dil-e-khayal ko, kaya kah kar samjhau

by Pooja on July 06, 2005, 03:52:12 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 3387 times)
HumTum
Guest
«Reply #30 on: July 07, 2005, 03:15:37 PM »
Shukriya Pooja ji ... aap kp padney ko dil ker rha tha aap ney kuch likha nhi !!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaya din the.............. by vikas2210 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
kyu samjhau (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #31 on: July 07, 2005, 03:39:37 PM »
dil diya aor badle mai dard paya humne
ishaq kiya aor khud ko ashqo se sajaya humne!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #32 on: July 07, 2005, 03:42:21 PM »
waah ..Pooja ji nice one !!

jin ki kahtir chod di humney duniya tamaam
kal unko kissi aur ki bahoon mein paaya humney
be-inthaa chaha jisey, samjha jisey dilbhar apna
ussi kafir ke hathoon peeth pe kangar khaya humney !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: September 25, 2005, 10:30:24 AM »
Wah bahoot khoob HumTum ji!!!!

Ansoo agar soch kar bahaty, to wo ansoo na thy
payar jo soch kar karaty, to hum payar ke kabil na thy!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: September 28, 2005, 04:48:59 PM »
Kahein pay jafa ka dastoor hai
Koi kaheen kitna majboor hai

Jis ko dil toot kay chahta hai
Woh dil say kisqadar door hai

Koi roshniyon say panah chahta hai
Koi andhairon mein kitna masroor hai

Kal shab khoob charcha hua tha
Kay woh dil tornay mein mashoor hai

Sadiyan guzar gayee hain samaitnay
Dil jabse bikhar kay hua choor hai

Woh chup chaap sa nazar aata hai Mohsin
Lagta hai ki kuch hua zaroor hai (NM)
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #35 on: September 29, 2005, 05:12:05 PM »
Bohat hi acha likha hai pooja ji...excellent work :thumb: ,too good Aryaan,humtum and waheed.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: September 30, 2005, 10:23:49 PM »
shukariyan nidhi..

ghar ki deewaron mai
dil ka ashiyaan na raha
chalaty chalaty, sath sath,
kayun,
koi zazbaat hamare darmiyan na raha!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: October 01, 2005, 01:06:04 AM »
Shukriya Nidhi... & Bohat khoob Pooja....

Uss ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz
Soney waalon ki tarha,  jaagney waalon jaisi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: October 03, 2005, 05:27:08 PM »
wah!! Good one Aryaan!!!

dard-e-dil kisi ko kaya dega
tanha hai, tanhaai ki baaty dega
jab bhi kuch likhane ki maine scohi
tera chahra aor meri udaasi dekhi!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: October 06, 2005, 02:51:18 PM »
shukariyan gum ji!!

sach hai ishq ki raahein veeran bahoot hain
lagti hain apni magar anjaan bahoot hain
kaisey batayein kisi ko hum khawab ki tabeer
hum apne hi khwabon se pareshaan bahoot hain!!


hum to khud bethe hain karri dhoop mein
werna humare aas paas saibaan bahoot hain
aazma raha hai her koi yahan humein
zindagi mein humari imtehaan bahoot hain!!


kehte ho aap k nahin hai kuch bolne ke liye
bethein to sahi mere pass unwan bahoot hain
tanhai mein diya sath bahoot aap ki yaad ne
aap ki yaad k hum per ehsaan bahoot hain!!


humare liye un ke paas aik pal nahin hai
aur doosron pe woh meherbaan bahoot hain
saare hamdam gum dene ki justooju mein hain
mezaban hoon akela aur mehmaan bahoot hain!!

ab nahin batate apne gham ka sabab kisi ko
pehle hi humare raaz k raazdaan bahoot hain!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #40 on: October 07, 2005, 06:10:35 PM »
Wah pooja ji,bohat hi acha likha hai,i dont have words tareef ke liye....mindblowing Usual Smile .

ye dono lines mindblowing ke bhi oopar hain:-"tanhai mein diya sath bahoot aap ki yaad ne
aap ki yaad k hum per ehsaan bahoot hain!! ".

"Teri yaadon ke aaj kadradaan hain ham,
      is kadar kisi ne hamara saath jo nahi diya,
      ae kaash ham tumhe kabhi ye samjha paate,
      khamoshiyon me hamne kya kya hai siya."
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: October 07, 2005, 06:20:49 PM »
Nidhi...

Bohat khubsoorat likha hai Pooja...

aur Nidhi, Aap bhi kisi se kam nahi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: December 08, 2005, 04:12:29 PM »
Thanks Nidhi and Aryaan!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: August 28, 2007, 07:40:47 PM »
Roj sham wo hi churcha dil-e-darbaar main hota
Dard subkata hai, her armaan, taar taar hota hai

Man samjhata hai sabko, pyar ek sirf ahsaas hota hai
Na kar kisi per vishwaas, yah dunia to bas ek dhoka hai

Ahh kahti hai, kar sabar, her ek din kab ek jaisa hota hai
Umeend deti hai dilasa, raat ke baad din bhi hota hai

Din badle mahino main, mahino main khatam saal hota hai
Apni zindagi ka wo alam, wo hi subah-sham hota hai

Roj sham wo hi churcha dil-e-darbaar main hota
Dard subkata hai, her armaan, taar taar hota hai……………
Logged
Nomi786
Guest
«Reply #44 on: August 29, 2007, 05:19:49 AM »
Unko Suna kay dekhiay Afsaana-e-Khayal
Hum khush the istarah kay sabhi kuch suna dia

Hasrat rehi ha mujhko sunaien wo Haal-e-Dil
Phir main bhi yeh kahon ke haan mera bhi yehi haal hai
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:16:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer