- Haq Jatana Achi Baat Nahin -

by Meena is back on March 23, 2006, 07:10:55 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 7542 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: April 03, 2006, 04:37:34 PM »
gud humtum ji...arre haq jatate hai na apno pe hi par na itna zada bhi nahin hona chahiye ke samne wale ke lyie anchaha bandan ban jaye...jo meri poem ti maine apni saheliy ko samjhaya aur usko faida bhi hua  :D

mana garion pe nahin apno pe hi haq jatate hai,
par yeh na ho ke apno ke liye rishte me koi kushi na rahe,
diye me tel itna bhi na dhalo ke woh buj hi jaye,
zada roshni ke asha rakhte, kahi phir roshni hi na rahe!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj kal, woh humse, Baat nahin karte hain by KaMaL in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
yeh baat samjh mai aye nahin by ~*heartbreaker*~ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Mai Kerte Hoon Dil Ki Baat, Jab Koi Nahin Hota.............. by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
............KOI BAAT NAHIN by Raj_tanha in Shayri-E-Dard
Koi baat nahin by popat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #16 on: April 03, 2006, 04:53:05 PM »
Quote from: "Meena is back"
kuch din pehle mai apni ek saheli se baat kar rahi ti expectations ke bare...ke hum chahe family ho, friends ho, partner ho...humesha kuch expectaions rakhte hai aur apna haq jatane ki bhi kabhi kabhi galti kar lete ha...so issi ehesas pe meri yeh poem hai:

Udne de panchi ko, sans lene de usko kuli hawa me,
Khaid rakh kar usko maarna, yeh achi baat nahin !

Gutne na  lage woh tere bandan me yaha,
Kisi pe apna itna haq jatana achi baat nahin!

Sirf tu hi nahin „Meena“, aur bhi rishte hote hai,
Kisi ko apne daman se yuh bandna achi baat nahin !

Tanhai me tu to jeeti ayi hai, tanhai ki tujhe adat hai,
Tanhai ki kisi aur ko adat dhalwana achi baat nahin!

Tofa-e-phool tujhe mila hai to shukar mana Khuda ka,
Tamana-e-chaman rakhna, yeh achi baat nahin!!


Wow sis,bilkul mere dil ke jazbaat likh diye aapne to :oops: ,as always bohat hi acha likha hai glasses2 .

"Meri zindagi me jabse bandishein teri mohabbat le aayi hai,
      itne bade sansaar me,kahin bhi na khuli saans le paayi main,
      tumne jo socha na hoga wo umeed banke main ubhrungi,
      bas mere sar se ye bandishon ka bojh uthaa lo tum,
      main jeete jee mar rahi hun pal pal,na khush hun na tumhe rakh paungi,
      yun har pal mujhpe haq JATANA chod do.....,
     tabhi tumhe tumhare hak se zyada khushiyan main de paaungi."


Very nice humtum n pooja ji.
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #17 on: April 03, 2006, 04:56:49 PM »
well said kuddiye...i know tume to bohot pasand ayi hogi yeh poem  :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #18 on: April 03, 2006, 05:08:41 PM »
lol ya tongue3 .and thank u Usual Smile .
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: April 04, 2006, 11:35:56 AM »
Meena -Ji .... Jo hai hi apna uske sath kasia anchaha bandan hoga ... aur jiske sath anchcha bandan ho woh apna nahi hoga ....!!! Ho sakta hai aap ki sheli jis pe itna haq jamane ki kahoshih kar rhi ho woh uska ho hi na ... !!


Apne hai jo mere mein unpe haq jatlata hoon
Rob se pyara se haq se apni baat manwata hon
Gair to tehre gair unpe kya haq jamaunga
Mein rishton pe haq jama ke hi aazmata hoon !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: April 04, 2006, 02:38:35 PM »
Meena..Nikki....Pooja..Nidhi n Humtum....Very nice !!!! Winking
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #21 on: April 04, 2006, 02:46:42 PM »
Thanks Talat ..  Winking  Winking  Winking  Winking  Winking  

Sab ki tarf se ik ik ankh :D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #22 on: April 05, 2006, 04:30:47 PM »
Quote from: "HumTum is back"

Apne hai jo mere mein unpe haq jatlata hoon
Rob se pyara se haq se apni baat manwata hon
Gair to tehre gair unpe kya haq jamaunga
Mein rishton pe haq jama ke hi aazmata hoon !!!


oh humtum ji, woh to thik hai par na jaise for example biwi hoti hai apne pati ko huemsha bolti rahe yeh mat karo woh mat karo..this kind of stuff...to kabih kabhi its too much na...kuch had tak haq jatana thik baat hai par it shudnt cross the limits na.

gar raith ko muthi me kas kar band rakhne ki koshish karo,
to phir bhi dheere dheere haath se raith fisalti jayegi,
rishto ko hadd se zada haq ki zanzeero se bandoge,
to haathon se yeh door bhi dheere dheere nikalti jayegi!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #23 on: April 05, 2006, 04:31:34 PM »
Quote from: "Talat"
Meena..Nikki....Pooja..Nidhi n Humtum....Very nice !!!! Winking


humtum ne anhk to mar di ti, aur thank u mai bol deti hoon!  :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #24 on: April 05, 2006, 04:41:08 PM »
lol same i was going 2 speak tongue3 .ankh to humtum ne maar hi di hai ab thanx bolna hai bas tongue3 .

Btw nice work both of u .
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #25 on: April 05, 2006, 04:44:52 PM »
hehe arre har ki taraf se humtum ne ankh mari, aab saqb apni apni thank u to bolo talat ko  :lol:

thank u nidhi, kuch likh na  sad5
Logged
Tosha
Guest
«Reply #26 on: April 05, 2006, 04:49:46 PM »
Jitni tarif karun kam hai ... like wt u write Meena
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #27 on: April 06, 2006, 04:06:35 PM »
thank u toshu...ke tume mera likha pasand ata hai!!!  :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #28 on: April 06, 2006, 05:27:34 PM »
Quote from: "Meena is back"


oh humtum ji, woh to thik hai par na jaise for example biwi hoti hai apne pati ko huemsha bolti rahe yeh mat karo woh mat karo..this kind of stuff...to kabih kabhi its too much na...kuch had tak haq jatana thik baat hai par it shudnt cross the limits na.

gar raith ko muthi me kas kar band rakhne ki koshish karo,
to phir bhi dheere dheere haath se raith fisalti jayegi,
rishto ko hadd se zada haq ki zanzeero se bandoge,
to haathon se yeh door bhi dheere dheere nikalti jayegi!


Apni apni soch ki baat hai Meena ji ..... yun to agar rishton mein dekha jaye ... to Maa bhi apni aulaad pe haq jamati hai ..... ke yen nahi karna woh nahi karna ...... aulaad bhi haq jamati hai ape parents pe ....  so your poem is poiting out to all of the relations not the specfic one !!!



Woh rishta hi kya ke jis mein insaan haq na jma sake
Apne chahne waloon se apni baat bhi na manwaa sake
jismein haq Jatlane ki baat aa jaye to woh rishta nhi rehta
woh kya rishta ke dard ho mujhe aur woh ansuu bha ne sake !!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #29 on: April 06, 2006, 05:38:46 PM »
humtum ji...of course mai general me hi baat kar rahi ti. aab for example parents apne bacho ko mana karte hai, dandte hai to haq hota hai unka, par they know also na ke limit me hona chahiye. how wud u feel agar apki haar baat pe aa kar koi kahe yeh na karo woh na kar and that goes all the time? how will u feel in tha relationship?

hume bandne ki koshish na karo, hume udne do,
hum wapas ayenge zaroor, hume mauka do!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 06:35:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer