Tum mere kaya ho…

by Pooja on November 15, 2005, 04:43:37 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 6231 times)
thycreator
Guest
«Reply #60 on: June 13, 2007, 08:01:48 PM »
Reply with quote
Thanks Raj n pooja.............
Pooja.........tumhare liye....

Tumhe jo dekh le toh kya kami mayakhane ki,
Nazar se nazar mila lo, kare tauheen paimane ki,
Teri har bat mein nasha hai, har ada mein nasha,
Tham lo gar jo hath toh kya fikr hai zamane ki....Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #61 on: June 14, 2007, 04:36:33 AM »
Reply with quote
Tumse kar baat, her baat suljh jaati hai
Kahte ho kuch nahi, her baat badal jaati hai
Pakar tumhe dil mai ek armaan ayya hai
Tum mere kaya ho, is sawal ka jawab ayya hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #62 on: June 14, 2007, 04:34:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Tumse kar baat, her baat suljh jaati hai
Kahte ho kuch nahi, her baat badal jaati hai
Pakar tumhe dil mai ek armaan ayya hai
Tum mere kaya ho, is sawal ka jawab ayya hai


wah wah.......

Hai kaun khushnaseeb wo jisko ye tohfa mila,
Uspe vishwas ka tumhare dil mein gul khila,
Ek muddat se ye koshish kar rahe hai hum,
Aaj tak meri muhabbat ka mujhko nahi mila sila...Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #63 on: June 15, 2007, 04:47:07 AM »
Reply with quote
Hai koi jis per yah dil ayya hai
Is dil ne jisko apna banaya hai
Ek muddat se tanha tha yah dil
Usne akar jeevan mehkaya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: June 19, 2007, 09:03:20 PM »
Reply with quote
Chali hai kuch aise hawa
Her taraf sirf khumar hai
Mujh per yakin karne wale
Han, mujhko bhi tumhi se pyar hai

Pucha karta tha yah dil mera baar baar
Tum mere kaya ho… kaya tere man bhi yah sawal hai
Chale ho sath ab to sath hi rahna sada
Teri chaht per mujhko poora aitbaar hai!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #65 on: June 20, 2007, 09:24:07 AM »
Reply with quote
Wah wah Bahut KHooooob Pooja ji. !!!! Usual Smile Usual Smile


Ek Nazar Dekh Kar Usko Yaaron, Usi Ke Ho Gaye Hum,
Uske Khwaabon ki Galiyon me Kho ke Raha Gaye Hum...

"Tum Mere Kya Ho" Yeh Kaha Kar Chal Diye Wo Pal Me,
Aur Is Mushkil Sawal Ka Koi, Jawaab De Na Paye Hum............!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: June 20, 2007, 04:02:00 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Vicky ji!!!

Is sawal ka jawab asaan nahi
Dil deta hai sath, juban ka sath nahi
Bebas khud hi armaan kar jayege
Ek din kon hai hum, app khud hi kah jayege
Logged
thycreator
Guest
«Reply #67 on: June 20, 2007, 04:08:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Hai koi jis per yah dil ayya hai
Is dil ne jisko apna banaya hai
Ek muddat se tanha tha yah dil
Usne akar jeevan mehkaya hai


Wah Pooja.....

Kash ki tum ek bar mujhe apna samjho,
Hakikat ko meri tum na ek sapna samjho,
Ek bar keh bhi do jisse sun.ne ko hum tarse,
Phir mar bhi jayen toh hame hoga gum na samjho...Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: June 20, 2007, 05:20:11 PM »
Reply with quote
Haqiqat ho tum koi khawab nahi
Apki is baat ka mere pass jawab nahi
Samjh sako to samjh lo meri haya se yah
Pyar ek haqiqat hai koi khawab nahi……
Logged
paani
Guest
«Reply #69 on: June 21, 2007, 10:55:50 AM »
Reply with quote
nice again pooja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: June 21, 2007, 08:09:59 PM »
Reply with quote
Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton se
To kabhi mandir ki moorton se
Kabhi uryaaniyon ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq... (NM)
Logged
paani
Guest
«Reply #71 on: June 22, 2007, 05:04:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton se
To kabhi mandir ki moorton se
Kabhi uryaaniyon ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq... (NM)


nice sharing Pooja.... it's really nice one
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: June 22, 2007, 02:41:34 PM »
Reply with quote
shukaria paani ji!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #73 on: June 23, 2007, 09:49:08 AM »
Reply with quote
wah wah.............kamal hai.........

Kabhi kehte ho pyar hai, kabhi inkaar karte ho,
Jane ye muhabbat ka kaun sa iqraar karte ho,
Samjh jaye jisse ye dil wo jubaan kyu nahi kehte,
Kyu bewajah mere iss dil ko beqraar karte ho...Winking
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #74 on: June 25, 2007, 12:34:06 PM »
Reply with quote
Hum to Sanam ashiqi Mein chal Basenge
Tumne jo na pehchana, Koudiyon ke bhav bikenge

Eik baar jo Lapata hue Tere gunche se
Aye Baghban, Tere Bigiche mein kabhie na dikhenge

Karke Sitam muhabaat ko tujhe mile Gar suKoon
Teri kitaab mein naam apna sabse upar likhenge

Phir bhi Na ho Bharosa to bataa Ishq Karne ki Saza Kya ho
JisKo Rakhtein Sabse kareeb Dil ke, Puchtein hain wo humse ke ...
Tum Merey Kya hoo ?
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 12:33:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer