~Maut ke baad maut~

by Tosha on June 26, 2006, 12:45:58 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 7312 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #15 on: June 26, 2006, 06:33:46 PM »
thanx
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #16 on: June 28, 2006, 11:26:27 AM »
Kya baat hai sabhi ne bahut accha likha hai.....

Jab jalaya gaya Zinda mujhe tab teri Aankhein roti kyu nahi thi......
Karti thi tu Pyar mujhse par kuch bolti kyu nahi thi......

Dekh Sannate se bhara tera Chehra me bhi Hosh-O-Hawaas kho baitha......
Karta tha Pyar jisse use kyu uss Ghadi bewafa keh baitha......

Rona na sahi par ek WaQt muskura hee diye hote......
Kuch meri Zindagi ke pal bhi Ehsaan ke liye Meheka hee diye hote.......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: June 28, 2006, 11:41:21 AM »
bahut khub gaurav

gum  bhi kya cheege hai yaaro
aksar neende udaa dete hain

jab ban ke khadi hoti hai sawaal jindagi
toh aksar hosh udaa   deti hai.............

dil ke aaeane per zami hai dhul dard ki
aksar manzilo ki raha bhula deti hai

dhup hi dup is jindagi ke sehara mein
yah akasar mujhko mere ghar ki yaad dila deti hai

jab bhi ghut bhut ke li hain saanse hamne
yeh saanse bhi hame ab jinda hai yeh bata deti hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #18 on: June 28, 2006, 11:47:35 AM »
Wah ji wah Kya baat kahi hai....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #19 on: June 28, 2006, 11:54:12 AM »
shukriya Gaurav.............
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #20 on: June 28, 2006, 11:55:14 AM »
very nice gaurav bhai & ranjana ........

sansso ki ruki si rawaani,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani...........

kyun meri zindagi mai aaj veeraniya hai
kyun mere charo aur chubhti tanhaiya hai
dastak de rahi hai dil mai gum  ki aahe kyun
kyun dard mai dhali meri sab kahaniya hai

kyun bhatak rahi hai zindagi hoker yu begaani
sansoo ki ruki si rawaani ,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani..........

main jee raha hoon aaj bhi kiski chahat ke liye
tadap raha hoon is qadar kiski mohabbat ke liye
jo lab mere kabhi keh na paaye haal apna
woh honth kar rahe hai dua kiski hifajat ke liye

akhir kiske liye kar rahi hai ruh jism se baimaani
sansoo ki ruki si rawaani ,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani.............

zara meri palko ko man se chu ke dekhiye
mere ashko ke dariya mai utar ka dekhiye
jo dhikha nahi paaya kabhi dil mera
us dard ko apne dil mai bhar ke dekhiye

dekhiye is dard mai bhi tadap hai kitni suhaani
sansoo ki ruki si rawaani,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani................

.................@fahi@.....................
Logged
~Garfield~
Guest
«Reply #21 on: June 28, 2006, 11:58:01 AM »
wow ... Ranju Ji n GG Cool :D
Kuch hum bhi kahe Winking

dil main tufan hai; tabhai hai is dil main
chah ke bhi baras nahi sakte; kuch aise khuvaishe hai is dil main

daard hai zahen main; aur chote jo zamane ne di
koi dawa mita nahi sakti; jo zakham dhaye gaye hai seene main

maut ki umeed ki thi;ki tufan kabhi to phatega
na mita sake dunya ko jashan mane li mujhe hi mitane main
Logged
~Garfield~
Guest
«Reply #22 on: June 28, 2006, 11:58:41 AM »
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very nice gaurav bhai & ranjana ........

sansso ki ruki si rawaani,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani...........

kyun meri zindagi mai aaj veeraniya hai
kyun mere charo aur chubhti tanhaiya hai
dastak de rahi hai dil mai gum  ki aahe kyun
kyun dard mai dhali meri sab kahaniya hai

kyun bhatak rahi hai zindagi hoker yu begaani
sansoo ki ruki si rawaani ,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani..........

main jee raha hoon aaj bhi kiski chahat ke liye
tadap raha hoon is qadar kiski mohabbat ke liye
jo lab mere kabhi keh na paaye haal apna
woh honth kar rahe hai dua kiski hifajat ke liye

akhir kiske liye kar rahi hai ruh jism se baimaani
sansoo ki ruki si rawaani ,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani.............

zara meri palko ko man se chu ke dekhiye
mere ashko ke dariya mai utar ka dekhiye
jo dhikha nahi paaya kabhi dil mera
us dard ko apne dil mai bhar ke dekhiye

dekhiye is dard mai bhi tadap hai kitni suhaani
sansoo ki ruki si rawaani,ye behta ashk-e-paani
mere dard-e-dil ki keh rahe hai kahani................

.................@fahi@.....................


Amazing Puzzled !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: June 28, 2006, 12:08:38 PM »
Very Nice Tosha & All....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: June 28, 2006, 12:10:30 PM »
its really very wonderful fahi ..........aur bahut khub Grafield
Logged
Tosha
Guest
«Reply #25 on: June 28, 2006, 12:13:31 PM »
Quote from: "Aryaan"
Very Nice Tosha & All....


Thanx JI ...  Puzzled !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: June 28, 2006, 12:16:09 PM »
Quote from: "Tosha"
Quote from: "Aryaan"
Very Nice Tosha & All....


Thanx JI ...  Puzzled !

ur welcome ji...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #27 on: June 28, 2006, 02:25:39 PM »
thanx ranjana ,.............

 dard leker chale gaye woh, meri dastaan sunkar
 jo dard aaye the mujhko dard dene.

...............@fahi@...............
Logged
Tosha
Guest
«Reply #28 on: June 28, 2006, 05:52:13 PM »
good!!

Kuch ancha sa jata gaye
kuch anjana sa dikha gaye
aaye the mohabbat ke rag leke
mattem ke geet suna gaye
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: June 28, 2006, 05:54:34 PM »
Quote from: "Tosha"
Aaj is dil main hua kuch ek baar phir
naje kisne kahi se chalaya ek teer
nishana laga kuch iskader sine main
bin daard lahu nikla hui baat yeh ajeeb
humse socha hamme kahi ishq to nahi hua hai
per bhookhe ko hai magta khana
ishq ke lafdo main anhi padta gareeb
taras aata hai aapni hasti main kabhi kabhi
kabhi hasi aati hai kabhi nahi aati hai
kambakhet yeh zindgi bahut tarsati hai
kabhi unse hota hai kabhi hota hai daard
yeh dil ki dhadkan bhi najane kya geet gati hai
socha ke isse padke muskaroge aap
per in aakhon main neha chalak chalak aati hai
kya kare is rangeen zindgi ka hum
hamme to safeed dhoti hi bhati hai
najane kyo aaj is dil se ajeeb se aawaz aati hai
kuch madham sa kuch tikha sa meri nasse chilati hai
bolake lao kise doctor ko aab tum
hamme to aapne matu nazer aati hai
ke haas le hum to lamha yaha aaj
na ho kahi khuda ko bhi narazgi humse
humko to maut ke baad bhi maut nazer aati hai


Humne aaj dekha yeh !!! bohot achche Toshu !!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:26:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer