··¤(`×[¤(Gumon ki Mehfil)¤]×´)¤··

by Naya_Daur on March 13, 2006, 06:19:23 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Author  (Read 5267 times)
nirbhay
Guest
«Reply #75 on: March 21, 2006, 01:21:15 PM »
Aare ye Jeet koi chipa rustam to nahi. . . . . . .Fantastic One yaar!!!!

Majboor hoon itna ke
Lavz mein na jawab hai koi
koi marhum na iska na elaaj hai koi
dard-e-dil ki dawa humein lafa de koi!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mehfil by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
mehfil by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
mehfil,... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Gumon ka caravan... by Silence in Shayri-E-Dard
Zindgi gumon se ndhal hai by daadaulasad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #76 on: March 21, 2006, 04:06:29 PM »
bahoot khoob Jeet and Neer!!!

dil ke dard ki gahraai
kya is andhery raat se jayada hai?
iska to ho jayega sawera
kaya mere dard ka bhi koi kinara hai?

Toot gaye jo sapne sare
unko kahan main laker jaau
mar jaaye to, shamshaan hai sara
inko dufnaane, kahan main le jaau

waqat hai dawa, her waqat ke jakham
kisi bhi mehfil mai, mulhum na paau
barso baad bhi, tere naam se nikal gaye ansoo
in gumo ki mahfil ka, ant mai kaha se paau!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #77 on: April 24, 2006, 11:30:44 AM »
socha nai  tha kabhie yahan ,is thread mein , post karne ka mauka milega ...lekin kismat phir se ussi mukaam par lae aayi ...


ajj phir Ghum ki mehfil mainne sajjai hai
na chahte huye dil mein yaad phir se teri  aayi hai

socha  tha bhool jaonga tumko ek din
lekin dil se dhadkan kab juda ho payi hai

jo dekha hai kabhi haste hua chehra kissi ka
Agg tere naam ki iss dil ko lagai hai

Abb ghum  hadh se badhne lagga hai
yeh kaisi kasak tumne lagai hai

NA jaam se yeh agg bujh saki
mainne toh har dawa darro ajjmai hai

zindagi abb be-maksad lagti hai tere bagair
har lamha tunne be-chaini badai hai

koi bata de ,kya karun aab in saanson ka
mera toh rehnuma hi harjai hai ... !!!


------------------------

Meri Zindagi hai, Zindagi kahan ...
main toh ab sansein khich raha hoon ...
[/color]

_______________
»»MY««[/size]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: April 25, 2006, 03:15:03 PM »
bahoot khoob Jeet!!

Armaan dil ke, kahin door muje le jaaty hai
Aor bahoot pass tumhe, mere le atty hai

Sochati hu, khain tujse bhi door chali jaau
Magar khawab kaha kabhi kuch sun paaty hai

Jab bhi chahkti kaynaat mujko najar atti hai
Ek teri yaad phir se dil mai utar jaati hai

Apne hi jakhmo se hum maat khane lage
Khud ke saye se bhi ab to door jaane lage

Na bujh sakegi jo, wo payaas mujko mil gai
Manjilo ka pata nahi, kon si yah raah mujko mil gai
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #79 on: June 14, 2006, 05:59:49 AM »
dil mein armaan hai itne,kis kis ko main kalam karu
har din ek naya khawab,kaise main poora karu

pass jo tum nahi, toh kuch bhi na accha laage
har phool bhi mujhko,kaanton sa chubey...

ashk gir kar,doori ka ehsaas dila jaatein hain
jab tum jaane ki baat karte ho....

ho chuke ho abb itne kareeb  k tum hi abb batao
tumhare bina yeh zindagi , abb main kaise bassar karu !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: June 14, 2006, 02:42:59 PM »
her dil ka armaan, so so khawab dikhata hai
haqiqat se bahoot door, asmaan mai le jaata hai

man dolta hai khawabo mai, khawab ek haqiqat sa najar atta hai
jaise he hoti hai pahchan haqiqat se, her armaan chaknachoor ho jaata hai
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #81 on: June 16, 2006, 04:37:59 AM »
bhut khoob pooja ji ....:D
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #82 on: June 16, 2006, 05:01:55 AM »
Shukaria ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #83 on: June 17, 2006, 06:23:50 AM »
Wowwwwwwwwww
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #84 on: June 20, 2006, 03:41:17 AM »
dard hi dard apne hisse likhta chala gaya
aoron ke naam mein khud ko dhoondta raha

aapne hathon se khoon karke iss dil ka
uske ghar mein ghee ke diya jalata raha

ki itni mohhabat phir bhi rass na aayi usse
di itni dua,phir bhi ussi se jaffa payi maine

dil tutta,zakhm phirse ubarane laage
aapne hi hathon in par,main namak lagta raha ...!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #85 on: June 20, 2006, 04:18:20 AM »
Gud one Jeet Praah

Beshakk humne tuhe Deewano ki tarah Chaha.....
Toh dekho humne hai Kya saja paayi.....

Na mila koi Janaza uthane ko bhi.....
Khud ke hee armaano se humne apni Arthi hai jalayi......

Kya mila chaha ke tumhe Nark me bhi sabne iss Sawaal pe ungli uthai.....
Humne kaha Galti nahi thi unki hum hee ne Dard ki Mehfilen thi sajayi.......!!!!!!!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #86 on: June 20, 2006, 05:10:12 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"


Humne kaha Galti nahi thi unki hum hee ne Dard ki Mehfilen thi sajayi.......!!!!!!!!!!



last line  toh superb hai gaurav
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #87 on: June 20, 2006, 05:18:32 AM »
Dard ki mehfil mai khud hi khud ko sajaya hai
kaya kahe is dard mai, kaya kaya humne paya hai

khud mai intzaar, khud mai hi bejaar hote hai
kabhi khud per, kabhi apni bebasi per rote hai

chaha jise jitna, wo utna hi dard de gaya
mera yah dil, bas jakhmo se bhara rah gaya

na ayye ab koi, ki tanhaai mujko bhai hai
Pooja ne apne app ko bas ab yahi saja sunai hai!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #88 on: June 20, 2006, 05:23:48 AM »
Quote from: "Pankhuri2"
Dard ki mehfil mai khud hi khud ko sajaya hai
kaya kahe is dard mai, kaya kaya humne paya hai

khud mai intzaar, khud mai hi bejaar hote hai
kabhi khud per, kabhi apni bebasi per rote hai

chaha jise jitna, wo utna hi dard de gaya
mera yah dil, bas jakhmo se bhara rah gaya

na ayye ab koi, ki tanhaai mujko bhai hai
Pooja ne apne app ko bas ab yahi saja sunai hai!!!


Thnx Jeet and Gud one Pankhuri.....bahut khubsurat likha hai

Gumon ki Mehfil jo aaj tumne sajayi hai.......
Jarur ki aaj phir mannmaani or kari dard se ladayi hai......

Kab talak yoon khud ko tum manaoge......
Raah dekho ek warna Raahgir hee bann jaoge.....

Chahaton ka Asar hai yeh kabhi na yeh tham payega......
Jo dia hai Gum aur Dard kisi ne toh Jindagi ka Zakhm bhi khil jayega.......!!!!!!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #89 on: June 20, 2006, 05:34:42 AM »
wah kay abaat hai badnaam shayar ji, haqiqat bayan kar gaye app,... bahoot acha likha hai.

kab kaha yah dil kisi ki mana hai
joote ki nok per yah zamana hai

kisi ki kaya majal jo yah dil dukha jaaye
kaya kare jab hum apne hi dil se haar jaaye

samjhati hu khud ko, per yah dil nahi manta
ho chuka hai pathar, khud ko hai bahoot majboot manta

Phir bhi is pathar se jharna bah hi jaata hai
kabhi kabhi, socho mai ghir kar, yah dil bhi ro jaata hai
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 03:43:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer