Khayal

by Pooja on June 14, 2006, 04:27:09 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Author  (Read 5298 times)
Pooja
Guest
«Reply #75 on: January 31, 2008, 03:26:52 PM »
Sun, ajj phir marne ka khayal dil mai ayya hai
Bin tere zindagi ka ek pal bhi yah dil jee na paaya hai

Jine ke bahane mil rahe hai bahoot, magar
Her mout ke khayal mai tujhko paaya hai

Bahoot sambhala hai is tadapte dard ko
Shayad dard ko bhi mujh per taras ayya hai

Hai andhkaar aor ab roshani ki bhi chah nahi
Mil kar bhi mujhe, jo, tu na mil paaya hai

Sun, ajj phir marne ka khayal dil mai ayya hai
Bin tere zindagi ka ek pal bhi yah dil jee na paaya hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khayal .... ( Divya) by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj koi khayal aaye na by saahill in Miscellaneous Shayri
Khayal ki Titli by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
Khayal..... by satish-Aman in Ghazals
Khayal by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #76 on: January 31, 2008, 03:38:47 PM »
BAHUT KHOOB POOJA,BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE ,PAR EK BAAT..

JINKE DIL MEIN PYAAR HO,
UNKE AANKHON MEIN NAFRAT ACHI NAHI DIKHTI..
JINKE AANKHON MEIN HO JEENE KI KHWAISH,
UNN AANKHON SE BHAGAWAT ACHI NAHI DIKHTI..

AAINE MEIN KABHI KHUD SE RUBARU HONA POOJA
KABHI-KABHI KHUD KI PARCHAI BHI SAAF NAHI DIKHTI...

MAUT KA KHAYAL BHI NAA LANA APNE ZEHAN MEIN
JITNA ASAAN LAGTA HAI MAUT KO GALE LAGANA,
UTNA HI MUSHKIL HAI,

KABHI MAUT KO KAREEB SE DEKHO
ITNI ASAAN NAHI DIKHTI...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #77 on: January 31, 2008, 03:44:24 PM »
Bahoot khub pooja ji


Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: January 31, 2008, 03:47:50 PM »
nafarat kabhi is dil mai aa nahi sakti
kuch kar ke bhi, chahat yah dil se ja nahi sakti

mout ke manjar se kahin dardnaak hai yah manjar
is se agge ka manjar khud ko dikha nahi sakti

Aaina koi bhi ho, kis bhi chokhat mai
jhoothi tasveer usmain kabhi aa nahi sakti

jeene ki khwaish ab kaya kare Pooja
dard ki nagari mai aor re-ha-ish ho nahi sakti!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #79 on: January 31, 2008, 05:42:12 PM »
Very touching lines pooja.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: January 31, 2008, 06:01:20 PM »
thanks Honey!!
Logged
sagar_0777
Guest
«Reply #81 on: February 01, 2008, 04:54:40 AM »

WOW POOJA DEAR KYA KHOOB LIKHA HAI AAPNE.............
VERY GOOD..........
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #82 on: February 01, 2008, 08:54:36 AM »
insaan ki takdeer aur taash ke patton ka khel dono ek he hain
dono he khud ke haath mein rehte hain
dono ko khud sey bana na padta hai
dono ko banakar auron ko dikhana padta hai
dono he kabhi khud sey kabhi khuda se kabhi dava se kabhi dua se banti bigaadti rehti hain.

              insaan ki takdeer aur taash ke patton ka khel dono ek he hain
              aage badte hain do haath kaatney ke liye
              kahin taash ke paaton ko toh kahin insanigardan   maapney       ke      liye
iss ummid par khalte hain ki shyad haari huyi baazi fir se jeet jayenge
gamo ko apney wapas khushi mein badal jayenge
pata nahin kyon maza aata hai itna
insaano ko aur taash ke paaton ko
pehle kat ne mein katne ke baad bantne mein

arey haar toh hogi hi kisi ki
koyi jeet bhi jayega
par katne kaatney bantne baantne ka yeh khel kya kabhi ruk payega

insaan ki takdeer aur taash ke patton ka khel dono ek he hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #83 on: February 01, 2008, 03:49:03 PM »
Thanks Sagar, Nice zakhmola
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #84 on: February 02, 2008, 10:58:33 AM »
i]Shabdarth[/i]

aao aaj hum aur tum Shabdarth kehelenge
shabdon ko tum chuno arth[ meaning ]hum ekdam sahi bolenge
uss ney poocha Arth ka Matlab
humney kaha matlab hai
ussney kaha nahin Dhan hai [ Earth = money ]
humney kaha Nirdhan hai
usney kaha sahi nahin hai matlab
humney kaha bematlab hai

uss ney kaha bematlab sey matlab
humney kaha insaani rishta[ i beleive only human is good into it]
usney kaha swarthi insaan
humney kaha Rishton ka Anth [ mean when people becomes to selfish its endup the relationship ][/color]
[/color]
Logged
baadal102
Guest
«Reply #85 on: February 02, 2008, 02:21:50 PM »


Aate hi khayal un ka,
Zakhm-e-dil taaza ho jaata hai,

Dekhte hi tasveere-e-yaar,
Marne ka khayal man mai aata hai,

Roshni bahut madham hai,
Andhera bahut rah-e-zindgee mai aata hai,

Dard baatne wale bahoot lakin,
saku-e-dard nahi mil paata hai,

Aate hi khayal un ka,
Zakhm-e-dil taaza ho jaata hai!!!!!



Baadal

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #86 on: February 02, 2008, 08:29:23 PM »
Sab ache likhe hai nice one.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: February 04, 2008, 05:23:56 PM »
kyun khud ko itna lachar paati hu
tere samne kyun itani bebas ho jaati hu

bin soche kah deti thi tumse apni dil ki baatein
kyun ajj ek shabd bhi tujhse na kah paati hu

Haq tha tujh per aor jo chaha wo karati thi
hai tujhse behad pyar, ajj itna bhi na kah paati hu

khayal jo har pal dete the khumar mujhko
kyun ajj sirf ansuo mai khud ko paati hu

dil chahe, lag jaau tere gale, main rone ko bahoot
per ek kadam bhi teri taraf bada nahi paati hu

kyun khud ko itna lachar paati hu
tere samne kyun itani bebas ho jaati hu
Logged
baadal102
Guest
«Reply #88 on: February 08, 2008, 11:33:02 AM »
Khayal aate hi un ka,
Bita hua har lamha yaad aata hai,

Kya kami the hum mai,
Jo un ka chor jaana yaad aata hai,

Har haqe diye maine unhe,
Kyo fir mujhe unka rula jaana yaad aata hai,

Saath hi to maanga tha unse,
Fir unka akele chor ke jaana yaad aata hai,

Juba pe sirf naam tha unka,
Fir us naam ko mita jaana yaad aata hai,

Marte the jis pyar ke liye,
Us pyar ka thukrana yaad aata hai,

Khayal aate hi un ka,
Bita hua har lamha yaad aata hai.........





Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: February 08, 2008, 04:31:45 PM »
Khayal na jaane khud ko kaha se kaha ke jaate hai
Tadpaate hai bahoot khud ko, zakhmo ko nasoor kar jaate hai

Chord chuka jo, usko kyun phir se itne kareeb laate hai
Kyun kiya, yah sawal umarbhar, tadpaate hai

Sath nahi rahna chahta jo, kyun uske piche jaate hai
Nahi hai wo humare kabil, hum yahi, khud ko ab samjhate hai

Ek bahoot choti se baat, phir hum khud ko yaad dilate hai
Usne nahi kiya itna dukhi, yah to hum apni socho se khud ko dukhi banate hai

Kar do jo sochna band uske liye, phir kaha koi dard rah jaate hai
Jo apne liye na kar sake itna, usko to phir deewana hi sab batlaate hai!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 03:52:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer