Woh aaina ab toot gaya hai...

by -Kashish- on September 15, 2010, 02:37:12 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4191 times)
diya786
Guest
«Reply #15 on: September 17, 2010, 10:30:30 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Kashish ji... bahut pyaari poem hai... dil ko chhoo gayi aapki kavita... kuch likhe bina humse raha nahi gaya...



har aaina to kaanch ka hi hota hai,
mera dil bhi kisi kaanch se kam nahi,
jab tak tum the ye sheesh mahal lagta tha,
aaj tum nahi to ye kuch tukdon se kam nahi,
ek toofan ke aane se wo mahal dheh gaya,
aaj pyaar nahi aur koi sheeshmahal nahi,

kabhi tumse milne ko hum bhi betaab the,
aaj tumhaare jaane se wo betabi rahi nahi,
kal tak tumhse hi har kali mehekti thi,
aaj tum nahi to koi phool gulaabi rahi nahi,
aaj har phool murjhaa gaya hai,
kisi baag me aaj rahi bahaar nahi,

ehsaas to aaj bhi hamaare ek se hi hain,
alfaz bhi apne ab tak koi badle nahi,
fark bas itna hai kal pyaar tha aaj dard hai,
par aaj bhi tumhaari koi baat hum bhoole nahi,
har yaad seene me dard banke sama gaya hai,
aaj tum nahi to muskuraaane ki koi wajah nahi,

kal tumhaare saath tanha the, aaj akele hai tanha,
tanhaayi ka aalam kal bhi tha aur aaj bhi badla nahi,
kal tak har mehfil tumse hi sajti thi,
aaj mehfilon me waisi rounak nahi,
kal tak jeene ki ek umang thi dil me,
aaj tum nahi to koi umang bhi nahi,

dil me tum mere aaj bhi ho,
fark bas itna hai ki tum kareeb nahi,
chaaha tha tumko khud se badhke humne,
par shayad tumhaare dil me mere liye kuch nahi,
tumhaare jaane se tut chuka hai mera "Hriday",
aaj tum nahi paas to kuch bhi hum nahi...


Bohat hi umda kalaam likha hai aapne...
shukriya ki aapko humara likha hua pasand aaya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rishta bhi toot gaya by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 8 9 »
Toot Gaya... by angel4u in Shayri-E-Dard
Mera Dil TooT Gaya........ by Ghulam Haider in Shayri-E-Dard
Aaina bhi sharma ke toot jata hai by Sunil Malhotra in Shayari -e- Husn
WAQT AAINA DIKHLA GAYA .......................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3 4  All »
diya786
Guest
«Reply #16 on: September 17, 2010, 10:33:27 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut bahut Khoob Kashish ji..

Bahut Hi Gehre Jazbaat!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapko Yahan Dekhkar Bahutttt Khushi Hui hai..Yuhi Likhte Rahiye.. icon_flower



Bohat Bohat shukriya Bhaiya ki aapko humein dekh kar khushi hui...
accha laga jaankar ki koi hai jise humri maujudgi se khushi milti hai...
saraahne ke liye bhi bohat bohat shukriya...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: September 17, 2010, 10:36:38 AM »
Reply with quote

Bohat Bohat shukriya Bhaiya ki aapko humein dekh kar khushi hui...
accha laga jaankar ki koi hai jise humri maujudgi se khushi milti hai...
saraahne ke liye bhi bohat bohat shukriya...


Kyon Naa Khushi Hogi Aapko Dekhkar Kashish..Itna Acha Likhte Ho Aap Aur Ab To Aapne Bhai kehkar Humse Ek Anmol Rishta Bhi Jod Liya..

Ab Iss Bhai ki Baat Humesha Maaniye Aur Yopar Humesha Active Rahiye  icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #18 on: September 17, 2010, 01:37:00 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kashish ji...!!!


Bohat hi umda kalaam likha hai aapne...
shukriya ki aapko humara likha hua pasand aaya...

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #19 on: September 19, 2010, 12:18:27 PM »
Reply with quote
kashishji bahut khoob .
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #20 on: September 19, 2010, 12:34:07 PM »
Reply with quote
Ek pal tha woh jab hum saath the
Ek doosre ke haathon mein haath the
Kuch ehsaas kuch umeedein aur kuchkhwab paas the
Aaj tere jaane se mere armaano ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek din milne ki chaahat mein
Jaane kitni raatein aankhon hi aankhon mein guzaarte the
Kuch kahenge aur bohat kuch sunenge
Aaj teri khamoshi se meri baaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek hi jaise ehsaas mein jee rahe the
Ek jaise hi alfaaz keh rahe the
Kuch lamhe jo dono ko azeez the
Aaj teri ankahi sunkar mere jazbaaton ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tere saath tanha rehne ke liye
Jaane kitni mehfilein chod dete the
Kuch waqt tere saaye mein baith_te the
Aaj teri berukhi se meri nazron ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

Ek tujh mein bas rahi thi main
Aur ek tujhe hi dil mein basa rakha tha
Aaj tere anjaan hone se meri "kashish" ka
Woh aaina ab toot gaya hai...

 


bahut khub kashish ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #21 on: September 24, 2010, 12:29:09 PM »
Reply with quote
Kashish... Dard Ke Sath Mohabbat Ko Lafzon me Behad Khubsoorati Se Utaara Hai Aapne.. Zindgi Me Kya Kami Raha Gai.. Aapka Yeh Qalaam Padh Kar Humen Bhi Kuch Aisa Ehasaas Hua.. Aur Hum apne Dard se Phir Dil Laga Baithe..!!

Yaadon aur Mohabbat Bhare Lamhaaton Par likhe aapke yeh alfaaz Dil Tak utar Gaye.. Bahut hi Umda Peshkas hai... Applause Applause

Dil se Daad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #22 on: September 24, 2010, 12:32:47 PM »
Reply with quote
Wo Chup Hain, Khamosh Hain Par Tanha Nahi Hain,
Meri Yaadon Ke Saaye Jo Sath Hain, Har Lamha Unke....!!




**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 12:46:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer