Bichard kar bhi....

by Pooja on June 26, 2007, 06:42:26 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2617 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: October 03, 2007, 07:56:14 PM »
Wah wah wah kaya baat hai Meena… bahoot hi acha likha hai… dil ko chu gai apki her ek line!!!!

Bichard kar wo mujhse, mujh main hi muskurane laga
Lagta tha sath sath jo ajnabi, bichard kar humraz wo lagne laga
Socha kiye, kaise na samjh paaye usko
Jakhamo ko dene wala, dil ka tukra lagne laga
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bichard Ke Bhi Mujhe by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
Tere houtho se bichard kar hasee roti hai (Ghazal) by Advo.RavinderaRavi in Ghazals
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 03, 2007, 08:10:28 PM »
BAHUT KHOOB POOJA..DIL KO BEHAD KHUSHI HUI KE AAPNE AAJ  BAHUT DINO KE BAAD AAJ PHIR LIKHA...HUMEIN INTEZAAR REHTA HAI AAPKA LIKHA PADHNE MEIN.. Usual Smile
Logged
faiiz_76
Guest
«Reply #17 on: October 03, 2007, 08:10:39 PM »
very very nice....

rog bohat hain jog bohat
meray apnay log bohat
meray weeran kamray main
tanhayi ke sog bohat


take care.nd keep sharing
Logged
sapnaa
Guest
«Reply #18 on: October 04, 2007, 06:00:02 AM »
Quote from: "Pooja"
Jeene bhi nahi dete, aor marne bhi nahi dete
Bichard kar bhi kyun, mujhko, khud se bichardne nahi dete

Waqat ke sung sung, kyun mujhko chalne nahi dete
Beet chuka hai jo sab kuch, kyun usko beetane nahi dete

Hath hai khali aor yah dil jakhamo se bhara
Rulate ho khud hi mujhko, aor phir rone bhi nahi dete

Jeene bhi nahi dete, aor marne bhi nahi dete
Bichard kar bhi kyun, mujhko, khud se bichardne nahi dete!!


Very Nice Pooja...bahut acha likha hai.bichard kar bhi kyun,mujhko,khud se bichardne nahi dete...very nice lines
Logged
SHONA
Guest
«Reply #19 on: October 04, 2007, 11:00:06 AM »
Quote from: "Pooja"
Bichard kar bhi wo bichard kayun nahi jaata
Kis liye hai meri yaadon mai ajj bh hai atta
Thak jaati hu main toot kar rah jaati hu
Kuch bhi to phir samjh main meri nahi atta

Karta hai wo baaatin jaise ajj bhi payar hai mujhse
Phir apni galat bato se wo baaz kayun nahi atta
Bichard kar bhi wo bichard kayun nahi jaata
Kis liye hai meri yaadon mai ajj bh hai atta


Beautiful one pooja.as khwaish said pleasure to see you back...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: October 08, 2007, 03:23:13 PM »
bahoot bahoot shukaria khwaish ji!! apke comments bahoot protsahit karte hai likhne ko!!!

Thanks Sapnaa, Shona and Faiiz ji!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: October 08, 2007, 05:28:58 PM »
SHUKRIYA...

BARBAAD YUH DAR-O-DEWAAR  NAHI HOTE
KUCH LOG LOOTERO MEIN
 AGAR APNE NAHI HOTE
YEH ZINDAGI HUM JEETE HAI UNKE LIYE
JINHE HUM APNA SAMAJTE HAI,
PAR WOH APNE NAHI HOTE
BICHAD KAR BHI BAHUT YAAD AATA HAI
WOH MANZAR "KHWAISH"
PAA LETA USSE JO JISKE LIYE TADAPTA RAHA ZINDAGI BAR...
PAR AFSOS, KABHI SACH SAPNE NAHI HOTE
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: October 08, 2007, 05:35:55 PM »
bahoot sahi kaha khwaish ji.. kabhi such sapne nahi hote!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #23 on: October 08, 2007, 05:42:00 PM »
Very good khwaish !

Bailkul sahi framaya jaise ki Pooja ne kaha...KABHI SACH SAPNE NAHI HOTE !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: October 08, 2007, 07:31:57 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYYA POOJA & RAJBIR...

BAND PALKON MEIN NA JAANE
KITNE SAPNE KHILE
HAR KHUSHI KE SAAYE  MEIN AANSU MILE
SAPNE BHI AB HAQEEQAT
KA ROOP HONE SE DARTE HAI
JAB DEKHA KE INSAAN KE DIL MEIN
 NA JAANE KITNE KHWAISHE PALTE HAI
KAUN APNATA HAI YAHAN KAANTON KO "KHWAISH"
HAR EK KI TAMANNA  HAI.....
PHOOLON KI HI KHUSBOO MILE
SAPNE BHI AB SIRF AANKHON MEIN HI
BAS JAANA CHAAHTE HAI
SACHAI KI DUNIYA SE DOOR HI
REHNA CHAAHTE HAI.... :cry:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #25 on: October 09, 2007, 01:11:47 PM »
Quote from: "Pooja"
Jeene bhi nahi dete, aor marne bhi nahi dete
Bichard kar bhi kyun, mujhko, khud se bichardne nahi dete

Waqat ke sung sung, kyun mujhko chalne nahi dete
Beet chuka hai jo sab kuch, kyun usko beetane nahi dete

Hath hai khali aor yah dil jakhamo se bhara
Rulate ho khud hi mujhko, aor phir rone bhi nahi dete

Jeene bhi nahi dete, aor marne bhi nahi dete
Bichard kar bhi kyun, mujhko, khud se bichardne nahi dete!!


bahut khoob pooja didi  sad5

Mohabbat dono tharaf se hui,
bichadne ka dard dono ne saha hai,

dil ki raagon me dard dono tharaf hui,
judai ka manzar dono ne saha hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: October 09, 2007, 03:24:01 PM »
bahoot khoob khwaish ji and salma!!!! Mera likha pasand karne ka bahoot bahoot shukaria!!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #27 on: October 09, 2007, 03:27:21 PM »
nice words by all!!

keep it up... :arrow:  :arrow:  :arrow:
Logged
SHONA
Guest
«Reply #28 on: October 09, 2007, 07:10:53 PM »
Too good pooja...beautiful flow of poetry  khwaish...

Kuch bikhre sapne aur aankhon mein nami hai
Ek chota sa aasman aur umeedo ki zameen hai
yuh to bahut kuch hai meri zindagi mein
par jisse chahti hoon dil-o-jaan se
ussi ki kami hai.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: October 10, 2007, 07:58:37 PM »
Quote from: "SHONA"
Too good pooja...beautiful flow of poetry  khwaish...

Kuch bikhre sapne aur aankhon mein nami hai
Ek chota sa aasman aur umeedo ki zameen hai
yuh to bahut kuch hai meri zindagi mein
par jisse chahti hoon dil-o-jaan se
ussi ki kami hai.....


THANX A LOT SHONA...BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE

BIKHRE HUE UN SAPNO SE HI KAAM LO
MAN MEIN KHILTE HUE PHOOL KA HI NAAM LO

JISPE HAQ HO,SIRF USSE HI APNA KEHNA
ZAROORI NAHI KE,HAR EK KE HAATH SE JAAM LO

WOH KHUDA BI TUJHE SAZA DE KAR RO PADE
APNE SAR PE AISA KOI ILZAAM LO

BICHAD KAR UNSE,KHOON KE AANSU
RO LENA "KHWAISH",KOI GHAM NAHI.....
PAR UNKE AANKHON MEIN JO PAL RAHA HAI
ASHQ KA SAMUNDAR
APNE AANKHON KE NAAM LO..
BIKHRE HUE SAPNO SE HI KAAM LO
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 02:42:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer