Teri Tasveer

by Pooja on April 25, 2006, 03:19:22 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 33
ReplyPrint
Author  (Read 28161 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #45 on: May 02, 2006, 03:20:56 PM »
Reply with quote
shukriya GESU JI.............

Kaise kahun e-hansi, ki main tujhse mohabbat karta hoon,
kahana chaha kai baar, par inkaar se tere darta hoon....
TASVEER to teri kar chuki hai humse ikraar-e-mohabaat,
yeh kaise bebasi hai e-SANAM, samne aate hi chup ho jata hoon....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Tasveer Dekhayi De by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri tasveer by majid in Shayri-E-Dard
teri tasveer by innocent.devil20 in Shayri for Dard -e- Judai
teri tasveer by sahood in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Pooja
Guest
«Reply #46 on: May 02, 2006, 03:25:32 PM »
Reply with quote
Chupi teri bhi bahoot kuch batati hai
Teri najaro mai, meri tasveer dikhati hai
Dil magar tere izhaar-e-bayaan ko tadpata hai
Karty ho jab payaar, to kayun yah dil apka darta hai!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #47 on: May 02, 2006, 03:30:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"

Kaise kahun e-hansi, ki main tujhse mohabbat karta hoon,
kahana chaha kai baar, par inkaar se tere darta hoon....
TASVEER to teri kar chuki hai humse ikraar-e-mohabaat,
yeh kaise bebasi hai e-SANAM, samne aate hi chup ho jata hoon....


kiya hai chori dil ko to zamane ki maar se kyn darte ho.
mohabbat to ki hai tumne to uske inkaar se kyn darte ho.
satta raja chalata hai itna haq wajir mein nhi hota.
izhaar kiya kyn tasveer se aapne, dil to tasveer mein hota
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #48 on: May 03, 2006, 05:21:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Chupi teri bhi bahoot kuch batati hai
Teri najaro mai, meri tasveer dikhati hai
Dil magar tere izhaar-e-bayaan ko tadpata hai
Karty ho jab payaar, to kayun yah dil apka darta hai!!!


POOJA JI bahut khoob.... aur bhondu ji nice one

Faisla hai kiya, mohabbat-e-izhaar karke rahenge,
dil ki baat aaj tumse,hum kaha kar hi rahenge.....
jo tune ikraar-e-mohabbat na ki e- sanam,
beadbi TERI TASVEER se,hum karte rahenge....
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #49 on: May 03, 2006, 05:56:58 AM »
Reply with quote
very nice all... tasveer se beadbi..  cool


Akele mein Teri Tasveer Se beadbi ho jaati hai
Dil mein chupe armaan,hothon pe  ajj jaate hain
lakh koshish ki Izhar-e-mohabbat tujse karne ki
lekin Nigah milte hi, Hosh kho jaate hain ...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: May 03, 2006, 03:52:09 PM »
Reply with quote
Yah to na hui sahi baat apki, abhi se bata de
Dil chahta hai ki, apni hi tasveer ko agg laga de
Jo yah dil chahta hai wo sab tasveer pa jaati hai
Hamare dil ki unkahin baaty, dil mai hi rah jaati hai

Hosh udaty hai apke, ki app bhi hosh uda de mere
Kaise kahein ki jeena mushkil hai ab bin tere
Kayun nasamjh ashiq ko yah samjh nahi atta hai
Teri beadabi se dil mera jala jaata hai!!!!
 :oops:  :oops:  :oops:
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #51 on: May 03, 2006, 04:00:53 PM »
Reply with quote
wow pooja ji bahut khoob
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #52 on: May 03, 2006, 06:23:41 PM »
Reply with quote
Wah ji Wah... Apni hi Tasveer se aapko jaalan hone lagi,,, Wah re IshQ...kaisi Laagan Tune lagai... :oops: :oops: :oops:




Itna Kyun Tardapte ho,
Tasveer se kya rasak hai?

Tasveer mein Toh khud tum ho,
fir kyun Tumko Jaalan hai?

Izhar tumse bhi kissi din kareinge
dil mein teri hi toh dhadkan hai

na Jaalana tum Apni Tasveer ko...
Iss mein Nigahein hain jo Tumhari
Woh is Ashiq ka Darpan hai tongue3 tongue3 tongue3
Logged
mehek
Guest
«Reply #53 on: May 04, 2006, 10:38:31 AM »
Reply with quote
kya baat hai!!bohat hi badhiya!! Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #54 on: May 04, 2006, 02:04:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
jab tasvvur tumhara kiya
zehan mein ek chehara-e-tabssum chala aaya
chasm-e-tar memeri tasveer liye
jaise sabah ka qafila chala aaya
mera to khoo-e-sawaal tha tumse mohobbat
visaal-e-yaar jaane kyon ban kar shab-e-marg chala aaya


wah kaya baat hai Majid bahoot hi acha likha hai apne!!! bahoot khooob!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: May 04, 2006, 02:15:51 PM »
Reply with quote
Quote from: "burniing_desiires"
Wah ji Wah... Apni hi Tasveer se aapko jaalan hone lagi,,, Wah re IshQ...kaisi Laagan Tune lagai... :oops: :oops: :oops:




Itna Kyun Tardapte ho,
Tasveer se kya rasak hai?

Tasveer mein Toh khud tum ho,
fir kyun Tumko Jaalan hai?

Izhar tumse bhi kissi din kareinge
dil mein teri hi toh dhadkan hai

na Jaalana tum Apni Tasveer ko...
Iss mein Nigahein hain jo Tumhari
Woh is Ashiq ka Darpan hai tongue3 tongue3 tongue3


Darpan tera mai khud ban jaau
tu kahe to tere kamre ka boot ban jaau

kayun mujko meri hi tasveer se jalaty ho
Tadpa kar dil hamara, kaya app paaty ho
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #56 on: May 04, 2006, 02:27:18 PM »
Reply with quote
pojja ji , bohot bohot achchey...

kal jo teri ,kal jo teri tasveer dekhi deevana saa main ho gaya
kal jo teri , kal jo teri tasveer dekhi begaana saa main ho gaya

julfein thi teri kaali ghataeein, palkein teri peepal ki chaaein
aankho thi neeli neelam jaisi ,unmein hum ko sharaab dikhaein

honton pey terey hal ka tabassum, gulaab ki jaisey khushboo aaey
maathey pey bindiya, chooti si, jaisey koi taara chamakta jaaey.

kal jo teri.....              


mudassir (tooba)
Logged
Deewana29
Guest
«Reply #57 on: May 05, 2006, 01:02:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Mat puch muje is tasveer mai kaya rakha hai
Bholi si ankhon mai, sansaar rucha rakha hai
In ankhon se jhalkaty sawalo mai, main hu
Tumne khud mai, kahin mujko chupa rakha hai

Jab bhi laati hu AKS tera khud ke khayalo mai
Pa jaati hu her taraf raah, ghane kale badlo mai
Muskuan teri ,Mujko bahoot suhaati hai,
jameen meri kahin thum si jaati hai

yah honth tere, kuch na bol kar bhi bol jaaty hai
sunana chahti hu jo main, wo ras kano mai ghol jaaty hai
dekhty ho is tarah ki, bad kar utha logy mujko
jab bhi hogi preshan, seene se laga logy mujko

jab bhi tasveer teri ankhon ke samne laati hu
band kar ke ankhon ko, bahoot skoon paati hu
Mat puch muje is tasveer mai kaya rakha hai
Teri aks ne, mere khayalo mai, mera  khawab saja rakha hai!!!

Pooja ji apki shayari ne to gayal kar diya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: May 05, 2006, 01:32:02 PM »
Reply with quote
thanks to all nice to see you Deewana29 ji!!! bahoot dino baad yaad aai apko Yoindia ki ...


Kayun ajj dil nahi manta
Tere bin sab suna sa janta
Kayun aise yaado mai akar sataty ho
Palak jhupakty hi najaro se gum ho jaaty ho

Khawab mujko haqiqat lagane lagi
Haqiqat meri khawabo mai basne lagi
Bas gaye ho jo dil mai, to ab itna bata do
Teri Tasveer sung kaise gujaru din, itna samjha do
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #59 on: May 12, 2006, 01:31:03 PM »
Reply with quote
bahut khoob pooja ji...........

Palkon me teri kaid ho kar rahana hai mujhko,
in aankhon ko apna ghar banana chahta hoon main...
bin tere sab soona-soona, tu hai to yahana bahar hai,
isliye in aankhon se ab door nahi jana chahta hoon main....
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 33
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 09, 2024, 08:48:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer