yeh bheega sa mosam.......!!!!!!!!!!!!

by ranjana on June 25, 2006, 10:50:33 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 12174 times)
Pooja
Guest
«Reply #45 on: June 27, 2006, 02:53:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "burniing_desiires"


yeh bheega sa mausam,aur pass tu nahi
iss se badi sajja, mere mehboob, aur kuch nahi

aa jao kahin se,band karo humein yu satana
kuch karo khayal sanam tardpe yeh dewaana

yeh badal ka takrana,aur dil pe bijli girana
dil mein hai armaan, ajj tujhe mein hai kho jana

chale thandi pawan,teri mehek mujhe de jaye
barse jo badli ,agg dil mein aor badak jaye

mere pyaase lub tere honthon ko chahe
haste hain sabke saamne,akele mein murjha jayein

dil kare lagga lu abhi tujhe aapne seene se
hath mere hawa mein bar-bar khaali laut aaye

Iss bheege se mausam mein mann sirf tumehin chahe
Dil kare tu khayalon se abhi ke abhi Haqiqat  ban jaye ...!!!


wah kaya baat hai... her kisi ne bahoot hi dil se likha hai... good job FAHI, Jeet and Ranju!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #46 on: June 27, 2006, 05:26:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"

... her kisi ne bahoot hi dil se likha hai...


sukriya Pooja .... Aur appke kya haal hai... barish ke iss mausam mein aap jaisi Gr88 Shayara ko kuch toh  likhna chahiye... :D :D
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #47 on: June 27, 2006, 07:47:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "ranjana"

wah jeet bhi rang gaye mosam ke rang mein..... :D  bahut hi beautiful..........

yeh mast  barish ke mosam ki fiza fir se chhayi hai
yeh meheka sa sama aur dil ki dharkane  hamko kahan le aayi hai

yeh teri shokh si aadae yeh teri mast si nigaahe
sama yeh keh raha hai ki hum inmein dub ke reh jaaye

dara rahi hai aaj yeh badalo ki garzane ki awaz
kahi hum dar ke aaj tere seene se hi na lipta jaaye

sambhal lena mere humsafar aaj tum mujhko
yeh barsaat ka mosam hai kahi hum bin peeye hi na behak jaaye


ranjana ji.... mausam mast.. aor aapne mehboob se doori... hal behaal kiye ja rahi hai


dekho fiza yeh kitna kehar dhaa rahi hai
doori tumhse humse na abb sahi jaa rahi hai

yeh barish ki awaaz mujhe teri hassi lagge
har ek boond ke sath doori ka ehsaas karwati ja rahi hai

garje jo yeh badal toh dhadkane teri laagge
lipat jaye mujhse,dil mein yeh armaan jaga rahi hai

sambhalon kaise ,khud madhosh ho chuka hu tere khayal se
meri saanson teri saanson se takrane kodekho kaise tardpe ja rahi hai...!!!


bahut khub jeet .......aur sahi piya bin sawan hamko na bhaaye.............


bahut darte hain hamko  yeh kaale badal ke saaye
piya bin sawan hamko bilkul  na bhaaye.............
rimzim  jab girti hain bochare tan per
yeh mujje ko deti hain aur jalaaye
hawa machal ke hamko hai reejhaati
ab is beri pawan ko kaun samjhaaye
mera dupaata bhi aaj hua hai besharm
tan se mere chipka hi jaaye..........
piya gaye hain pardesh aise ki
unko toh ab hamari yaad na aaye
kaise beetaye yeh sawan ka mosam ab hum
piya bin sawan hamko toh na bhaaye


ranju....too good...everyone also...BD......good good yaar :D:D:D

binh mausam ki yeh barrish, ekh dastan sunaye
isse pyar ki barsaat mein, maan mera bhegha jaye

mujhe dekh kar ye chand bhi sharmagaya
inh badloon mein kaheen jakar chup gaya

ajj rahi na yaad woh laaj aur sharam
isse barsaat mein mera taan-maan bhegha jaye :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #48 on: June 28, 2006, 03:51:06 AM »
Reply with quote
bahut khub anjani dear..........

aaj yeh  ghataaye kaisi ghir ghir ke aaye.n
piya ke aane ka sandesha kya mujh tak pahunchaye?

jhum ke aa rahi hai yeh mast hawa
kya piya ne mere kaano mein kuch kaha?

mann mayuari sa aaj naach utha  hai
unke aane  se sawan ka bhi rup kaisa khila hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #49 on: June 28, 2006, 05:53:55 AM »
Reply with quote
ab kya kahe!.....sab ek se badkar ek hai .........

 bundo ki madhoshi mai ,teri sarfaroshi mai
 ye dil machalne lagta hai ,raato ki khamoshi mai
 
jhoom jhoom kar barasti bundo ke sang
 nachta rehta hai mera man bhi  mor ki tarah
 hota hai sard ahsaas har us  pal mai
jab chuke jaati hai mujhe thandi hawaa
 
yaad aata hai aisi barish mai hum dono ka woh ek saath bheegna
 jab ek duje mai kho jaate the hum ,bhulakar is samaaj ko
 sirf apne pyaar ke aalam mai ,dhadkano ke saaj per

 ek dusre se lipat jaate the,
sab sharmo haya ke pardo ko karke taar taar
 sirf pyaar ki barsaat mai
  paane ke liye  ek duje ka pyaar
 
 bheege bheege tano se dil mai shole jalne lagte the
   ek duje mai gum ho jaane ko jehan tarsa karte the
 aur jaise tham sa jaata tha sama hamre milan per
 kadakti thi bijliya dono ke man per

aaj bhi un yaadon ke ahsaas mere saath chal rahe hai
in barish ki bundo ke sang raat ke andhere mai pal rahe hai ...

aur ek ummid si jo man mai jagne lagi hai
ki agli barsaat mai hum honge phir saath mai.
phir bhigayenge ek duje ko shararat se
 honge hamare haath ek duje ke haath mai........
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #50 on: June 28, 2006, 06:02:14 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Ranju, Anjani and PJAG... Bhoot ach alikha hai PJAG JI
Logged
ranjana
Guest
«Reply #51 on: June 28, 2006, 10:59:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
ab kya kahe!.....sab ek se badkar ek hai .........

 bundo ki madhoshi mai ,teri sarfaroshi mai
 ye dil machalne lagta hai ,raato ki khamoshi mai
 
jhoom jhoom kar barasti bundo ke sang
 nachta rehta hai mera man bhi  mor ki tarah
 hota hai sard ahsaas har us  pal mai
jab chuke jaati hai mujhe thandi hawaa
 
yaad aata hai aisi barish mai hum dono ka woh ek saath bheegna
 jab ek duje mai kho jaate the hum ,bhulakar is samaaj ko
 sirf apne pyaar ke aalam mai ,dhadkano ke saaj per

 ek dusre se lipat jaate the,
sab sharmo haya ke pardo ko karke taar taar
 sirf pyaar ki barsaat mai
  paane ke liye  ek duje ka pyaar
 
 bheege bheege tano se dil mai shole jalne lagte the
   ek duje mai gum ho jaane ko jehan tarsa karte the
 aur jaise tham sa jaata tha sama hamre milan per
 kadakti thi bijliya dono ke man per

aaj bhi un yaadon ke ahsaas mere saath chal rahe hai
in barish ki bundo ke sang raat ke andhere mai pal rahe hai ...

aur ek ummid si jo man mai jagne lagi hai
ki agli barsaat mai hum honge phir saath mai.
phir bhigayenge ek duje ko shararat se
 honge hamare haath ek duje ke haath mai........



nice fahi ..........good ...ek kahaani ki tarah pada isko .....bahut khub..............


yeh baarish hai ishqe ki pehali pehali
ek bhaware ne ek  kali ki sari kushboo pee li

dikh rahe aaj woh kuch is kadar haseen
ki meri aankho ne jhuk ke unke labo ki pyaas pee li

ek jadu sa ho gaya hai is barsaat mein unse mil ke
ek tamaana thee jindagi ki jo aaj hamne is pal mein jee li
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #52 on: June 28, 2006, 12:05:12 PM »
Reply with quote
sukriya pooja ji & ranjana ..........and nice 1 ranjana........

 machal rahi thi jo khawish tere jism ko bheegane ki
 is bewaqt barish ne hai use pura kiya

................@fahi@.................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #53 on: June 28, 2006, 12:18:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
sukriya pooja ji & ranjana ..........and nice 1 ranjana........

 machal rahi thi jo khawish tere jism ko bheegane ki
 is bewaqt barish ne hai use pura kiya

................@fahi@.................


is bewaqt ki barish ne hamare dil ko kuch yun diwana kiya
na hosh raha apna na khabar hui apne dil ki ,
jo chhipaa thaa sab mere dil mein us raaz se parda hata diya
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #54 on: June 28, 2006, 01:36:46 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Fahi and Ranju

Na ho Tanhai Na hee koi Dard ki Ladi ho......
Guzare WaQt yoon he haste haste bas aise hee mausam ki Jhadi ho.....

Raat Suhani toh Dinn bhi ek Dariya ho.....
Tu bhi behte Rangeen Fizaon me ek behti Nadiya ho....

Karti ho basar harr Khushi tere Dil mein......
Meethi ho Awaaz teri to bhi beete Zamaane ki Surayiaa ho.....!!!!!!!!
[/color]
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #55 on: June 28, 2006, 05:20:36 PM »
Reply with quote
bahut ache gaurav bhai.......

na kisi ishq ki ranjish se,naa hi mere dil ki khawish se
bheega hai aaj jism tera sanam is bemausam barish se

................@fahi@......................
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #56 on: June 28, 2006, 06:03:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
bahut ache gaurav bhai.......

na kisi ishq ki ranjish se,naa hi mere dil ki khawish se
bheega hai aaj jism tera sanam is bemausam barish se

................@fahi@......................



teri mohabbat ki barsaat mein
maan mera maine aikh toofan utha hai
isse barsaat mein, maan mera bhi bhegha hai

inh badloon ki rusvaiyi mein
taan mera mein bhi aikh josh aya hai
isse barsaat ke mausam mein , taan mera bhi bheegha hai

chand ki ghoostakhi mein
chandni bhi muskurayi hai
isse barsaat ke mausam mein, chandni bhi rang layi hai

BS,ranju, fahi all realy good :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #57 on: June 29, 2006, 04:50:06 AM »
Reply with quote
bahut khub anjani and fahi...........

barsaat ke din aur lambi si raat
bas hotho per  hai teri hi baat

kaisa nasha hai yeh in aankho mein meri
thamati nahi hai barsaat mein bhi payaas

tere deed ki chaha mein talashati hain nazare tujhe din raat
mere dil ke is tapte veerane main na jaane kab hogi tere pyaar ki barsaat
Logged
ranjana
Guest
«Reply #58 on: July 09, 2006, 12:46:12 PM »
Reply with quote
barsi jab kali badriya kyu mera jiya ghabarya
sajan ne sajane ke kaano mein pyaar ka geet gya

jhum utha dil sabka jab megh  ne malhaar gaya
dekho yeh barsaat ka mosam fir pyaar ban ke chhaya

koi kaise rok paayega aaj gungunane se
is barkha bahaar ne toh har dil ko diwaana banaaya
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #59 on: July 09, 2006, 03:33:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
barsi jab kali badriya kyu mera jiya ghabarya
sajan ne sajane ke kaano mein pyaar ka geet gya

jhum utha dil sabka jab megh  ne malhaar gaya
dekho yeh barsaat ka mosam fir pyaar ban ke chhaya

koi kaise rok paayega aaj gungunane se
is barkha bahaar ne toh har dil ko diwaana banaaya


Na machal aise ke hawa rukh badal jaye.....
Kar jaye hum baatein kuch Dil ki.....
Badal toot pade aur baarish ho jaye.....

Kya hoga sama jab dekh hume Khuda bhi jhoom jayega.....
Khil uthengi sab Kaliyaan jahan ki aur Bhawra tujhpar mandrayega.......!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 12:02:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer