Adat

by Pooja on March 22, 2007, 01:25:27 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4169 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: March 28, 2007, 12:40:21 PM »
pooja didi, shika kuddiye, niraj ji aur sharma ji (nice to c u back) ..sab ne kamal ka likha hai!!
very nice starting didi!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Unki adat thi tadpne ki by Asif samani jaunpuri in Shayri for Khumar -e- Ishq
Adat se majboor ek saks.... by Monu.verma in Shayri for Khumar -e- Ishq
adat by insu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri adat ka by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq
adat E Mohabbat by saira hafeez in Shairi - E - Zindagi
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #16 on: March 28, 2007, 02:13:11 PM »
Quote from: "Pooja"
Bahoot sahi kaha AKS ji!!

Dil ki ahmiyat ab kuch bhi nahi
Paiso ki khanak hi ab zindagi bani

Kuch sikke aor badal gaya imaan
Ajj ki duniya main koi insaaniyat nahi

Hu apni adat se majboor, jo khud ko badalti nahi
Badlta dekha her ek shakas, jo kaha kiye, badlna unki fidrat nahi


Thanks Pooja ji!!! & Meena ji!! :D

Paise ki is duniya mein kab kaun kisi ka hota hai!
Dhokha bhi wahi dete hain, jinka  bharosa hota hai!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: March 28, 2007, 02:25:09 PM »
bahoot sahi kaha AKS JI!!

Wo apni adat se majboor, sahi hi nahi sakte
hum apni adat se majboor, un bin rah nahi sakte
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #18 on: March 28, 2007, 02:32:49 PM »
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha AKS JI!!

Wo apni adat se majboor, sahi hi nahi sakte
hum apni adat se majboor, un bin rah nahi sakte



Majbooriyaan hi aadmi ko jhaag sa bithati hain
Majbooriyaan hi aadmi ko khak mein milati hain!
Majbooriyon se aadmi kabhi bach nahin sakta!
Majbooriyaan hi aadmi ko aadmi banati hain!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: March 28, 2007, 10:24:56 PM »
bahoot sahi kaha AKS JI!!

majboori jab majboori se takraati hai
kahin na kahin Insaan ko akal aa hi jaati hai
soch main pad jaata hai Insaani deemag
kyun itani si baat samjhane main, samjh waqat lagati hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #20 on: March 29, 2007, 03:27:10 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha AKS JI!!

majboori jab majboori se takraati hai
kahin na kahin Insaan ko akal aa hi jaati hai
soch main pad jaata hai Insaani deemag
kyun itani si baat samjhane main, samjh waqat lagati hai


Nice said  Pooja ji!! Usual Smile

Kaise bataun Tumhein main apni kahaniyaan!
Dekhi bahut hain humne  waqt ki nafarmaniyaan!

Bahut kam tha paani khushi ka saagar mein,
Apni Zindagi ki thodi Jiyada  thi gehraaiyaan!

chaha tha khilein khushi ke phool tumhaare gaalon par,
Goonje hardam tumhaare dil mein shehnaaiyaan!

Do pal ki khushi bhi kaise mujhe mayassar hoti,
Muqaddar mein jab likhi hui thi pareshanniyaan!

Ab Ek Ujda sa gulshan hai, aur Tukde-tukde dil hai,
yeh hi bas rah gayi hain mere paas nishaniyaan!
[/color]
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #21 on: March 29, 2007, 04:11:27 AM »
Wah wah wah wah! Kya mehfil jami hai yah.. Pooja ji kamal ho tussi.. Niraj j i & aks Ji bahoot khoob likha hai aap dono ne...

Humne tho Zindagii ko
jine ki aadat ho gai hai..
Pucha hai sawal humse badal
tumhe tho barasne ki aadat ho gai hai..
Logged
paani
Guest
«Reply #22 on: March 30, 2007, 04:37:00 AM »
Quote from: "Pooja"
Khud hi khud ko rishto main bandhati hu
Khud hi khud ki socho main jhankati hu

Kuch nahi duniya main mere liye
Yah bhi tahe dil se main janati hu

Tootati hai soch aor tadap jaati hu main
Kyun khud ko her waqat, gumo se bandhati hu



wah pooja ji wah.  ab to aadat hai muzuko u jeene ki..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: March 30, 2007, 04:54:34 PM »
shukaria AKS ji, Divya and Paani.... ..

AKS ji kamal ka likha hai apne.....

Good job Divya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2007, 08:27:30 PM »
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha AKS JI!!

majboori jab majboori se takraati hai
kahin na kahin Insaan ko akal aa hi jaati hai
soch main pad jaata hai Insaani deemag
kyun itani si baat samjhane main, samjh waqat lagati hai


Bahut khoooooooooooob Pooja ji....

Majboori Insaan ko Yaroon, kya se kya bana deti hai,
Shareef Insaan ke Haath me Hathiyar thama deti hai.........

Phir Kuch Aata nahi Samajh, kya Sahi aur kya Galat,
Samajhne se phale hi yeh, Insaan ko Mita deti hai..........!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: April 01, 2007, 10:16:39 PM »
bahoot khoob Vicky ji!!!

Adat hai humko unhe manane ki
adat hai unhe bin baat lard jaane ki

kaise ruthate manate ho gaye juda raste
jaise waqat ko adat thi, sab khatamkar jaane ki
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #26 on: April 01, 2007, 11:10:22 PM »
Quote from: "_Vicky_"
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha AKS JI!!

majboori jab majboori se takraati hai
kahin na kahin Insaan ko akal aa hi jaati hai
soch main pad jaata hai Insaani deemag
kyun itani si baat samjhane main, samjh waqat lagati hai


Bahut khoooooooooooob Pooja ji....

Majboori Insaan ko Yaroon, kya se kya bana deti hai,
Shareef Insaan ke Haath me Hathiyar thama deti hai.........

Phir Kuch Aata nahi Samajh, kya Sahi aur kya Galat,
Samajhne se phale hi yeh, Insaan ko Mita deti hai..........!!!!!


Waah Vicky ji!! Very Nice written!!! Usual Smile

Surkh kyon aab palkon ki jheelon ka hai!
zakhm mere badan pe kyon keelon ka hai

Is Samander ki seepi ke lab khushk kyon,
Is Samander ka Rakbaa to meelon ka hai!

Jism se Jism to khair mil jaayenge,
maamla dil mein utthi faseelon ka hai!
[/color]


(NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: April 02, 2007, 03:42:36 AM »
wah kaya baat hai, thanks for sharing with us AKS JI!!!

Khat unka ajj phir ayya hai
maafi ka farmaan laya hai

Adat humari wi achi tarah wakif hai
hunme bh is baar, na maaf karne ki thami hai

badal jaati hai adat bhi, irada chahiye
waqat ke sath badlna, shayad ab yahin chahiye
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #28 on: April 02, 2007, 04:47:12 AM »
Thanks Pooja Di
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #29 on: April 02, 2007, 07:20:22 AM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai, thanks for sharing with us AKS JI!!!

Khat unka ajj phir ayya hai
maafi ka farmaan laya hai

Adat humari wi achi tarah wakif hai
hunme bh is baar, na maaf karne ki thami hai

badal jaati hai adat bhi, irada chahiye
waqat ke sath badlna, shayad ab yahin chahiye


Waah Pooja ji!! Nice written!!

Baat khat ki khat tak hi rah jaye to achchha!
Yeh nai roshni zara aur bikhar jaye to achchha!

muddat se wahi gham hain wahi bekasi wahi aansu,
Yeh waqt kahin Muqaddar hi badal jaye to achchha!
[/color]
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:16:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer