jaane kya baat hai***

by ranjana on June 11, 2006, 04:29:05 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2060 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: June 25, 2006, 04:17:46 PM »
bahut khoob.....nitiesh .......kai baar tumhare lafaz sidha dil mein utar jaate  hain...............

meujhe jindagi ki yun dua na de
maine ishq kiya hai per mujhe yun saza na de

uljhi hun apni uljhano mein na jaane kab se
ek baar haath thaam mera,ek tinke ka hi sahara toh de

paate hain sakun hum tujhe mein hi kho kar
ek baar hi sahi apni aankho ka paimaana toh de

waqt bura aaye  toh begaane bhi apne ho jaate hain
apne dil ke ek kone mein mujhe ek thikana toh de......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaane kya baat hai*** by ranjana in Critics and Review only Forum
JAANE KYA BAAT HAI- by TOUSIFSHAIKHH in Shayari -e- Husn
JAANE KYA BAAT HAI- by TOUSIFSHAIKHH in Shayari -e- Husn
Aaj Mar Jaane Kii Baat Kar....masoom by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
BHOOL JAANE KI BAAT KARTEY HO by saahill in Shayri-E-Dard
_Vicky_
Guest
«Reply #16 on: June 26, 2006, 09:26:57 AM »
wah wah wah! kya baat hai RANJANA JI  aur PHOENIX JI.... kamaal ka likha hai aap dono ne...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: June 26, 2006, 09:29:19 AM »
shukriya vicky ......per aapne kyu nahi likha ji...........  Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: June 26, 2006, 11:51:02 AM »
meri jholi mein kuch phool hain ,kuch kaanto ke chhaale hain
raat ki khamoshi mein hamne apne dard sambhale hain

jab bhi aaya hai tera khayal hame sunsaan raato mein
hamne apni neendo ko teri yaado ke diye hawaale hain

jaane kaise ab beetagi yeh gum ki lambi raat sanam
yahan na dil hai kaabu mein ab mere,aur na hi koi mujhe sambhale hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #19 on: June 26, 2006, 11:58:28 AM »
dua karoge to har raat ko unse mulaqat hogi
khwabo mein hi sahi kabhi na kabhi mulaqat hogi

maana ki raato ki tanhai katna bahut mushkil hai
par kya kare koi jab doriyan majboriyan ban jaye

juda to hum bhi nahi hona chahte hain unse
par koi kya kare jab duniya ki rasme dilon ki deewarein ban jaaye
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: June 26, 2006, 12:03:42 PM »
meri jholi mein kuch phool hain ,kuch kaanto ke chhaale hain
raat ki khamoshi mein hamne apne dard sambhale hain

jab bhi aaya hai tera khayal hame sunsaan raato mein
hamne apni neendo ko teri yaado ke diye hawaale hain

jaane kaise ab beetagi yeh gum ki lambi raat sanam
yahan na dil hai kaabu mein ab mere,aur na hi koi mujhe sambhale hai
Logged
Tosha
Guest
«Reply #21 on: June 26, 2006, 12:09:08 PM »
wow ... kya baat hai aap ki Puzzled !
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: June 26, 2006, 02:12:49 PM »
Quote from: "Tosha"
wow ... kya baat hai aap ki Puzzled !


hm shukriya Tosha dear......but aap heraan preshaan kyu hai....... Puzzled !
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 02:27:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer