...~~doulat-e-ghum~~...

by HumTum on July 04, 2005, 09:10:52 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 1905 times)
HumTum
Guest
«Reply #30 on: July 05, 2005, 11:11:21 AM »
shi kha Talat ji ...

main sochta hoon tere is dard ko padh kar
apna bhi dard tum se kahoon na kahoon
kayi bar uske bin jab ub jata hai zindgi se mann
main sochta hoon zindgi ko alvida kahoon na kahoon !!!  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghum by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
ye duniya doulat walo ki............ by wazida in Shayeri for Dard -e- Bewafai
DOULAT....., by Dil Shah in Share: Poetry of Pain
mohabbat hai unhe sirf doulat se yaha... by theyash in Share: Poetry of Pain
Talat
Guest
«Reply #31 on: July 05, 2005, 03:04:33 PM »
Nice one !!!

Daulat-e-ghum kya mili hume
Kisi daulat ki chah nahin hai
Chal rahe hain kis manzil ko
Safar to hai raah nahin hai !!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #32 on: July 05, 2005, 03:10:34 PM »
nice one.............................................. ...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: July 05, 2005, 03:12:41 PM »
Shukriya Pandit ............. !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #34 on: July 05, 2005, 03:17:26 PM »
ur welcome talat ji............................................... ....................... :lol:  :o
Logged
HumTum
Guest
«Reply #35 on: July 05, 2005, 05:03:27 PM »
Quote from: "Talat"
Nice one !!!

Daulat-e-ghum kya mili hume
Kisi daulat ki chah nahin hai
Chal rahe hain kis manzil ko
Safar to hai raah nahin hai !!!


waah ....

aanson har ek aankh se mitane ki koshish hai
hansi sabke hothon pe laane ki koshish hai
poocha nahin "HumTum" ne mazhab kabhi kisi ka
har shakhs ko toofan se bachane ki koshish hai !!
Logged
Parul
Guest
«Reply #36 on: July 06, 2005, 02:39:11 PM »
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


bahut bahut acha likha hai phir se humtum ji ...  kitna dard chipa hai inn shabdo mein .... khasker yeh lines ....

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

bahut hi pasand aayi mujhey .... mujhey to shayri kerni aati magar phir bhi kuch likh rhi hoon .

meri duniyaa mein kya kuch nahin tha.
sirf tum the, dusra kuch nahi tha.
kiska naam le. kise iljaaam de.
tumne toe, kiya kuch nahin tha.
ho koi wajah lekin is tarah.
dil se pehle, tuta kuch nahi tha.

asha hai aap ko pasand aaye !! Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #37 on: July 06, 2005, 03:30:58 PM »
Shukriya Parul ji  aur kya khoob likha hai !!!!

keh to sakte hain tere jaisa sirf ek hai tu
Phir mere jaise kaii duniya mein insaan kyun hain

sameTne hain mujhe zindagi bhar ke toote rishte
yeh mere paas do lamhon ka hi samaan kyun hai

woo chala gaya tha ya phir hum hi us-e chhod aaye
Kya hua tha humein yaad bhi karna kyun hai !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #38 on: July 06, 2005, 05:47:45 PM »
gud everyone!!

roz kehte hai ke aaj hum une yaad nahin karenge,
unhi ko soch kar aur ahen nahin bahrenge,
roz in jhooti baaton ko dil ko behelate hai,
ke phir se unki judai me yuh til til na marenge!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #39 on: July 06, 2005, 05:59:24 PM »
Quote from: "Meena"
gud everyone!!

roz kehte hai ke aaj hum une yaad nahin karenge,
unhi ko soch kar aur ahen nahin bahrenge,
roz in jhooti baaton ko dil ko behelate hai,
ke phir se unki judai me yuh til til na marenge!!


very  n8ice  work  meena......  hum  tum.....parul............  bahot accha aap sabhi ne likh.......

Merey Khwab Meri Kahanian

Merey Bekhabar Tujhay Kia Pata

Teri Arzoon Ki Rawaish Main

Teri Kefiat Kay Jam Main

Main Jo Kitni Sadioon Sey Kaid Hoon

Tery Naksh Main Terey Nam Main

Merey Khwab Meri Kahanian

Teri Chah Main Hain Ruki Hoin

Merey Khwab Meri Kahanian

Merey Bekhabar Tujhay Kia Pata...........
Logged
HumTum
Guest
«Reply #40 on: July 06, 2005, 05:59:30 PM »
waah ...  Meena ji ...

khayaal unka har pal tadpata hai kya kijiye
dil ik lamha bhi chen nhi pata hai kya kijiye
uss kafir ko iss baat ka ilm hi nhi "HumTum"
dil phir ussi bevfaa pe marta hai kya kijiye !!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 05:22:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer