Dard ke pathar...

by Aryaan on December 20, 2004, 03:28:59 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2137 times)
Aryaan
Guest
«Reply #30 on: December 28, 2004, 06:16:03 AM »
Honton pe hansi dekh li, dil ke ander nahi dekha
Yaaron ne mere gham ka samandar nahi dekha

Kitni haseen hai duniya ye dekha hai aap ne
Marr marr ke jeene waalon ka manzar nahi dekha

Sheeshe ka makaan tumne bana tau liya aye dost
Lekin waQt ke haath ka pathar nahi dekha

Rishton ke tootne ka dard aap kya samjhein
Woh lamha kabhi aap ne jee kar nahi dekha

Bhatke roshni ki talaash mein na-jaane kahan kahan
Afsos ke apni rooh ke ander nahi dekha...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pathar by abeera in Shayri-E-Dard
Pathar say ....... by Anushka in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dard Ke Pathar... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pathar se by ambunj in Shairi - E - Zindagi
pathar dil by sidushale in Shayri-E-Dard
diva
Guest
«Reply #31 on: December 28, 2004, 03:22:56 PM »
too good da
kafi aachi aur saachi baat kahin aapne
Logged
diva
Guest
«Reply #32 on: December 29, 2004, 03:30:13 AM »
dil hi nahi ke tatole usko
zindagi hi nahi ke jisko
rishte hi nahi ke tode jinko
rooh hi nahi toh hum dehke kisko ?
Logged
diva
Guest
«Reply #33 on: December 29, 2004, 03:32:01 AM »
--------------------------------------------------------------------------------
dil hi nahi ke tatole usko
zindagi hi nahi ke jeeye jisko
rishte hi nahi ke tode jinko
rooh hi nahi toh hum dehke kisko ?
Logged
yogi
Guest
«Reply #34 on: December 29, 2004, 05:13:11 AM »
hum to sehr chod veerane mein bhi bas gaye,
woh the itne bedardi waha par bhi nishaniya chod gaye
taki tadapte rahe hum veerano us ek sukoon ke pal ke liye,
par reh rehkar bhi unki nishaniya aaja thi samane
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #35 on: December 29, 2004, 10:22:54 AM »
thanx Diva..
aur aap ne bhi khoob likha hai..Usual Smile

yogi very nice..
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #36 on: December 29, 2004, 12:58:21 PM »
Quote from: "Aryaan"
Honton pe hansi dekh li, dil ke ander nahi dekha
Yaaron ne mere gham ka samandar nahi dekha

Kitni haseen hai duniya ye dekha hai aap ne
Marr marr ke jeene waalon ka manzar nahi dekha

Sheeshe ka makaan tumne bana tau liya aye dost
Lekin waQt ke haath ka pathar nahi dekha

Rishton ke tootne ka dard aap kya samjhein
Woh lamha kabhi aap ne jee kar nahi dekha

Bhatke roshni ki talaash mein na-jaane kahan kahan
Afsos ke apni rooh ke ander nahi dekha...


have u written it bfore also coz i have read it a month bfore.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: December 29, 2004, 03:43:15 PM »
Acha?  tongue3 zaroor likhi hogi.. thanx 4 reminding me NidhiUsual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #38 on: December 29, 2004, 04:39:08 PM »
wow diva......arynan.............very touching words......

Mahsus Kar Mujhe Tu, Kabhi Paas Aa Ke Dekh
Mere Jahan-E-Dil Mein Apna Ghar Basa Ke Dekh

Koi Aisey Ajnabi Bhi Nahin Is Shahr Ke Log
Kuchh Keh To Ranj-O-Gham Ki, Sab Ko Suna Ke Dekh

Hamshakl Ho Gaya Hai Mere Gham Ka, Tera Gham
Tu Mere Dil Ko Apna Aayina Bana Ke Dekh

Yeh Farq Dair-O-Harm Ka Nazron Ka Bharam Hai
Tu Deengah Se Apni, Bahar To Aa Ke Dekh

Jab Ranjishon Mein Kat Gayee, Ab Na Fareb Kar
Waqt Aakhiree Hai, Ab Na Muskura Ke Dekh

Khamosh Sun Rahey Hain Hum, Sarghoshi-E-Bahar
Aatey Hain Apne Gaaon Se Jhonkey Hawa Ke Dekh

Main Muntzir Hun Roz-O-Shab, Aiy Dard-E-Do_Jahan!
Be-Dard, Jab Bhi Waqt Miley, Aazma Ke Dekh.......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #39 on: December 30, 2004, 08:16:31 AM »
Thanx Waheed..aur kya khoob likhte hain aap bhi..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #40 on: December 30, 2004, 09:31:19 AM »

Tumhare bina dard-e-judaai ka gham sehna seekh liya
Yun zindagi ke safar mein akele rehna seekh liya
Yeh aankhein ab tau roti hain khushiyon mein bhi
Inn ashkon ne issi bahaaney behna seekh liya..

Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #41 on: December 30, 2004, 10:59:16 AM »
Quote from: "Aryaan"

Tumhare bina dard-e-judaai ka gham sehna seekh liya
Yun zindagi ke safar mein akele rehna seekh liya
Yeh aankhein ab tau roti hain khushiyon mein bhi
Inn ashkon ne issi bahaaney behna seekh liya..



ur welcome aryan..............
excellent arayan.............bahot khoob.........

Is kay naam say lafzo main chand utrtay hain
Woh aik shakhs daikho to ankh bhar aye
JO kho chukay hain inhain dhondna to mumkin hai
Jo ja chukay hain inhain koi kistarhan laye..............
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #42 on: December 30, 2004, 05:35:40 PM »
Shukriya Waheed..n Bohat khoob.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: January 03, 2005, 04:07:35 AM »
Mohabbat Karne Waale, Na Jeete Hain Na Marte Hain
Phoolon Ki Chaah Mein, Kaanton Par Se Guzarte Hain
Yun Tau Hamesha Hothon Par Hansi Rehti Hai sabke
Par Shairy Mein Na Jaane Kyun, Dil Ke Dard Ubharte Hain.
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 02:44:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer