Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN

by manu1979 on May 23, 2006, 07:28:10 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2718 times)
manu1979
Guest
«Reply #15 on: May 27, 2006, 03:24:55 PM »
hi jaanaseen ji mai is dard ke sil siley ko aagey badhhata hu ,mujhe khushi hui aap ko yaha dekh kar


Mai ab tujhko bhulana chahta hu,
Yaado ko teri dafnaana chahta hu

Raato ko kuchh chain se mai so saku,
Khwabo ko tere jalaana chahta hu

Mehfilo ne teri mujhe gira diya
Tanhaayio ka fir vo zamaana chahta hu

Dil ke koi kone mai ab tu na rahe
Dhadkano ko yahi samjhana chahta hu

Safar bin tere har suhana rahe
Khud ko rehnuma banana chahta hu

Teri bewafaayi ka koi gham nahi,
Apni vafaao ka yakin dilaana chahta hu

Zajbaato ke saahil par ghar jo banaaye
Ashqo ke dariya mai bahaana chahta hu.


Palko tale bhi khwaab tut jaate hai,
Mai apni palke jhukaana chahta hu.

Dur tak kaanto ka registaan hai,
Mai is mai kuchh phool khilana chahta hu

Apne jigar ka khoon maine kar diya,
Teri hasti ko mitaana chahta hu.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: May 27, 2006, 03:33:13 PM »
Shukriya manu Bhai,..

Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #17 on: May 27, 2006, 07:42:04 PM »
shukriya jaanashi ji ,aise hi aate rahiyega

Yaado ke par nikal aaye hai, Udne lagi hai hawao mai
Khushbu pahan kar milti hai har gulshan har fizaao mai

Yun to bahut mil jaayenge diljale tujhe teri mahfil mai
Asar magar mahobbat ka paaogi tum meri hi wafaao mai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: May 28, 2006, 04:25:51 AM »
Bohat khoob Manu....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: May 28, 2006, 07:54:59 AM »
Quote from: "manu1979"
shukriya jaanashi ji ,aise hi aate rahiyega

Yaado ke par nikal aaye hai, Udne lagi hai hawao mai
Khushbu pahan kar milti hai har gulshan har fizaao mai

Yun to bahut mil jaayenge diljale tujhe teri mahfil mai
Asar magar mahobbat ka paaogi tum meri hi wafaao mai


Nawazish And Nice One,..

Asar Wafaa Ka Main Tujhpar Kuch Aisa Chord Jaaoonga,..
Yaad Banke Aaoonga Aur Tujhe Tarpaa Jaaoonga,..

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #20 on: May 28, 2006, 08:48:55 AM »
hi

Tumhaare husn se rahti hai ham-kinaar nazar
Tumaari yaad se dil ham-kalaam rahta hai
Rahi faraagate-e-hijr to ho rahega tai
Tumaaree chaah ka jo- jo makaam rahta hai


aur ye hai aap ka jawaab

Asar waffa ka aap ham par to chhod jaaoge
Par pahchaan sake vo nazar kaha se laaoge
Ham chahenge tadap ke aap ki yaado ko dil se
jaha rahoge shamo shahar hame vaha paaoge



kar raha tha gam-e-jaha ka hisaab
Aaj tum yaad behisaab aaye
Na gayi tere gham ki sardaari
Dil mai yun roj inkilaab aaye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: May 28, 2006, 09:14:15 AM »
Dard Ye Unke Ki Chahat Ka Sila Hai,..
Ab Kya Shikayat Unse Ab Kya Gila Hai,..
Humne Nibhaai Wafaa sab Kuch Lootakar,..
Badle Mein Uske Hume Ye Dard Mila Hai,..

__________________________-Jaanasheen-
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #22 on: May 30, 2006, 08:46:26 AM »
beasab nahi thi mahobbat meri kuchh to sila miley
Ashq hi sahi dard-e-dil ki kuchh ti dawaa milley
Jakhm saare mere ho jaaye gulshan gulshan
tere kahkasaaN se daaman ki kuchh to hawaa miley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: May 30, 2006, 01:24:30 PM »
Nice One Manu,..

Us Bewafaa Ki zaat Pe Mujhko Hai Ye Gilaa,..
Sun Ke Bhi Meri Maut Ka Aaya Na Bewafaa,..
Marke Bhi Uske Liye Apni To Hai Duaa,..
Jisne Mujhe Mitaa Diya Wo Khush Rahe Sadaa,..

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #24 on: May 30, 2006, 05:12:17 PM »
Quote from: "manu1979"
dosto aaj kaafi dino baad kuchh likhne ki nakaam koshish ki hai ,shayad aap ko pasand aayegi isi ummid mai yaha paish karta hu.

Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN

Rishto ki bheed mai khud se ajnabee huN is kadar
Dosto ko pahchaan saku vo nazar saath nahi haiN

Gham ke meri pith par khanjar aiseN haiN chubeN
Mud kar bhi aah bhar saku vo haalaat nahi haiN

RaatoN ke karvatoN se maraasiim puraane haiN
Tere khwaaboN ke anjuman ki kaynaat nahi haiN

Zikra bhi ho tera kahiN to jhook jaati hai Nigaah
Khamoshi ke siva ab labo par koi baat nahi HaiN

Rona bhi agar chaahu to ro bhi na paaunga maiN
Gham mai habib ashko ki ab vo barsaat nahi haiN


Awesome :thumb: ,bohat khoob Aryaan n janasheen also.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #25 on: May 31, 2006, 04:34:31 AM »
GUd Job Manu aaj pada maine u r marvalous......

Saath tera na sahi par yeh behti hawa toh hai.....
Banjar kismat meri par rehnuma Dard toh hai.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: May 31, 2006, 05:17:12 AM »
bahut khub Manu ........tum jab bhi likhte ho dil se likhte ho...........bahut sundar likha hai.........

gud work Azeem bhai , and Gaurav................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: June 01, 2006, 05:43:12 AM »
Shukriya Nidhi And Ranjana Sis,..

Kar Diya Tabaah Hume Usne Mohabbat Ka Naam Lekar,..
Humne Uff Bhi Na Kahan Uske Zakhmon Pe Apna Sab Dekar,..

__________________________________________-Jaanasheen-
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #28 on: June 01, 2006, 05:09:52 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Nice One Manu,..

Us Bewafaa Ki zaat Pe Mujhko Hai Ye Gilaa,..
Sun Ke Bhi Meri Maut Ka Aaya Na Bewafaa,..
Marke Bhi Uske Liye Apni To Hai Duaa,..
Jisne Mujhe Mitaa Diya Wo Khush Rahe Sadaa,..

_____________________________-Jaanasheen-


hi jaanaseen ji bahut khubsurat hai aap ka jawaab par ham bhi kuchh kam nahi :D  just kidding bahut khoob likhte ho

ham fir uski mehfil ma jaa baithe
jisne toda dil us se dil laga baithe
bewafaayi hamaare fitrat na thee
chot kha kar hi vafaa nibha abithe

Dard rahte the dil ke gharondo mai
Shaad chahere se muskuraa baithe
Na dekhi jaati hamse afsurdagi uski
Sab ghamo ko ham to chhupa baithe

Na kaayal  the  sanam andhero se
mere jakhmo  ko hi wo jalaa baithe
ham rahnuma the unke jalte hi rahe
ishq ki tapish mai sab bhula baithe
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #29 on: June 01, 2006, 05:23:06 PM »
Very nice manu n janasheena again Usual Smile .
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 10:30:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer