<>*Gazal sajati hai.*<>

by *KasaK*....Dil Ki on November 23, 2010, 04:55:12 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1393 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: November 23, 2010, 02:24:12 PM »
Anamika Ji Aapki Yeh Peshkash Waqai Behad khubsoorat hai.. Andaaz-e-bayan Humesha ki Tarah Lajawab raha.. Bahut khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
Sajati rahe khusiyon ki mehafil by chahat in SMS , mobile & JOKES
some of my fav gazal.s by majid in Ghazals
Sez Kisi Aur Ki Sajati Ho by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Intezar
Guest
«Reply #16 on: November 23, 2010, 04:53:51 PM »
taareef hi taareef kasak ji par ek kami hai shayad
wo bhi mere comments ki hai na...

par mere taraf se No comments only Compliments... bahut hi khubsurat hai... bahut hi achhe andaz...

na jaane kyon main tujhe mila karta hun is tanhaai mein
shayad mehfil mein jalti shamma hi mujhe parwaana kiye jaati hai.. !

Intezar !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: November 25, 2010, 09:51:51 PM »
Bahut khoob sarkaar.....!!!

jab dil me jasbaaton ki aandhi aati hai,
eshaas shabd ban gazal ka roop le leti hai,

aansuon ki dhaara behti hai tab is qadar,
ki dil ke armaano ko wo doobo deti hai,

sukh jaate hain aansoo bhi kuch palon k baad,
aur khushi naya rang leke saamne aa jaati hai,

toofan jo uth_te hain dil me dabe dabe se,
ek roz tadap ke un deewaaron ko tod deti hai,

raat andheri hoti hai ye maaloom hai humein,
par har subah suraj andhere ko duur kar deti hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #18 on: November 26, 2010, 04:28:09 AM »
kafi dino baad aapse mulakat hui Dher saari daad kabool kijia

        Din k hangamo m bhool gaye the tujhe
        Raat hui to fik tera khayal aaya
Bahut khoob likha hai kasak ji behetareen...
Bahut Khub Kasak Ji...


Khush Rahiye...

~Shihab~

shukriya yasmeen ji ....geet ji...aur shihab ji..meri ek aur koshihs ko padhne aur sarahne ka..umeed hai yunhi aapko psand aane wali rachna likhti rahungi aur kuch kami ho to bhi aap pasand karte rahege...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #19 on: November 26, 2010, 04:30:20 AM »
Anamika di,

Bahaut bahaut khubsoorat likha hai..
Applause Applause

thnx bhai ..pasand karne aur tareef k liye
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #20 on: November 26, 2010, 04:32:07 AM »
Anamika Ji Aapki Yeh Peshkash Waqai Behad khubsoorat hai.. Andaaz-e-bayan Humesha ki Tarah Lajawab raha.. Bahut khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Mann ji aapke comments hamesha hi bht himmat bandhate hain..pasand karne aur hausla afzai k liye dil se thnx ji..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #21 on: November 26, 2010, 04:35:23 AM »
taareef hi taareef kasak ji par ek kami hai shayad
wo bhi mere comments ki hai na...

par mere taraf se No comments only Compliments... bahut hi khubsurat hai... bahut hi achhe andaz...

na jaane kyon main tujhe mila karta hun is tanhaai mein
shayad mehfil mein jalti shamma hi mujhe parwaana kiye jaati hai.. !

Intezar !
sahi kaha intezar ji..aapke reply k bina poem ka maza hi nahin aata...
and thnx for this lovely compliment...

ye mehfil me jalti shamma khud jal k roshan mehfil karti hai
khud bhi jalti hai sath parwane ko bhi apne jalaya karti hai
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #22 on: November 26, 2010, 04:49:46 AM »
Bahut khoob sarkaar.....!!!

jab dil me jasbaaton ki aandhi aati hai,
eshaas shabd ban gazal ka roop le leti hai,

aansuon ki dhaara behti hai tab is qadar,
ki dil ke armaano ko wo doobo deti hai,

sukh jaate hain aansoo bhi kuch palon k baad,
aur khushi naya rang leke saamne aa jaati hai,

toofan jo uth_te hain dil me dabe dabe se,
ek roz tadap ke un deewaaron ko tod deti hai,

raat andheri hoti hai ye maaloom hai humein,
par har subah suraj andhere ko duur kar deti hai...

kuch kahun to kaise kahun k kya kaha hai aapne
kai sur kai rang bikhere hain aaj aapne

aakar iss mehfil me kuch geet chhode hain aapne
aaj fir khud k bandhe hath khole hain aapne

uthakar kalam ko di hai pehchan fir ek nai
sach me bht hi khubsurat likha hai aapne.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: November 30, 2010, 08:18:21 AM »


likhne ka to ek bahaana hota hai,
bas kalam ko saath nibhaana hota hai,

aaj saath nahi hai meri kalam mere sach hai ye,
kuch palon ke baad syaahi ka khatam ho jana hota hai,

aaj bhi chaahta hoon likhun tere har geet k saath koi geet,
par kya karun, shabdon ka hothon pe aake ruk jaana hota hai....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #24 on: November 30, 2010, 08:21:31 AM »
<>*Gazal sajati hai.*<>

Jazbaaton ki aandhi jab gum k tufanon ko sath lati hai
Har raat ashkon se ye ek gazal nai likhwati hai

Umeedon ka rang nikharta hai fir dhundhla jata hai
Har raat indradhanush ko kaale rang me rang jati hai

Shor bht hota hai door kahin bahar kahin khidki k
Main sunna chahti hun to sirf sannate ki hi awaaz aati hai

Mere chaar su.n hai mehfilein jashn aur kaamyaabi
Lekin mujhe apni tasveer aaine me tanha hi nazar aati hai

Lehrein uthti hain mere dil me jo aakar dimag se takrati hai
Main tut kar bikhar jati hun jab ye yaadein mujhe aazmaati hain

Kaalima iss andhere ki na jane mujhse kya kehna chahti hai
Raat bhar mere hothon pe ye ek nayee dard me dubi gazal sajati hai...!!!

Good one ANU
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #25 on: March 06, 2013, 01:42:16 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 04:11:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer