dard ban kar lafz...

by Affluent on October 27, 2007, 05:49:23 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2488 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: November 12, 2007, 03:44:14 PM »
apki shayri ke liye wah likhna acha nahi lag raha hai Affluent, kyun ki apki kavita mai shabd apke dil se aa rahe hai aor kisi ke dard-e-bayan per wah kaise likh du!!!

Apne bahoot hi ache shabdo main, apne dard ko, apni kavitao mai sameta hai!!! Good job!!!

Her lamha ek hi khayal, her lamha ek hi sawal
Kyun kaise yah sab mujhse ho gaya
Kaise yah dil itna nirdai ho gaya
Kyun nahi suni maine apne dil ki
Kyun mera her ek armaan so gaya!!

Khayalo ki nagari mai, mai aor mera rajkumar
Kaise mere khayalo se juda ho gaya
Khali hai nigah, khali khayal, aor wo hi sawal
Na hai koi jawab, dil mai bas her pal rahta hai ek malal

Thak kar kismat ko de deti hu sara dosh
Apne hi diye dard mai rahta nahi koi hosh
Zindagi lagne lagi hai bahoot bada bojh
Ek ek kar ke nikalta ja raha hai her ek roj (din)!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aik lafz by gulzargul in Miscellaneous Shayri
do lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
lafz lafz dard kaa samandar hai...............Mamta Bajpai by mamta bajpai in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
khuch lafz..dil se....dard se --------------nikhaar by Nikhaar in Miscellaneous Shayri
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: November 13, 2007, 01:56:48 AM »
Bohat khoob Affluent, Azeem & Pooja...
Logged
Affluent
Guest
«Reply #17 on: November 13, 2007, 04:09:49 PM »
Thanks again Aryan and Pooja,

aapki post ka reply, mujh par due raha. baad mein post karta hu.
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: November 14, 2007, 11:59:51 AM »
Quote from: "Affluent"
Eh Waqt! tu mujhe kahan le aaya hai
na koi manzil, na sathi humne paya hai

kaanch se sapne,ek-ek kar tootein hain
dard ban kar lafz, kagaz par utar aaya hai


Bohot khoob Affluent, Welcome to Yoindia Usual Smile
Logged
Affluent
Guest
«Reply #19 on: November 19, 2007, 04:04:56 PM »
Very Much Thanks Talat, Glad you liked and comment me Usual Smile
Logged
Affluent
Guest
«Reply #20 on: November 19, 2007, 04:06:14 PM »
Quote from: "Pooja"
apki shayri ke liye wah likhna acha nahi lag raha hai Affluent, kyun ki apki kavita mai shabd apke dil se aa rahe hai aor kisi ke dard-e-bayan per wah kaise likh du!!!

Apne bahoot hi ache shabdo main, apne dard ko, apni kavitao mai sameta hai!!! Good job!!!

Her lamha ek hi khayal, her lamha ek hi sawal
Kyun kaise yah sab mujhse ho gaya
Kaise yah dil itna nirdai ho gaya
Kyun nahi suni maine apne dil ki
Kyun mera her ek armaan so gaya!!

Khayalo ki nagari mai, mai aor mera rajkumar
Kaise mere khayalo se juda ho gaya
Khali hai nigah, khali khayal, aor wo hi sawal
Na hai koi jawab, dil mai bas her pal rahta hai ek malal

Thak kar kismat ko de deti hu sara dosh
Apne hi diye dard mai rahta nahi koi hosh
Zindagi lagne lagi hai bahoot bada bojh
Ek ek kar ke nikalta ja raha hai her ek roj (din)!!!


samjh nahi aa raha tha, kis lehaj se aap ne yeh kavita mujhe reply ke roop mein di. issi liye jawb dena bohaat kathin lag raha tha, jitna samjh aaya  apko reply dene ki koshish ki. hope i had done justice with my words.

pathar dil ki nagri wale
pathar hi ban jate hain

aadhe adhure khawab dikha kar
massomiyat woh loot jate hain

khud karte hain izhar-e-vaffa
lalach apni ko nakab pehnate hain

batate hain usse "tumsa koi nahi"
aor mann hi mann muskaate hain

jab tadapta hai woh phir insaan
athaas uska,mehfil mein sunate hain

Ishq,gudda-guddi ka koi kheil hai jaise
nanhe rajkumar ki kahaniyan banate hain

karte rehte hain umbhar bewafai aoro sung
magar,khud sung hui bewafai ki baat dohrate hain

khud ke mann par tinke sa bhoj nahi,
aur zamaane ko apni hasti 'jogan' dikhate hain
Logged
Affluent
Guest
«Reply #21 on: December 03, 2007, 03:19:25 AM »
chalte chalte thak gaya hu main
ab mujhe koi manjil chahiye

de sakon jis jagah jism ko sakoon
aaisi ek tanha sar'ah chahiye

dekh li hai bohaat bewafa duniya
tooti dhadkano ko ab ther'aw chahiye

zinda ho kar bhi abh main zinda nahi
mujhe do gaj zameen aur ek qafan chahiye...!!!
Logged
Rai
Guest
«Reply #22 on: December 03, 2007, 06:05:00 AM »
bohat khoob gee acha likha ha
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: December 03, 2007, 09:10:56 AM »
NIce One Again,.
Logged
Affluent
Guest
«Reply #24 on: December 11, 2007, 02:55:24 PM »
Thanks Rai and Jaanasheen


dil hai jalta lekin dhadkon ka ehsaas nahi
phir kaise keh du mujhe teri koi aas nahi

hota hai shor kayun mere hi saanato.n mein
kissi aor ki duniya mein kayun yeh saaz nahi

sha'ma-e-ishq jisse keh kar kabhi nawaza tha
bewafai usne dikhai, samjhe hum yeh raaz nahi

kehna chahta hu abhi aor bhi kuch tumhse
lekin meri tadap ka abh koi raha alfaz nahi...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: December 11, 2007, 04:50:23 PM »
U Are Welcomed,.
Logged
jassworld
Guest
«Reply #26 on: December 14, 2007, 09:42:08 AM »
Thanks Rai and Jaanasheen


dil hai jalta lekin dhadkon ka ehsaas nahi
phir kaise keh du mujhe teri koi aas nahi

hota hai shor kayun mere hi saanato.n mein
kissi aor ki duniya mein kayun yeh saaz nahi

sha'ma-e-ishq jisse keh kar kabhi nawaza tha
bewafai usne dikhai, samjhe hum yeh raaz nahi

kehna chahta hu abhi aor bhi kuch tumhse
lekin meri tadap ka abh koi raha alfaz nahi...



Afflunet bahut badiya..kya likha hai aapne, bhai wah...!!



Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: January 05, 2008, 08:16:39 PM »
bahoot khoob Affluent ji!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #28 on: January 06, 2008, 12:26:07 AM »
Ab ki likhai main bada dard hai!

Na-ummid ho kar kisi umid per zinda hun main,
Tanhai main humsafar dhudhata hun main,
Uski bewafai ka zikra ata hai her kahi,
Fir bhi wafa ki ummid rakhata hun main!
Logged
punam
Guest
«Reply #29 on: January 06, 2008, 12:34:50 AM »
wow bahot khoob...pooja di and all...
wow kya dard hai benam ji...

lakh khushi hai iss duniya me
mere dil me gam ke siva kuch nahi
lakh kosish ki dil na laga ne ki
dil hi bewafa nikla bas aur kuch nahi..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:05:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.198 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer