Kah naheen saktey!

by abdbundeli on September 11, 2008, 03:17:23 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 1784 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: September 21, 2008, 08:26:22 AM »
Nice One Again,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: September 21, 2008, 01:59:04 PM »
angel4u ji
Ahmad Faraz Sa'b ka eik sheir padhiyegaa:
किसी बेवफा की खातिर ये जुनूं फराज कब तक
जो तुम्हें भुला चुका है उसे तुम भी भूल जाओ

- अहमद फराज
Theek kahaa hai na?
                 - abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: September 21, 2008, 03:46:14 PM »
Ye bahut bade log hia inke sher pe comment karne ki meri hasti nahi hai, par main bas itna kahungi.

Bhoolne ko to bhul jayein us haseen bewafa ko,
par dhadkan ki har taal se uski aahat mitaun kaise???
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: September 22, 2008, 05:35:33 AM »
Ye bahut bade log hia inke sher pe comment karne ki meri hasti nahi hai, par main bas itna kahungi.

Bhoolne ko to bhul jayein us haseen bewafa ko,
par dhadkan ki har taal se uski aahat mitaun kaise???
angel4u ji,
Yeh ishq-e-tasawwur hai, mumkin naheen tabeebee!
Ashq-e-gam-e-mohabbat sey ilaaz kar rahey hain?
Yeh qasb-e-baatinee hain, nazroun mein na aayengey:
Taazindagee hogaa yeh, jisey aaj kar rahey hain!!
                                  - abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: September 23, 2008, 02:33:26 AM »
Ashqon se bhi dilke zakhm jale to kya karein,
koi itna door rehke bhi paas rahe to kya karein,
zindagi us bin adhuri adhuri si ho gayi hia,
is safar mein maut ka makaam bhi na aaye to kya karein...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: September 23, 2008, 05:29:23 AM »
Ye bahut bade log hia inke sher pe comment karne ki meri hasti nahi hai, par main bas itna kahungi.

Bhoolne ko to bhul jayein us haseen bewafa ko,
par dhadkan ki har taal se uski aahat mitaun kaise???

Bahoot Khoob Husnaina Ji,.

Tum Bhi Kahaan Khush Rahoge Bhoola Kar Mujhe "Azeem",.
Har Saans Mein Base Ho Tum Mere, Tum Bhin Zingadi Bitaaoon Kaise,.

________________________________-Jaanasheen-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #21 on: September 23, 2008, 08:52:23 AM »
angel4u/Husnaina Ji,
Yeh 'udaas parizaad', ye aap, au ik wo:
Khwaab-e-jannat mein, gam firaaq kaa! Kahoon mein kyaa?
Wo koyee khushnaseeb thaa, ki, jisey aap miley!
Ye badnaseebee hai us kee, ki, judaa hai ab wo!!
Ashk-o-gam kuchh naheen deytey hain, sunainey, sachmuch!
Log kahatey hain, ki, shaitaan bhi farishtah hai!!

      Husnainaa ji, meyree eik 'choupadi' (ya kahiye qata'a), hai, sochtaa hoon aap bhi usey padheyn:
 
"Jo huaa, ho chukaa hai, bhulaa dey usey;
 Shaad, baazouq rah, itnaa ahsaan kar!
 Behtarii hai isee mein, may-e-zeest pee:
 Taa ki, aasaan ho zindagee ki dagar!"

                        abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: September 24, 2008, 03:06:13 AM »
Abd ji.

Bhulein kaise uski parchhayi ko bhi aye dost,
wo to dilke har kone mein basa karta tha,
jab gaya to ye haweli veeran kar gaya,
jiski har deewar par uska pyaar mehekta tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: September 24, 2008, 03:07:30 AM »
Bahoot Khoob Husnaina Ji,.

Tum Bhi Kahaan Khush Rahoge Bhoola Kar Mujhe "Azeem",.
Har Saans Mein Base Ho Tum Mere, Tum Bhin Zingadi Bitaaoon Kaise,.

________________________________-Jaanasheen-

saanson ki har rawani hia usse ab bhi na jaane kyon,
ke humne to kab se use dilke gharonde mein qaid kar rakha hai...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: September 24, 2008, 04:30:09 AM »
Husnaina Ji,
Wo yaadagaar-e-wasl, aur ab ghuteen yaadeyn;
Aap ko chain deyn agar, to sanjoye rakkheyn!
Ashk bahtey hain, to bahney deyn; apney daaman ko,
Yoon shab-o-roz aab-e-dil sey bhigoye rakkheyn!!

Waisey duniyaa mein, bahut kuchh hai aur bhi baaqee:
Aashiyaaney hazaar girtey hain, bikhartey hain;
Fir bhi, taameer-e-nou un ko bahaal kartee hai;
Aur, fir, khushiyoun sey daaman hazaar bhartey hain!!
                           - abd bundeli
                               
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: September 24, 2008, 02:18:49 PM »
Niec One Husnaina, And Abd Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: September 24, 2008, 02:24:14 PM »
Dil Ka Dard Main Zaaheer Kar Nahi Sakta,.
Aankhon Ki Zubaan Main Kisi Ko Keh Nahi Sakta,.

Beet Gayi Yun To Sadiyaan Meri Zindagi Ki "Jaanasheen",.
Ab Koi hai Jiske Bagair Main Ek Pal Bhi Reh Nahi Sakta,.

____________________________________-Azeem-

Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: September 24, 2008, 02:25:34 PM »
Abd ji..
waise mera spelling Huzena hota hai :|

hmmm....

jin khushiyon ki sab baat karte hia is jahan mein,
wo saari shayad mere daaman mein bhari padi hai,
raas nahi aati phir bhi na jaane kyon isko khushi,
shayad dard ki chadar hai ye mera daaman nahi hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #28 on: September 24, 2008, 02:26:01 PM »
Dil Ka Dard Main Zaaheer Kar Nahi Sakta,.
Aankhon Ki Zubaan Main Kisi Ko Keh Nahi Sakta,.

Beet Gayi Yun To Sadiyaan Meri Zindagi Ki "Jaanasheen",.
Ab Koi hai Jiske Bagair Main Ek Pal Bhi Reh Nahi Sakta,.

____________________________________-Azeem-



bahut khoobsurat..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: September 24, 2008, 02:28:47 PM »
Abd ji..
waise mera spelling Huzena hota hai :|

hmmm....

jin khushiyon ki sab baat karte hia is jahan mein,
wo saari shayad mere daaman mein bhari padi hai,
raas nahi aati phir bhi na jaane kyon isko khushi,
shayad dard ki chadar hai ye mera daaman nahi hai...


Tumse Rishta Jab Baandh Hi Liya Hai,.
Dard Se Bhi Hum Dil Lagaa Lenge,.

Ab Khushi Mile Ya Maatam, "Husnaina",.
Jo Bhi Aaaye Use Ab Apna Banaa Lenge,.

_________________________-Jaanasheen-

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 09:30:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer