<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 30, 2010, 05:01:20 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2092 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #15 on: October 03, 2010, 12:24:10 PM »
thankyou sooooooo much for That eagerness Anu ji.. icon_flower

par reply kahan hai khwaish jiiiiiiiiiiiiiii..... sad5 BangHead icon_geek
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya kya bana diya by Bhavesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha bana diya by jh in Shayri for Dard -e- Judai
Pathar bana diya mujhe rone nahin diya ... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
bana diya(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shayar Bana Diya by ~Hriday~ in Share:Love Poetry
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 03, 2010, 12:58:41 PM »
<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>


Lakeeron se maine apna hath saja liya
Tu na mila to maine in hathon ko jala diya

Tere naam se sajte rahe the mere din aur raat
Ek teri baat ne mujhe tanhaoyon se mila diya

Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha
Jab tumne hathon se mere kangan hata diya

Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi
Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya

Dekh duaon ka chaan fir se manga tha kal raat tujhe
Lekin khuda ne aaj mujhko dua ka ye sila diya

Ab na koi khwaish na koi umang reh gai jeene ki
Maine khud ko ab chalti firti ek laash bana diya...!!!

Jis Din yeh Poetry padhi thi, ussi din main yeh likh gaya tha par post karne mein Thodi deri ho gayi...umeed karta hoon yeh poetry aapko khaas taur par pasand aaye..Shukriya..


Apne Haathon Ke Lakeeron Mein
Tera Naam Hum Bhi Dhoondhte Rahe...

Talaash Thi sirf Ek Manzil Ki Jahan Tere Nishaan Ho,
par Jo Chale Umar Bhar Hum Bas Chalte Rahe...

Tujhe Jahan Dekha Waha Apna Basera Bana Liya
Hum Tere Saaye Ke Khaatir Dhoop Mein Jalte Rahe....

Tera Naa Hona Bhi Ab Saath Hone Jaisa Hi Hai!!!!
Kismat Ke Aage Hum Humesha Haath Apne malte Rahe...

Ashkon Ko Aankhon Mein Qaid Kar Baithe The Hum Bhi!!!
Kisi Ne Tera Naam Liya To Aankhon se Ashko ki Motiyan Behte Rahe..

Dard Ka Sehra Liye Dil mein Khamosh Raha Main Umar Bhar!!!!
Gham Humare Dil Hi Dil Mein Phoolte-Phalte Rahe...

"Khwaish" Bhi Chalte Phirte Laash Ki Tarah Hi Hai Eh Humdum!!!!
Kuch Khwaab Aise Bhi The Jo Tootkar Bhi Inn Palkon Par Palte Rahe...

                    ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: October 03, 2010, 01:25:17 PM »
wahhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhh khwaish ji waahhhhhhhhhhhh

what a reply ji....... Applause Applause Applause Applause Applause
dil me lehrein uthad i likhne ko aur apne aap hi ungliyan chal padi..
jo bana wo aapke samne hai ji.......

Dhalti shaam k dhundhalke me hum chhupte rahe
Khudse hi milne se ab hum aksar hi darte rahe

Naa dekh le koi tujhe meri aankho me ee sanam
Iss dar se apni palkein har pal hum jhukate rahe

Dekhte hi tujhe dil de baithe the hum tujhko
Lekin ye dil ki baat tujhse hi chhupate rahe

Na jane kya kashish thi teri saadgi bhari boli me
Teri baaton me hum apne dil ka dard  bhulate rahe

Teri wo chhote bachche si maasum muskaan se
Dil me uthti ye *KasaK*  hum kum karte rahe…!!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: October 03, 2010, 02:02:35 PM »
wahhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhh khwaish ji waahhhhhhhhhhhh

what a reply ji....... Applause Applause Applause Applause Applause
dil me lehrein uthad i likhne ko aur apne aap hi ungliyan chal padi..
jo bana wo aapke samne hai ji.......

Dhalti shaam k dhundhalke me hum chhupte rahe
Khudse hi milne se ab hum aksar hi darte rahe

Naa dekh le koi tujhe meri aankho me ee sanam
Iss dar se apni palkein har pal hum jhukate rahe

Dekhte hi tujhe dil de baithe the hum tujhko
Lekin ye dil ki baat tujhse hi chhupate rahe

Na jane kya kashish thi teri saadgi bhari boli me
Teri baaton me hum apne dil ka dard  bhulate rahe

Teri wo chhote bachche si maasum muskaan se
Dil me uthti ye *KasaK*  hum kum karte rahe…!!!


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya Kahoon!!!! Dil Ki Baaton Ko Awaaz De Gaye Aap..Bahut Hi Khoobsurat!!

yeh Ishq Ki Raah Nahi Asaan Par Phir Bhi,
Hum  Iss Raah par Chalte Rahe...

Tujhe Kabhi kahin Dhoondha Naa Tha Par Ab Mehsoos Hota Hai!!!
Tujhse Milne Ke baad Dil mein Hazaaro khwaishe Ab Machalte Rahe...

Nazrein Churaane Se Agar Mohabbat Se Bach Paata Insaan To kya Baat Thi!!
Tu Naseeb Mein Nahi!! Jaanta Hoon
Par Phir Bhi Tujhe Paane ke Liye Hum Din-Raat Tadapte Rahe..

Teri Saadgi Ne Loota Hai Mujhe Iss Kadar!!!
Ke Dil Tujhpar Hum Haar Gaye,
Iss Haar Ki khushi mein Hum jhoomte Rahe....

Dil mein Jo kasak Uthti hai Usse Zinda Rehne Do!!!
Sirf Tere Naam Ko iss Mehfil Mein Hum Pehro Thakte Rahe...

"Khwaish" Ko Koi Puche Uske Dil Ki Hasratein!!!
Hum Bhi Teri muskaan par Jee-Jaan Se Marte Rahe....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #19 on: October 03, 2010, 02:20:56 PM »
Kya kehne aapke reply k khwaish ji….mastam masttttttttt
Sach lagta ahi jaise zindagi me kisika intezar karte rahe…aur wo na mila…

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Kuch alag sa likh diya maien aapke jawab me..umeed hai aapko pasand aayega….


Yunhi raahon me chalet hue ek tanha safar me
Mil gaye ho tum hame yahan iss mod par

Ab na jaana kahin bhi tum ee humdum  mere
Mujhe tanha kar ke iss anjane mod par

Nahin jaante hum manzil kahan kahan meri nazar hai
Tum kho na jana mere sath chalkar iss mod par

Akele kahin kho na jayen hum iss kathin safar me
Tum hath thaame rehna mera iss kathin mod par…!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: October 03, 2010, 02:38:45 PM »
Kya kehne aapke reply k khwaish ji….mastam masttttttttt
Sach lagta ahi jaise zindagi me kisika intezar karte rahe…aur wo na mila…

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Kuch alag sa likh diya maien aapke jawab me..umeed hai aapko pasand aayega….


Yunhi raahon me chalet hue ek tanha safar me
Mil gaye ho tum hame yahan iss mod par

Ab na jaana kahin bhi tum ee humdum  mere
Mujhe tanha kar ke iss anjane mod par

Nahin jaante hum manzil kahan kahan meri nazar hai
Tum kho na jana mere sath chalkar iss mod par

Akele kahin kho na jayen hum iss kathin safar me
Tum hath thaame rehna mera iss kathin mod par…!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Ache...bahut Hi khoobsurat Ehsaas Anuji..


Tujhko Paane Ki Beinteha khushi Hai Iss Dil mein
par sach kahoon to tujhe Khone Se Darta Hoon..

Agar Iss Ehsaas Ko Mohabbat kehte hai
To Haan!!!! Main Mohabbat Karta Hoon...

Saath Rahe Dono To Har raah,har Mushkil Asaan Hogi
Sirf Teri khushiyon ka Main Talabgaar Nahi!!!
Teri Mushkile,Teri pareshaaniyon Ki bhi Main Kadar karta Hoon...

Agar Ho naseeb mein Milna To hum milenge Zaroor!!!!
Kin lafzon mein Main Tujhe Batau Ke
Tere Deedar Ko Main Pal-Pal Marta Hoon....

Tera Haath Agar thaama Hai To Darr kis Baat Ka!!!
Zindagi Ek khoobsurat Safar Hai Agar tu saath Hai!!!
To Teri Badaulat Main Sirf Khushiyon Ke sang safar Karta Hoon...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #21 on: October 04, 2010, 09:07:10 PM »
Bahut achha Kasak ji...

jo lut gaya makaam wo khaali nahin tha... ek kone mein teri yaadein sambhalkar rakhi thi... aur ek taraf tera ehsaas... wo bhi tu mujhse chheen le gaya...

na aansu baha na fariyaad kar "kasak"...  sambhaal kar rakh use  khud mein kahin... !


Apki yeh akhri line dil ko bahaut choo gayi..bahaut khoob..! Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #22 on: October 04, 2010, 09:08:11 PM »
Anamika di, original post aur baki sab posts bahaut sunder hai..maza aya parrne main..khaas tour par original post.bahaut dard hai usme..ankhein bheeg gayi aur dil ko choo gayi..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #23 on: October 04, 2010, 09:08:41 PM »
Bahaut bahaut khoob Kapil Dost..bahaut maza aya parr kar..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: October 04, 2010, 09:09:29 PM »
Khwaish Dost, kya kehne apke..bahaut bahaut khoob..bahaut maza aya parr kar..
bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #25 on: October 05, 2010, 12:28:32 AM »
bahut bahut shukriya Rahim bhai...!!!

Bahaut bahaut khoob Kapil Dost..bahaut maza aya parr kar..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: October 05, 2010, 02:10:15 PM »
Khwaish Dost, kya kehne apke..bahaut bahaut khoob..bahaut maza aya parr kar..
bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bhai Rahim, kehne Walo ki Kadar Tab hai Jab Aap dost usse pade..

Aapka Tehhhhhh Dilllllllll Se Shukriya Mere Bhai.. icon_flower
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 04:26:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer