              jahaan ke har ik phool ka khwab hota usme rahne ka
                               
                              na deewaren hi hotin ham indradhanush ko bula lete
                              vo dauda dauda aata dekhne is ghar ki khushiyon ko

                              meri nzmon hi me na tum jo meri zindagi me hote
                              to main ek doosari hoti zindagi khushnuma hoti

                              magar tum khwab the mera to bas khwabo tak rah pae
                               na tum tak main pahunch paai na mujh tak tum
                              pahunch paae
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #73 on: June 23, 2006, 11:52:23 AM »
Reply with quote
very nice tabassum ji..............


     main tujhe apne sine se laga kar rakhta
     tera har naaz ankhon pe utha ke rakhta

 sajate hum apne pyar ka aisa ashiyana
 jo bhi dekhta hota hamare ishq ka deewana
 fizaye bhi mangti usme aane ki izazat humse
sansso ki sargam per hota khusiyo ka aisa tarana

 mehkate aangan per mai tujhko lita kar rakhta
 apne pyar ki khusboo se tujhe mehka kar rakhta
 

 har roz suraj ki pehli kiran se khusiyo ki suruaat hoti
 rang ghul jaate hawao mai ,indradhanush ki bisaat hoti
 khil uttha har phool sunkar woh madhur aawaze
 jab vaadiya mai teri muskurahato ki barsaat hoti

 kaliyo ki sez per main tujhko saza ke rakhta
 dil ki dhadkan mai apni basa kar rakhta
 
 duniya is qadar haseen hoti,tu jo meri raah mai hoti
 na koi chahat gamgeen hoti,gar tu jo meri panaah mai hoti

..................@fahi@.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #74 on: June 23, 2006, 11:59:15 AM »
Reply with quote
bahut khub fahi aur tabassum...........

aaj dekaha hamne na jaane kab se mere saath jaag raha hai chand
mere sapno se ,mere khayaalo ke saath saath chal raha hai chand

jhilmil taaro ke chhawn mein beetati rahi pyaar ki raat
 dekh  ke yeh sama suhana badali mein chipne laga hai chand
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 02:25:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer