DARD KA Saher

by paani on January 08, 2007, 03:56:08 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
Print
Author  (Read 6935 times)
somesh agarwal
Guest
«Reply #90 on: June 26, 2007, 12:07:30 PM »
ji bas itna hi ki mobile ka massage na likhe
apne dil ki baat kahe

by the way ur thought is a bitter truth of life




Quote from: "Pooja"
Quote from: "somesh agarwal"
Quote from: "Pooja"!!

"Ansoo bhari ankhein aor umar intzaar ki"


ye aach baat nahi he chura ke bhejna[/quote



 Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !


Somesh ji apka Yoindia mai sawagat hai...
Pls clear kahe ki apne yaha kaya kahna chaha hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aai naseem-e-saher by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
saher by muna massood in Shayri for Khumar -e- Ishq
Welcome saher by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Ajnabi saher.. by Kohinoor in Shayri for Dard -e- Judai
saher mera ek maqbra by soudagar in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #91 on: July 01, 2007, 04:55:29 PM »
Quote from: "paani"
Shukriya Pooja ..ji

Anjaam hi raha hai, Bewafaai, Muhoobat ka jamane mein
Ek umr taq riston mein wo wafaayen dundta raha
Mahfilon ne choda na ,Karwaan ne choda usska saath
Kyon gumzada ho kar wo tanhaiyaan dundta raha

Hayraan hai, usske gunaah aur usski sharmindgi ka aalam bhi
Sar ko zuka kar bhi ab talak ilzam-e-nighayen dundta raha
Saabit hi na hua koi ilzaam , khuda ki khudaai se bhi uss per
Kyon, har shyy mein bhi wo sazayen dundta raha

Barbaad to karta hai, waqt ek bus, insaa ki wo Haesiyat kahan
Nadan hai wo shaks, yahan bhi kuud ki khatayen dundta raha
Zakham kha kar apne hi habibon se dard-e-inayaton ka muflis
Kyon, Garon ke daman mein panayen dundta raha

Berang hi hota hai husnn ka nur bhi, gr nazar se uttar jaaye
Bekar hi wo har nayi nazar mein nayi aadayen dundta raha
fakat ek Aitabaar hi kiya hota , mai maut tak saath deta
Ranjoor hi raha wafa se, har chare mein nayi bewafayen dundta raha

Mahfilon ne choda na ,Karwaan ne choda usska saath
Kyon gumzada ho kar wo tanhaiyaan dundta raha

........................ .................... ................. .......... ...... ..... ...



Fantastic creation Paani.... =D>  =D>
Logged
akela
Guest
«Reply #92 on: July 02, 2007, 08:03:14 PM »
BAHOOT KHOOB PAANI JI BAHOOT BHADIA
Logged
paani
Guest
«Reply #93 on: July 03, 2007, 05:38:23 AM »
Shukriya rOjA ji.... ek katra dard ka aap bhi mila dete.......Thanx akela ji aapko lines pasand aayee.
Logged
Roja
Guest
«Reply #94 on: July 06, 2007, 02:31:49 AM »
Badalna na apne aapko jo they wahi rahe
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

Dunia na jeet pao to haaro na khud ko tum paani
Thodi bahut to zahan main naraazgi rahe

Apni tarah sabhi ko kisee ki talash thi
Hum jiske b kareeb rahe dhur hii rahe

Guzaro jho bhaag se toh...dua maangte chalo
Jis main khilte hai phool woh dali hare rahe..

God bless

Roja
[/color]
Logged
paani
Guest
«Reply #95 on: July 06, 2007, 04:36:47 AM »
Quote from: "Roja"
Badalna na apne aapko jo they wahi rahe
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

Dunia na jeet pao to haaro na khud ko tum paani
Thodi bahut to zahan main naraazgi rahe

Apni tarah sabhi ko kisee ki talash thi
Hum jiske b kareeb rahe dhur hii rahe

Guzaro jho bhaag se toh...dua maangte chalo
Jis main khilte hai phool woh dali hare rahe..

God bless

Roja
[/color]


Bhaut hi pyaara likh hai Roja ji ...k Jis main khilte hai phool woh dali hare rahe.. wah..
u hi kabhi kabhi aaa k kuch nishaan chor diya karo.....
Logged
Roja
Guest
«Reply #96 on: July 07, 2007, 12:53:28 AM »
Quote from: "paani"
Quote from: "Roja"
Badalna na apne aapko jo they wahi rahe
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

Dunia na jeet pao to haaro na khud ko tum paani
Thodi bahut to zahan main naraazgi rahe

Apni tarah sabhi ko kisee ki talash thi
Hum jiske b kareeb rahe dhur hii rahe

Guzaro jho bhaag se toh...dua maangte chalo
Jis main khilte hai phool woh dali hare rahe..

God bless

Roja
[/color]


Bhaut hi pyaara likh hai Roja ji ...k Jis main khilte hai phool woh dali hare rahe.. wah..
u hi kabhi kabhi aaa k kuch nishaan chor diya karo.....



Sure sure dear... aapka sab mails hum padte hai.
bas time ki kami hai nahi to her sher ka jawab shyri main deti... Usual Smile


Pashaan hu pigal nahi sakti
Hridaiy main umadta rahe bhawon ka sagar
Ek kann, magar gal nahi sakhti..

Her raahgeer ka sparsh ek kata hai
In hathon se likh nahi sakhti

Saadh ko pratisaadh dene ki, tarun kamna
Karti hu, magar bol nahi sakhti..

Aandhi ret uda le jathi hai
Toofan dariya baha le jathe hai
Dekhti hu per rok nahi sakhti..

Her kiran jhoomti aathi hai
Her lehar machalti chali jathi hai
Meri koyee shan machal nahi sakhti..

Pyar karne walon ki, dethi rehthi hu Duayein
Majboor hu, saath chal nahi sakhti...

God Bless.

Roja
[/color]
Logged
paani
Guest
«Reply #97 on: July 07, 2007, 07:13:08 AM »
So nice roja..
aaj fir kuch likhne ka man kiya hai....

Be-andaaz hi hai dard ka silsila apna bhi usski bewaafai sa gahara
Wo Yaar-e-durusht mera, meri waafaaon ko koi andaaz hi nahi deta  

Jab se bana diya hai meri nazron ne usse muhoobat ka Munsif
Mere dil ki in bebus, be-sabr, fariyaadon ka insaaf hi nahi karta

Itna to Paani hai meri aakhon mein, DARD ka sailaab paida kar du
Shikavaa yahi hai , ek katra hi askh ka wo meri inayaat nahi karta  

Wo manzar bhi ajeeb tha, ek pal ka sukun na naseeb hua tere bagair
Ye waqt ka faisla hai shaayd, Saaya bhi tera chune ko dil nai karta

Ab ye jaana kyon rahten hai kuch mahfilon mein bhi juda se khud se
Ye wo bekhudi se hai, jahan khud se bhi mulakaan karne ko man nahi karta

Ye waqt ka faisla hai shaayd, Saaya bhi tera chune ko tera dil nai karta


Munsif=Judge
 :-#
Logged
Roja
Guest
«Reply #98 on: July 08, 2007, 07:53:03 AM »
Quote from: "paani"
So nice roja..
aaj fir kuch likhne ka man kiya hai....

Be-andaaz hi hai dard ka silsila apna bhi usski bewaafai sa gahara
Wo Yaar-e-durusht mera, meri waafaaon ko koi andaaz hi nahi deta  

Jab se bana diya hai meri nazron ne usse muhoobat ka Munsif
Mere dil ki in bebus, be-sabr, fariyaadon ka insaaf hi nahi karta

Itna to Paani hai meri aakhon mein, DARD ka sailaab paida kar du
Shikavaa yahi hai , ek katra hi askh ka wo meri inayaat nahi karta  

Wo manzar bhi ajeeb tha, ek pal ka sukun na naseeb hua tere bagair
Ye waqt ka faisla hai shaayd, Saaya bhi tera chune ko dil nai karta

Ab ye jaana kyon rahten hai kuch mahfilon mein bhi juda se khud se
Ye wo bekhudi se hai, jahan khud se bhi mulakaan karne ko man nahi karta

Ye waqt ka faisla hai shaayd, Saaya bhi tera chune ko tera dil nai karta


Munsif=Judge
 :-#


i pray k aap ko her din dil kare shayri likhne ka...
Tab hi hame itna accha sher padne milega...
Keep flowing Paani. Nice reading u...
Logged
paani
Guest
«Reply #99 on: July 11, 2007, 06:09:54 AM »
Thanx Roja ji .. aap aate rahiye.. dard ka saher aabad karte rahiyee...
Logged
paani
Guest
«Reply #100 on: July 11, 2007, 06:59:23 AM »
Nazdikiyon ne mita daali jab riston ki mahak
Jami se Chaand ki kashish ka pata chala
U to wo bhi rahta tha, dil-e- aashiyane mein kabhi
juda hua to qareebiyon mein chuppi duriyon ka pata chala

Dur nahi hote aksar, nazron mein basne waale  kabhi
ab chala gaya tu, aakhon mein basta hai ek dariyaa pata chala
ashkon mein dub kar bhi jaan di jaati hai in raahon mein
Paani ki maut kitni bebus hai, uttar kar gahraion mein pata chala
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #101 on: July 11, 2007, 08:33:52 AM »
Wah Kya Baat Hai Paani JI.... Behad Khubsoorat Lines Likhi Hain aapne.. Usual Smile Usual Smile

Bahut KHoooooooooob.. !!!!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #102 on: July 13, 2007, 10:33:08 AM »
Thanx for apprication Vikas...
Logged
paani
Guest
«Reply #103 on: July 20, 2007, 10:14:15 AM »
Wo ab talak meri mahfil-e-dard mein nahi aaya
Garon ka mazma laga, bus Habeeb nahi aaya

Dard ko bhi Dard per mere taras aaya aakhir
intihaan hui intizaar ki ek sanam hi nahi aaya

Ashkon ne bhi palko per dastakhat de hai dekho
ek Unhe hi riste zakhmon pe tarash nahi aaya

Dil dubte dubte dub hi gaya gum-e-dariyaan mein
lakh kosis ki, ek saahil hi hume to nazar nahi aaya

Dard bhi sukun lata hai, suna hai dunia se kaffi
Yahan to dard hi dard aaya, sunku nahi aaya

Wo ab talak meri mahfil-e-dard mein nahi aaya
Garon ka mazma laga, bus Habeeb nahi aaya
Logged
paani
Guest
«Reply #104 on: July 30, 2007, 06:00:30 AM »
Saaki, mere wo Gum mila aaj peene mein,
asar ho aaj k nai maut maru mai jeene mein!!
Aakhon mein na ashk uttre bus lahu bahe ,
aisa koi dard mukammal kar iss seene mein !!!


 :-#
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 05:47:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer