--- Woh laut ayi -----

by BeNam on April 28, 2005, 11:16:53 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5398 times)
BeNam
Guest
«Reply #15 on: September 19, 2005, 05:24:32 PM »
Reply with quote
--- Thanks Poojaji -------------

Kabul ho her dua teri ai dost,
Na juda ho hamsafar kisika kabhi bhi ai dost,
Khuda na kare kabhi tujh per yeh qayamat aye,
Tujhe teri mahobaat main kamyaab banaye!

---- BENAM ------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Aa jaoo laut ker tum~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
Laut aao Jaana(n)....!!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: September 19, 2005, 05:29:09 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukariyan janab!!

Mil kar kare dua, to dua mai bhi jaan aa jai
Jo na ho khuda ka mann, tab bhi uski jubaan per haan aa jai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #17 on: September 19, 2005, 06:21:28 PM »
Reply with quote
--- kya baat hai Poojaji ----

Dost mere kar yakin mera,
mehbooba meri hi khuda hai mera,
Gar tu us tak pahuncha de hale dil mera,
Yeh Benam rahega zindagi bher gulam tera!

---- BENAM ------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: September 19, 2005, 06:27:48 PM »
Reply with quote
haal-e-dil khud hi mahboob ko sunaya jai
bata kar kisi aor ko, na usko ruswan kiya jai
jo hai wo tera khuda, to uske khuda per bhi kar yakin
rakh khud per vishwaas, aor uski ankho mai ab khud ko khuda banaya jai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #19 on: September 19, 2005, 06:38:21 PM »
Reply with quote
---- WOW Poojaji bahot hi wazan hai in bataon main ----

Mujhe yakin hai mahobat pe meri,
Laut ayegi woh kaheti hai her dhadkan meri!

Dil nahi manata ke bewafa hai woh,
Intazaar kar raha hun usi raah per,
Jahan chhod gayi thi woh!


---- BENAM ------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: September 19, 2005, 06:41:16 PM »
Reply with quote
na ruk kahin per bhi, ki waqat kabhi nahi rukata
jo hai wo naseeb tera, to tuje mill jayegi
chal khud ko sambhal kar waqat ke sath sath
payar ke ilawan bhi hai manjile, jo tuje mil jayegi!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #21 on: September 19, 2005, 06:55:08 PM »
Reply with quote
----Bahot Khoob ---

Yahan manzilon tak pahunchane ka arman hai kise,
Hum toh khush hai ke kabhi chaha tha usney,
Na rote hai mahobaat main uski, bus intazaar kayam hai,
Woh ayegi laut kar, isi baat per mera pyaar kayam hai

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: September 19, 2005, 06:58:45 PM »
Reply with quote
Wah kaya Vishwaas hai!~!!!!!! bahoot khoob!!

yah alag baat hai ki mai Izhaar nahi karati
Lakin iss baat se inkaar nahi karati
Dharkano mai sunati hu roj tera hi naam
Sirf Juban se Ikraar-e-bayaan nahi karati!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #23 on: September 19, 2005, 07:15:05 PM »
Reply with quote
--- Wah guru wah ------

Humey hai intazaar ki woh izhare mahobaat kare,
Mere darde dil per thoda toh rahem kare,
Mana ke thandi ahe bharate hai woh,
Ek baar to kahe do meri mahobaat ka dum bharate hai woh!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: September 19, 2005, 07:21:42 PM »
Reply with quote
jo kahna parra Jubaan se, to wo muhbaat kaya hogi
Jo parr na paye nigahe, wo deewane ki nigah bhir kaya hogi!!!

Jhuki palko ko uthane ke liye, khud hi aor kadam barra
Jo uth jai khud se nigaah, bhir wo haan kaya hogi!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #25 on: September 19, 2005, 07:36:22 PM »
Reply with quote
--- Subhan Allah, You have knocked me down ---------------

Deewane ki niyat saaf hai hazoor,
Bus ishq ka arman hai zaroor.
Hum inhi adaon per toh mer mite hai kab se,
Agar na kare woh izhare mahobat to hai kiska kasoor.

Mana ki pyaar chalakata hai ankhon main tere,
Per janam ishq ka anjam ruka hai labon pe tere!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: September 19, 2005, 08:01:52 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!! kamal ka jawab likha hai apne!!!!

Ruke lubo ko, kaise hum khol de
Jo bol rahi hain ankhy, wo lubo se kaise bol de
Muskaan teri bhi, samjha rahi hai bahoot kuch
Sata rahe ho hume ab, aor kahty ho ki husan satana chor de!!!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #27 on: September 19, 2005, 08:15:37 PM »
Reply with quote
----- What an answer!!!! Bravo!!!! -----------------

Na kholo lab toh khat main likh do,
Hale dil apana labzo main rakh do,
Hum nahi thukarayenge wada hai hamara,
Ek baar himmat se apana daman toh de do!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: September 19, 2005, 08:21:41 PM »
Reply with quote
Najro ki baty, wo khat mai mangty hai
yakin nahi husan ka, dekho wo saboot mangty hai
jo de chuke hai jaan, unke daman ki mang hai
ho chuka hai faisla phir yah teri dewaangi ki baat hai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #29 on: September 19, 2005, 08:26:42 PM »
Reply with quote
Mana ki yeh deewangi hai hamari,
Jo mang baithe aukat se jyada hamari,
na shak kar meri niyaat per hamsafar,
Yeh paheli mahobaat hai hamari!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 08:42:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer