Kyun har baat ko kaleje se laga leta hai tu
Kyun har shaks ko apna bana leta hai tu
Kyun chupke chupke siskiyan bharta hai tu
Kyun zindagi ka chalan nahi seekhta hai tu
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai!!!
Kyun tanhaaiyon se ghabra jata hai tu
Kyun awaazo ke shor se dar jata hai tu
Kyun har qadam pe mud ke dekhta hai tu
Kyun na aanewaale ka rasta takta hai tu
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai!!!
Har shaks behtar hai tujhse ye baat jaan le tu
Sab hain achche aur ek tu hi kharab maan le tu
Aahon aur ashkon ke sath jeena ab seekh le tu
Tanha hai tu aur tanha rahega...dekh le tu
Dil-e-naadan yunhi zindagi basar kar tu!!!!
wah talat bhai...... sari rachna bhut hi achi hai.....
dil se agar kabhi teraa aramaan jaayegaa
ghar ko lagaake aag ye mehamaan jaayegaa
duniyaa pe aisaa vaqt padegaa ki ek din
insaan ki talaash mein insaan jaayegaa
excellent.....talat..................humtum......
 .....
Kaal Shab Main Ne Sapna Dekha 
Saath Main Tere Hud Ko Dekha 
Hathun Main Haath Tha Tere 
Mehka Hua Ghulshan Dekha 
Phool Hi Phool The Charun Aor 
Nachta Un Per Bhanwara Dekha 
Tare Mil Ke Nach Rahe The 
Chand Ke Sang Chandni Ko Dekha 
Teri Chahat Tera Pyaar 
Ankhon Main Teri Hud Ko Dekha 
Pyaar Ki Barish Baras Rahi Thi 
Bhigta Apna Tan Maan Dekha 
Meri Khushiyan Merey Sapmne 
Wabasta Sab Kuch Tujh Se Dekha 
Tere Bin Adhhuri Main 
Hud Ko Muqammal Tujh Se Dekha 
Mere Angan Khushiyan Jhanki 
Sukh Ka Badaal Tujh Se Dekha 
Kaal Shab Main Ne Sapna Dekha 
Saath Main Tere Hud Ko Dekha....................................(nm)