Aansoo bahaane nahin aate humein ...!!!

by Delicate_Doll on August 29, 2005, 08:52:44 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 6033 times)
Delicate_Doll
Guest
«Reply #45 on: September 13, 2005, 02:29:29 PM »
jee humtum janab bahut bahut shukriya kya karein apne jaise he collection rehenge na lolzzz :wink: lol

well again gr888888 one hamesha ki thara
n another one 4rom ma collection


==========================
"Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey,
khushi Mili To Hans Na Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sakhey,
jis ko chaha,Apna Na bana Sakhey...

Aap chale Gayen,
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na Sakhey,
Par jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sakhey,
Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaake Phirthey Hain,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Ham na Samaj Sakhey,
jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhey...
Ab Palko ko Band karke ,
Pal Mein Apke pass Hote Hein,
Magar jab Ankhon ke Samne Thay,
jee Bhar ke Dekh Bhi Na Sakhey,
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na Sakhey,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Ham Na Samaj Sakhey,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa Sakhey...
Ab Aap K Saath ke Liyeh
Har Pal Tarapte Hein,
Magar jab Aap Tarap Rahey the,
To Saath Na Desakhey,
Dil To Rotaa Rahey Par
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj Sakhey...
Dil itni Chot Khakar Bhi
Aap Hee ko Chhahta kyon Hai,
Hum Samaj Na Sakhey,
Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi....
Aap Hamarey Nahin Hein!
Ye, Dil ko Samjha Na Sakhey,
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...
Aap Humein Bhool Gaey,
Magar Hum Na Bhoola Sakhey..
Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey,
Waise Aap Hamare Na Ho Sakthey,
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe...
nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI NAHIN HUMEIN TUM SE PYAARI by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TUMHAARE DIL PE HUMEIN IKHTIYAAR HAI K NAHIN by waquif ansari in Ghazals
HumTum
Guest
«Reply #46 on: September 14, 2005, 08:55:56 AM »
Shukriya ..... Salu ... nice collection agian .. like u  Winking




ishq bhi magar hai ek aatish-e-pinhaah
ghar jab pura jal gaya to samajh aaya mujhe

kabhi kuch tootne per aawaaz hoti nahi
dil ke jab tukre huye to samajh aaya mujhe

unki muskaaan bhi kisi rahazan se kum nhi
lut gaye jab khare khare to samajh aaya mujhe !!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #47 on: September 15, 2005, 08:56:41 AM »
jee shukriya aap he ke karam se lol Usual Smile

wow han jakas n gr8 jawab ...badiya hai humtum jee Usual Smile
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #48 on: September 22, 2005, 06:53:25 PM »
Sochte hain unko yaad kar ke, kuch aanson baha zaroor denge
Lekin hume toh aasoon bahane ke liye ye ashk bhi saath na dete
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #49 on: September 22, 2005, 07:11:21 PM »
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai...
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai...
NM
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #50 on: September 22, 2005, 09:25:10 PM »
Bohat khoob Salma & HumTum...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #51 on: September 23, 2005, 06:24:32 AM »
Thanks ArYaan
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #52 on: September 23, 2005, 06:32:16 AM »
Aankhon pe aasunon ki lakir si bann gayi,
 Kabhi socha na tha aisi taqdeer bann gayi.
nm
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #53 on: September 23, 2005, 12:58:24 PM »
Good One Salma...

Aapke liye Salma..

Sheeshey se bani ik larki
Pathar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur pathar se takraayi..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #54 on: September 24, 2005, 02:12:50 PM »
WoW ArYaan humare liyekya ..!!!! bahut khoob likha hai aapne :oops: Usual Smile


Sheeshey se bani ye Ladki
Sheeshey jaise dil paya hai
agar koi tod diya to koi baath nahin hai
wo toh uska ehsas b nahin karati hai
lekin jo bhi usska sheeshe ka dil simtega
ussko simatne nahin dete hai
kyunki kahi wo sheesha unko na chup jaye
issliye dil todne ka ehsas karye bina chupke se reh jati hai

hmmmmmmmmm
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #55 on: September 24, 2005, 07:53:41 PM »
Bohat shukriya aur kya reply hai Salma... Bohat khoob..

Sheeshey ka Dil samajh kar
Pathron ne jise Choar diya
Kaanton se tau bach gaya
Magar Phoolon ne usey toar diya
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #56 on: September 26, 2005, 11:58:25 AM »
Shukriya Aryaan teh dil se shukriya juz try kiya lekin hum apki thara nahin likh sakte :oops:

Sheeshey se bani ye ladki,patharon ke sheher me aa pahunchi
sochi thi ke sab yahan hain uske koi apne apne
jo isski mushkurahat ke peeche chupa gam jaanega
ye nahin janti hai ke sab apna faida dekhte jayega
aanson chupa kar mushkurana ye jaanti hai ,
logon ke fitrat se ye bahut he aanjan rahe gai
dil iss ka mom se bana tha uljalon ke liye jala diiya
ab mana kar kya faida ye dil iss ka tot gaye, ab nahin sambhalega


:oops:

thanks aryan one again aap ki tharah hum aacha nahin likh sakte :oops:
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #57 on: September 26, 2005, 12:45:58 PM »
Aji Salma, acha khaasa tau likh leti hain aap... Beautiful reply again..

arz kiya hai..

Jis Ke Saaye Se Bhi Aksar Hamein Darr Lagta Tha
Chuu Liya Phir Ussi Hasrat Ne Hamein Kya Kijiye..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #58 on: September 27, 2005, 07:42:16 AM »
Aryaan :oops:Usual Smile thanks a lot buddy


n again nice one ARYAAN


Jee rahe hum kisi ki yaad mein...
kya unne ye kabar hai...
intezar kar rahe unka har pal mein...
kya unne ye ehsas hai...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #59 on: September 27, 2005, 07:50:18 AM »
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga


Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga


Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiay Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga


Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Tumko Pashtaana Hoga


Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaoungi
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga


Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga


Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga
nm
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 11:22:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer