Kuch mahine hogaye yeh kalam likhe...Ek sachai, ek dard, ek kahani hai yeh kalam...Maine yeh kalam ansuon ki sihai se likha tha...Ek dard ke saath likha tha...Aj halat kuch alag hai mager yeh kalam ek yaad hai unn lamhon ki jab koi saath hoke saath na tha...Jab ek dost pyaar main tabdil hone jaa raha tha...Umeed hai pasand ayega...Bada badnaseeb hoon,
Jo hume chchta hai; wohi chorr jata hai,
Jisse pana chahta hoon; wohi dil torr jata hai,
Sabko apne mehboob ke saath dekta hoon,
Khushion ke saager main sabko doobte dekta hoon,
Bas ek main hi bada badnaseeb hoon…
Bada badnaseeb hoon,
Jisse na paa sakoun ussi se mohobat hojati hai,
Phir toh bas zindagi andheron main dhal jati hai,
Nadi ke kinare ponch kar bhi pyaasa laut ata hoon,
Jahan se pyaar mangoun bas thukraya hi jata hoon,
Aur dil yehi kehta hai ‘bada badnaseeb hoon…’
Bada badnaseeb hoon,
Jisse pasand aa bhi jaun who apne ehsason ko mar deta hai,
Kehke yeh ke usse koi bhavishya nazar nahin ata hai,
Kehne ko toh kafi logon ka aziz hoon,
Bas mohobat ki duniya main thorra sa gareeb hoon,
Sach hai yaaroon; bada badnaseeb hoon…
Lavson ka kadva teer mere seene main chuboya jata hai,
Ab toh apni zindagi ko kabrastan ki tarha veeran pata hoon,
Sone se pehle na uthne ki dua mang jata hoon,
Sache dil se ab uss Rabb ke pas laut jana chahta hoon,
Par kya karoun; maut se bhu thukraya hi jata hoon,
Dil se kehta hai Rahim; ‘bada badnaseeb hoon…’
~Rahim~
Bahut khoom Rahim Ji