Ques... Collection .... Episode of Dard....

by Qutubuddin on January 14, 2006, 11:47:13 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22
Print
Author  (Read 17439 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #300 on: May 25, 2006, 05:18:07 AM »
Keesi Ki Yadd Mare Ass Pass rahti hai
Bare Dynun Say Tabiyat Udas Rhati Hai
 
Bichar Gaya Hai,Mager Dil Yaa Manta Hi Nahi
Naja nay kion Tare Milnaa Ki Ass Rhati Hai
 
Curaa Kay Dil Ager Woh CalDiya Tu Herat Kion
Khushi Yahan Hamesha Kis Ka Pass Rhati Hai

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #301 on: May 25, 2006, 05:19:45 AM »
Hume unka intizaar aaj bhi hai
Aankhon me khumaar aaj bhi hai
Woh aayenge ek-na-ik din...
dil ko ye gumaan aaj bhi hai.

Dil-o-jaan se chahte hain unko
Kaash!Ye khabar unko aaj bhi hai
woh milenge kahin-na-kahin...
dil ko ye aas aaj bhi hai.

Din to guzar jata hai jaise taise
magar raaton me tanhaii aaj bhi hai
Woh nahi,Unki yaadein hi sahi...
dil ko unki justuju magar aaj bhi hai.

Woh aayenge Dil cheekh cheekh ke kehta hai
magar woh na aaye to kya hoga...??
Dil ko ye khayaal aaj bhi hai!!!

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #302 on: May 25, 2006, 05:22:31 AM »
Dhoonda jo zindagi ka sitara kabhi kabhi
Ghabra ker phir unhi ko pukara kabhi kabhi
   
Kuch dard-e-ishq se hame hasil to ho gaya
Kate hai jo who bhee zikr hamara kabhi kabhi
   
Hum dil me dekh lete hai tasweer apki
Hota hai yu bhe jashn-e-nazara kabhi kabhi

Sab mukhtasir hai shab-e-ghum ki musibatein
Dil se liya jo naam tumhara kabhi kabhi
   
Who waqt bhe kareeb hai jab meri yaad ka
Lena padega tum ko sahara kabhi kabhi
   
Mein kaya karoon ki terk-e-kuhabbat ke bawajood
Aata hai mujhko khayaal tumhara kabhi kabhi
   
Sab kuch ghum ki kaali ghatao mein chup gaya
Chamka ager naseeb ka tara kabhi kabhi..

Ques.....
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #303 on: May 25, 2006, 05:29:00 AM »
wah kaya baat hai!! bahoot khoob!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #304 on: May 25, 2006, 05:31:02 AM »
Sukreyaa Pankhuri...

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #305 on: May 28, 2006, 01:04:49 PM »
Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay

Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay

Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay...

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #306 on: May 30, 2006, 06:05:01 AM »
Sukreyaa Gum...


Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #307 on: June 01, 2006, 05:20:43 AM »
Araz Hai..

kisi dardmand kay kam aa
kisi dubtay ko uchal day

yeh nighahain lutfo karam
kisi kamnaseeb per war day

main isi khyal say aaj tak
usay dil ki baat na keh saka

keh wo hai ranj o gam say be khabar
kahin muskara Kay taal na day


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #308 on: June 06, 2006, 01:22:08 PM »
Shaam Furqat Dhaley Hum Nahi Chahtey
Ghum Se Fursat Miley Hum Nahi Chahtey
 
Phir Naya Waar Sehney Ko Taiyar Hai
Tum Pareshan Rahay Hum Nahi Chahtey
 
Aaj Ansoo Bahaney Sey Maath Rookey
Aaj Barish Tamey Hum Nahi Chahtey
 
Hum Teray Baad Ujray Howe Theek Hai
Ab Kahin Dil Lagey Hum Nahi Chahtey
 
Terey Pekar Ko Hum Dekhtey Hi Rahain
Tum Nazar Sey Hatey Hum Nahi Chahtey
 
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukey Hum Nahi Chahtey
 
Iss Qadar Pyar Sey Tu Pukara Na Ker
Aag Dil Ko Lagey Hum Nahi Chahtey


Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #309 on: June 10, 2006, 08:15:31 AM »
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi...

N/M

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #310 on: June 10, 2006, 08:16:06 AM »
Khushi agar hum se daaman bachati hai to bachaye
Humein to gum hi hain raas aaye
Mohabbat ka yeh ajab dastoor dekha
Ussi ki jeet hai......jo haar jaaye.........

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #311 on: June 10, 2006, 08:17:02 AM »
Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar,
Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar.
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar……

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #312 on: June 12, 2006, 06:15:40 AM »
ankhon se meri is liye lali nahin jati
yadon se koi raat jo khali nahin jati
 

abb umer na mousam na wo rastay k wo loutay
is dil ki magar kham khayali nahin jati
 

magar tu agar jaan bhi hans k tujhe dedoon
teri to koi bat bhi tali nahin jati
 

aye koi akar ye teray dard sambhalay
hum se to ye jageer sambhali nahin jati
 

maloom hamain bhi hain teray buhat say kisay
ye bat teri hum se uchali nahin jati
 

humrah teray phool jo khilati thee jo dil main
abb sham wo dard se khali nahin jati
 

hum jaab se jain gay tabhi bat banay gi
tum se to koi rah nikali nahinjati


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #313 on: July 08, 2006, 05:59:12 AM »
Dard Dard Aur Dard....

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #314 on: July 08, 2006, 05:59:38 AM »
Baat Din Ki Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera Barsaat Se Dar Lagta Hai


Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai


Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai


Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Uss Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai


Baat Din Ki Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera Barsaat Se Dar Lagta Hai

Ques....
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:39:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer