Uljhan

by Sonu on January 21, 2006, 04:06:57 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28
ReplyPrint
Author  (Read 22089 times)
Sonu
Guest
«Reply #375 on: November 29, 2006, 07:20:26 AM »
Reply with quote
bahut khoob Majid  bahi...

Ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau,
Suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau,
Yun to chaand ki tareef karna aasan hai,
Par kar sake aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
 

Quote from: "majid"
HUMAARI MUSKAAN AAP KI KAMZORI HAI....
PAR AAP KI MUSKAAN TO HUME JAAN SE BHI PYAARI HAI....
AAPNE TO MOHABBAT KO KHAMOSHI KA NAAM DE DIYA...
PAR USKA KYA JO MOHABBAT HUMAARI AANKHO SE HUMESA AAPKE LIYE CHALAKTI HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
? by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
ULJHAN..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
zingi ki uljhan by dalbir_ss_sandhu in Shayari -e- Husn
ULJHAN by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
Uljhan..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals « 1 2  All »
_Vicky_
Guest
«Reply #376 on: November 29, 2006, 11:16:02 AM »
Reply with quote
bahut khooob SONU JI aur MAJID BHAI...
kamaal kar diya aap dono ne...... Usual Smile
Logged
Sonu
Guest
«Reply #377 on: November 30, 2006, 03:50:54 AM »
Reply with quote
shukriyaa Vicky ji..... apney kuch likha nahi....

Quote from: "majid"
shukariya VICKY bhai n SONU si.....

YAAD KAR MUJHE TO WOH AAWAZ NIKLEGI.
AAP KE KAANO KO CHHULE WOH HAWA GUZREGI.
MERA AKSH YUN CHAND SE NA MILA ..E..SANAM...
WARNA US CHAND KE SEENE SE BHI AAH NIKLEGI..
Logged
Sonu
Guest
«Reply #378 on: November 30, 2006, 03:55:14 AM »
Reply with quote
bahut khoob Majid bahi...


ham apne ikhtiyar ki had se guzar gaye
chaha tumain to pyar ki had se guzar gaye
 
likhe gayeen naseeb main kuch aise hijratain
har ajnabi dyar ki had se guzar gaye
 
jagi hai apne dil main gulabon ki arzuu
jab mosam e bahaar ki had se guzar gaye
 
ab zakhm haye dil ka kahan tak shumar ho
yeh zakhm to shumar ki had se guzar gaye
 
teri nigah e mast se ham itni pee gaye
itni kay har khumar ki had se guzar gaye
 
ahsas mar chuka hai khushi hai na gham koee
jaise kay jeet haar kee had se guzar gaye
 
hasrat se moj e gham be hamain dekhti rahee
ham behr e b kinaar ki had se guzar gaye
 
ati hain saaf saaf nazar gam ki manzilain
yeh qaflay ghubaar ki had se guzar gaye
 
Sonu woh log roz e qyamat se kia darain
jo teray intzaar ki had se guzar gaye
 

Quote from: "majid"
shukariya VICKY bhai n SONU si.....

YAAD KAR MUJHE TO WOH AAWAZ NIKLEGI.
AAP KE KAANO KO CHHULE WOH HAWA GUZREGI.
MERA AKSH YUN CHAND SE NA MILA ..E..SANAM...
WARNA US CHAND KE SEENE SE BHI AAH NIKLEGI..
Logged
Sonu
Guest
«Reply #379 on: December 06, 2006, 04:43:22 AM »
Reply with quote
shukriya Majid bahi... app bhi kuch likhu naa apkey shiar perdker acha legda hia or phir mood ben jata hia nahi to mood nahi benta hia ..... to ek ahda shair likh deya kro...

Quote from: "majid"
shukariya behna aur bohat achha likha hai aapne
Logged
Sonu
Guest
«Reply #380 on: December 06, 2006, 04:44:41 AM »
Reply with quote
Gazal jo likhi hai par kahoon kay say
     Kisi ki baat kisi say kahoon kay say
 
    Teri baat pay chup hai zamana
    Teri baat par baat kahoon kay say
 
    Suna hai wo koshiyon k dees say lota hai
    Us say gham kay fasanay phir kahoon kay say
 
   Na jaan saki tery dil ki baat ab tak
   Tuj say apnay dil ki baat phir kahoon kay say
Logged
pinky
Guest
«Reply #381 on: December 06, 2006, 08:30:33 PM »
Reply with quote
hmm..lagta hai majid kisi soch mein doobe hain..
bina kuch likhe hi chale gaye..!!
koi problem majid???
Logged
Sonu
Guest
«Reply #382 on: December 07, 2006, 05:12:21 AM »
Reply with quote
koi bat nahi majid bahi... keya huya sab kahiryat to hai na... koi bat nahi jub mood karey to likh deyna...

Quote from: "majid"
sorry behna aaj to kuch nahi likh paunga
dilaur dimag dono saath nahi de rahe so sorry next tine ok
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #383 on: December 07, 2006, 02:08:36 PM »
Reply with quote
wonderful   work  Sonu.........Vicky.........Majid bhai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #384 on: December 08, 2006, 05:03:25 AM »
Reply with quote
shukriyaa waheed ji....

Quote from: "waheed_rose2004"
wonderful   work  Sonu.........Vicky.........Majid bhai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #385 on: December 08, 2006, 05:04:47 AM »
Reply with quote
Kehte ho Mujh se Ishq ka Afsaana chahiye
Ruswai ho gayi, Tumhein Sharmana chahiye

Khuddar itni Fitrat-e-Rindana chahiye
Saaqi ye Khud kahe Tujhe Paimana chahiye

Matti Kharab karte ho Kyun Beemar-e-Hijr ki
Jo Tum pe Mar gaya use Dafnana chahiye

Aankhon mai Dam ruka hai kisi ke liye zarur
Warna Mareez-e-Hijr ko Mar jana chahiye

Wada Andheri Raat mai Aane ka tha “Sonu”
Ab Chaand Chhup gaya unhein aa jana chahiye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #386 on: December 18, 2006, 05:24:48 AM »
Reply with quote
Majid bahi bahut khoob... bahut acha likha hai apney...

Quote from: "majid"
Eik Shaks Apni Yadain Mere Naam Kar Gaya
Marte Hue Apni Mohabbat Mere Naam Kar Gaya

Jaate Jate Itna woh Ehsaan Kar Gaya
Sab Ke Samne Mujhe BadNaam Kar Gaya

Iss Se Jo Kiya Karte The Chup Ke Tanhayee Mein
Woh Batain Meri Sari Sar-E-Amm Kar Gaya

Woh Shaks Jiss Ka Har Din Har Pal Intizar Tha
Raaton Ke Neendein Bhi Meri Haraam Kar Gaya

Woh Bandi-E-Khuda Shayad Thi Adaon Ki Raani
Jo MujKo Bhi Apni Adaon Ga Gulaam Kar Gaya

,Majid, Abhi Aagay Bhi The Kayi Manzilein Aashiq Ke Bakee
Woh Abtida Mein Hi Iktetaam Kar Gaya
Logged
Sonu
Guest
«Reply #387 on: December 18, 2006, 05:25:19 AM »
Reply with quote
ek woh din tha jab tere nazare mere aankhon se mile
phir woh din aaya jab mere ankhon se dard ka aansoon bahe
aaj woh din hai jab mere toote dil se lahoo hi nikale
kab woh din aayega jab mere seene se tere dil nikelenge
Logged
pinky
Guest
«Reply #388 on: December 18, 2006, 07:42:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob...
Usual Smile
Logged
Sonu
Guest
«Reply #389 on: December 19, 2006, 02:57:03 AM »
Reply with quote
shukriyaa Majid bahi....bahut khoob Majid bahi ....

KABHI HUM BHEEGTE HAIN CHAAHTON KI TEZ BAARISH MEIN........
KABHI BARSON NAHI MILTE KISI HALKI SI RANJISH MEIN........ ..
BOHUT HAIN ZAKHAM IS DIL MEIN MAGAR EK ZAKHAM AISA HAI......
JAL UTHATA HAI RAATON MEIN JO LOTA DETA HAI BAARISH MEIN......
 


Quote from: "majid"
saanson ki lay par dhadkanein jab tera naam leti hai
tanhaiyan thandi aahon se khanzar ka kaam leti hai

yeh kaisi beqarari hai jisko sukoon ki chah nahin
deewanon se mohabbat bhi kaise inteqaam leti hai

kaun pyasa reh sakta hai hasinaon ki mehfil mein?
aankhon ke maikhanon se jab aankhein jaam leti hai

un bejubaan lamhon mein jaise waqt thehar jata hai
jhuk kar uth_ti palkein jab dil ke paigaam leti hai
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 02:16:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer