Lahoo, ashk ban ker aankhon se rawaN hoota hai

by javedarshad on July 10, 2009, 09:54:13 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3228 times)
javedarshad
Guest
«Reply #15 on: July 14, 2009, 09:55:53 PM »
aaina

shukrai

aapka





javed
Logged
Kanta
Guest
«Reply #16 on: July 14, 2009, 10:34:37 PM »
sab acha or sunder likhe hen
javed bahut sa urdu words uper se gujra abi kal mere ku meaning batao teek he na
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #17 on: July 14, 2009, 11:11:54 PM »
Kanta Bai
Namashkar

aap ko acha laga
mere ko bhi acha laga
aap mere ko bolo kaun kaun sa words ooper se gaya aur kaun kaun
sa hazam ho gaya ya sare ke sare ka matlab likhne ko mangta ha


dhanyawaad



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: July 15, 2009, 02:40:36 AM »
Bahut hi khoobsurat likha hai Javed Ji aapne...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #19 on: July 15, 2009, 03:25:35 AM »
shukria aapka





javed
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: July 15, 2009, 06:19:33 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot achi kavita ki rachna ki hai apne javed ji.. apki kavita parte waqat kuch lines man mai aii, wo he likhne ja rahi hu:

Dard ka hai lahu, ya lahu mere dard se atta hai
AAnkhein bhi royegi kab tak, hosh goom ho jaata hai

Socho main hai dard, ya dard main doob gai soch
Beeta kaise kab waqat, ek andhkaar san ajar atta hai

Wafa, muhobat ke naam per, lub ab dete hai muskura
Yeh alag baat hai, tanhaai main dil ajj bhi tadap jaata hai

Pad kar dard bhari shayri, ajj bhi uthati hai ek tees
Aor Pooja likh deti bas, jo b hi uske man mai atta hai

Dard ka hai lahu, ya lahu mere dard se atta hai
AAnkhein bhi royegi kab tak, hosh goom ho jaata hai….


Boat Achcha Addiction Hai Sis,.
Nice One,.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: July 15, 2009, 10:31:10 AM »
Javed Sahad Adaab, Mashallah ... bahut khoob likha hai aapne...


Rumaal hatheli pe dil khaye hickole
Khamoshi kabhi koi baat kahan bole!!


HumTum
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #22 on: July 15, 2009, 12:31:13 PM »
Walekum Adaab

bahut bahut shukria janab ka

Teri adaun mein hai ye  kaisi jadugari
khamosh nigahain sab kuch kahjati hain



javed
Logged
HumTum
Guest
«Reply #23 on: July 15, 2009, 12:41:17 PM »
waah janab kya kehne iss misre ke....


KhamoshiyoN ko aaj phir di hai sada
SerhadoN par kyun qaid hai dil mera
Jis ke qadmoN tale mahaken mashk-o-gul
misl-e-sar pesh hota raha hai dil mera!!

regards,

HT
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #24 on: July 15, 2009, 12:51:20 PM »
Shukria H T

tune kis bedardi se raund dala dil mera
kash nafrat se hi thokar lagadeta kia hoota



javed
Logged
HumTum
Guest
«Reply #25 on: July 15, 2009, 01:00:02 PM »
Milli hassi ki sazza rafta rafta
Taru'uf ghamooN se hua rafta rafta
Toot gaye ishq ke dhage daf'fataN
Chla ranjish ka silsila rafta rafta!!


regards,


HT
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #26 on: July 15, 2009, 01:05:23 PM »
H T wah
mager

Ranjish hi to agaaz e muhabbat hooti hai
Aik din aalage ga gale woh ahista ahista



javed
Logged
HumTum
Guest
«Reply #27 on: July 15, 2009, 01:17:38 PM »
waah Javed Sahab... mazza aa gya !!


Magar intzaar ki bhi hadd hoti hai
Kahi mar na jaye hum rafta rafta !!


regards,

HT
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #28 on: July 15, 2009, 01:21:46 PM »
bahut hi khoob


H T
sb

Maza to bas itezaar mein hi hoota hai
Werna kaun kis ke liye beqarar hoota hai



javed
Logged
HumTum
Guest
«Reply #29 on: July 15, 2009, 01:25:40 PM »
aree waah .. yeh bhi khoob kahi aap ne Javed Ji!


Mujhe harz nai koi intezaar se magar
Koi umeed bhi to ho uske aane ki aggar!!


regards,


HT
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 05:12:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer