Meri Tanhaai mai

by Pooja on December 16, 2008, 05:05:49 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 5986 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: December 23, 2008, 05:22:21 AM »
shukaria Jas ji and lil bro
Logged
HumTum
Guest
«Reply #31 on: December 29, 2008, 10:22:17 AM »
Meri Tanhaai mai, Teri tanhaai bhi hai shamil
chal diye aise kashti main, jiska nahi hai ab koi sahil

roye hai teri ankhia, roye hai mera dil yaha
kyun kar diya yah sab, main nahi thi iske kabil

sambhal tum bhi jaoge, sambhal hum bhi jayege
bas ab ek dooje ki zindagi main, na hoge hum kabhi shamil

Nice one Pooja ji ....

Tera pyaar chupa ke rakha hai dil ki gehraiyon mein
Sakuun deta hai tera tasvuur aaksar tanhaaiyon mein
Jab kare ishq koi to usmein sabhi ihtiyaat barte
Ujad jate hai ghar aksar thodi si la-parwahiyon mein!!

HumTum

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #32 on: December 29, 2008, 10:54:04 AM »

Nice one Pooja ji ....

Tera pyaar chupa ke rakha hai dil ki gehraiyon mein
Sakuun deta hai tera tasvuur aaksar tanhaaiyon mein
Jab kare ishq koi to usmein sabhi ihtiyaat barte
Ujad jate hai ghar aksar thodi si la-parwahiyon mein!!

HumTum

WAH WAH. bahut hi khoob kaha HUMTUM

Jasbir Singh
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #33 on: December 29, 2008, 12:17:25 PM »
Meri Tanhaai mai, Teri tanhaai bhi hai shamil
chal diye aise kashti main, jiska nahi hai ab koi sahil

roye hai teri ankhia, roye hai mera dil yaha
kyun kar diya yah sab, main nahi thi iske kabil

sambhal tum bhi jaoge, sambhal hum bhi jayege
bas ab ek dooje ki zindagi main, na hoge hum kabhi shamil

Meri Tanhaai mai, Teri tanhaai bhi hai shamil
chal diye aise kashti main, jiska nahi hai ab koi sahil

Poojaji aapko to saraswati ka vadaan hai...Shabdh to aapki kelam se nikalne ko aatur rehte hain....wah wah bhut khoob..

isi dhaar me Pesh hain kuchh panktiye

Dard hota hai jab beech bhawar koi chhod jata hai
 Karke dher sare vade wo jab unhe nahi nibhata hai

 N Jane ooski bhi kya rahi hongi mazbooriyen
 Yu chhod ke kasti koi mazdhar me jaata nahi

 Mugalto me ab faasle ho gaye hai itne lambe ki
 Kehfiat koi de bhi to kaise, aawaj k daire se dur ab

 Abhiman k Aashiyane bana liye, hamne apne-apne
 Jeevan me ab tanhaai he tanhaai hai tere bhi mere bhi
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #34 on: December 29, 2008, 01:04:49 PM »
bahut sahi kaha aapne Anaam jii... saraswati ka hi vardan hai ke itna simple
aur lajawab likhti hai hamari pooja didi...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: December 29, 2008, 08:18:03 PM »

Nice one Pooja ji ....

Tera pyaar chupa ke rakha hai dil ki gehraiyon mein
Sakuun deta hai tera tasvuur aaksar tanhaaiyon mein
Jab kare ishq koi to usmein sabhi ihtiyaat barte
Ujad jate hai ghar aksar thodi si la-parwahiyon mein!!

HumTum

BAHOOT SAHI KAHA APNE HUMTUM JI... Kaha hai ajkal app.. darshan he durlabh ho gaye hai apke...

baraso ke sath main kuch laprwahi ho he jaati hai
pyar ki buniyaad yahi per to dikhai jaati hai

chor kar sath, jo kar de gali gali ruswa
aise rishto main, tanhaai aa he jaati hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: December 29, 2008, 08:29:29 PM »
Poojaji aapko to saraswati ka vadaan hai...Shabdh to aapki kelam se nikalne ko aatur rehte hain....wah wah bhut khoob..

isi dhaar me Pesh hain kuchh panktiye

Dard hota hai jab beech bhawar koi chhod jata hai
 Karke dher sare vade wo jab unhe nahi nibhata hai

 N Jane ooski bhi kya rahi hongi mazbooriyen
 Yu chhod ke kasti koi mazdhar me jaata nahi

Mugalto me ab faasle ho gaye hai itne lambe ki
 Kehfiat koi de bhi to kaise, aawaj k daire se dur ab

 Abhiman k Aashiyane bana liye, hamne apne-apne
 Jeevan me ab tanhaai he tanhaai hai tere bhi mere bhi

Arree Itane bade shabd na kahe app mere liye.. bahoot he sadharn insaan hu jo bahoot he sadharn shabdo main kuch tukbandia likh leti hai... apko pasand ayya mera likha yah jaan kar bahoot acha laga..

Apne bhi bahoot acha likha hai Anaam ji..apki do line mujhe samjh nahi aai jo maine red color main ki hai apki kavita main..

khilona samjh kar kheil jaate haya insaan
jeevan bhar ki kamai ko le jaate hai yaha insaan

dard apne per chillate hai so so baar jo
umarbhar ka zakham de jaate hai kaise insaan

dard us per yah ki kasoorwar thuhraye humko
kis tarah roj, aaina dekhte hai yah insaan

Insaan kahte hue bhi inhe, Pooja ki kalam ro pade
apni inhi baato ko apni Vijay samjhe yah insaan
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: December 29, 2008, 08:31:44 PM »
bahut sahi kaha aapne Anaam jii... saraswati ka hi vardan hai ke itna simple
aur lajawab likhti hai hamari pooja didi...

Itani badi badi baatein kar ke app ne so jaana hai mujhe jhar ke parr se kon utarega  DOH  DOH  DOH
Sadharan si didi hai yah, sadharan shabdo main he rahne do.. yah itne bade bade shabd..marne ke baad kahin sarswati ji ka samna ho gaya to kaya jawab doogi...  Crying
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #38 on: December 30, 2008, 11:29:31 AM »
Arree Itane bade shabd na kahe app mere liye.. bahoot he sadharn insaan hu jo bahoot he sadharn shabdo main kuch tukbandia likh leti hai... apko pasand ayya mera likha yah jaan kar bahoot acha laga..

Apne bhi bahoot acha likha hai Anaam ji..apki do line mujhe samjh nahi aai jo maine red color main ki hai apki kavita main..

khilona samjh kar kheil jaate haya insaan
jeevan bhar ki kamai ko le jaate hai yaha insaan

dard apne per chillate hai so so baar jo
umarbhar ka zakham de jaate hai kaise insaan

dard us per yah ki kasoorwar thuhraye humko
kis tarah roj, aaina dekhte hai yah insaan

Insaan kahte hue bhi inhe, Pooja ki kalam ro pade
apni inhi baato ko apni Vijay samjhe yah insaan

Bhoot khoob Poojaji.....
INSAAN unko kaise keh diya aapne
Insaano ki surat me Shaitaan hain wo

un do line-no me yeh kaha hai....
 
Mugalto(Galat-fehmion) me ab faasle ho gaye hai itne lambe ki
Kehfiat(safai) koi de bhi to kaise, aawaj k daire se dur(beyond the range of sound) ab hain

Anaam
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #39 on: December 30, 2008, 11:55:22 AM »

Nice one Pooja ji ....

Tera pyaar chupa ke rakha hai dil ki gehraiyon mein
Sakuun deta hai tera tasvuur aaksar tanhaaiyon mein
Jab kare ishq koi to usmein sabhi ihtiyaat barte
Ujad jate hai ghar aksar thodi si la-parwahiyon mein!!

HumTum

Wah! Hum Tum Ji bahut khoob likha hai aap ne
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #40 on: December 30, 2008, 12:14:48 PM »
Arree Itane bade shabd na kahe app mere liye.. bahoot he sadharn insaan hu jo bahoot he sadharn shabdo main kuch tukbandia likh leti hai... apko pasand ayya mera likha yah jaan kar bahoot acha laga..

Apne bhi bahoot acha likha hai Anaam ji..apki do line mujhe samjh nahi aai jo maine red color main ki hai apki kavita main..

khilona samjh kar kheil jaate haya insaan
jeevan bhar ki kamai ko le jaate hai yaha insaan

dard apne per chillate hai so so baar jo
umarbhar ka zakham de jaate hai kaise insaan

dard us per yah ki kasoorwar thuhraye humko
kis tarah roj, aaina dekhte hai yah insaan

Insaan kahte hue bhi inhe, Pooja ki kalam ro pade
apni inhi baato ko apni Vijay samjhe yah insaan

Bahut Khoob Likha Hai aap ne Pooja Ji
Kuch maine bhi likhne ki koshish ki hai

Khud khilona bana hua hai insaan
Apno mein khelta rahta hai insaan

Zakham bhi deta hai yahi insaan
Dardon ko  bhi jhelta  hai yeh insaan

Apne ko kashoorwar kahta hai insaan
Khud hi khud ka aaina hai yeh insaan

Haywaaniyat par bhi utar aata hai insaan
Jis waqt vijay ko chahata hai har insaan
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #41 on: December 30, 2008, 07:23:40 PM »
Bohat Achche Rajesh Bhaiya,.

Main Hoon Jahaan, Wahaan Meri Tanhaai Hogi,.
Har Taraf Khamoshi Ki Bahaar Chaai Hogi,.

Mujhse Koi Humdardi Na Jataao Mere Doston,.
Mere Saath Tumhaari Bhi Kismat Ke Sath Ladaai Hogi,.

Mera To Mukaddar Hai Barbaad Hote Rehna, Afsos Na Karo,.
Shayad Khudaa Ne Meri Aisi Kismat Banaai Hogi,.

__________________________-Jaanasheen-

Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: December 30, 2008, 07:48:41 PM »
Bhoot khoob Poojaji.....
INSAAN unko kaise keh diya aapne
Insaano ki surat me Shaitaan hain wo

un do line-no me yeh kaha hai....
 
Mugalto(Galat-fehmion) me ab faasle ho gaye hai itne lambe ki
Kehfiat(safai) koi de bhi to kaise, aawaj k daire se dur(beyond the range of sound) ab hain

Anaam

shukaria Anaam ji...

bahoot achi lines likhi hai apne, sarlarth(shabdo ke arth) ke liye shukaria, warna such much apki likhi lines ka arth samjh main nahi atta.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: December 30, 2008, 07:49:09 PM »
Bahut Khoob Likha Hai aap ne Pooja Ji
Kuch maine bhi likhne ki koshish ki hai

Khud khilona bana hua hai insaan
Apno mein khelta rahta hai insaan

Zakham bhi deta hai yahi insaan
Dardon ko  bhi jhelta  hai yeh insaan

Apne ko kashoorwar kahta hai insaan
Khud hi khud ka aaina hai yeh insaan

Haywaaniyat par bhi utar aata hai insaan
Jis waqt vijay ko chahata hai har insaan

bahoot khoob Rajesh ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: December 30, 2008, 07:53:12 PM »
Bohat Achche Rajesh Bhaiya,.

Main Hoon Jahaan, Wahaan Meri Tanhaai Hogi,.
Har Taraf Khamoshi Ki Bahaar Chaai Hogi,.

Mujhse Koi Humdardi Na Jataao Mere Doston,.
Mere Saath Tumhaari Bhi Kismat Ke Sath Ladaai Hogi,.

Mera To Mukaddar Hai Barbaad Hote Rehna, Afsos Na Karo,.
Shayad Khudaa Ne Meri Aisi Kismat Banaai Hogi,.

__________________________-Jaanasheen-

wah kaya baat hai.... last do line kamal...

jis per ho bharosa, khuda bhi use he ajmaata hai
ji rahe un to na jaane kitne insaan,
mar mar ke jeena, yah kuch logo ko he atta hai

sir chad kar jab dasne lagi yah tanhaai mujhe
aise main phir koi aor hosh kaha rah jaata hai

jis per ho bharosa, khuda bhi use he ajmaata hai.....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 12:08:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.402 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer