Na KiyA HAi Na kArEnGe[meri ek aur khosish!!!]

by roshni246 on May 20, 2006, 02:28:25 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2086 times)
manu1979
Guest
«Reply #15 on: May 22, 2006, 04:37:35 PM »
Quote from: "roshni246"
meri ek choti si nanni si pyaari si khoshish!!! Puzzled !  Puzzled !



izhaar-e-tamanna na kiya hai na karen ge
yoon ishq ko ruswaa na kiya hai na karen ge

saathi se taqaaza na kiya hai na karen ge
hum ne kabhi aisa na kiya hai na karen ge

jis baat ke sun'ne ko hai be-taab zamaana
us baat ka charcha na kiya hai na karen ge

jo dil pe sitam dhaate hain, dhaate hi rahen ge
hum ne kabhi shikwa na kiya hai na karen ge

jal jaayenge par aek bhi sho'la na uthe ga
hum ne yeh dikhaawa na kiya hai na karen ge

insaan hain hum, koi farishte to naheen hain
aisa kabhi daa'va na kiya hai na karen ge

hum pehnen ge khud apna kafan apne hi haathon
auron pe bharosa na kiya hai na karen ge


~rosh~


hi roshni ji aap ne bahut khubsurat likha hai mai ismai kuchh lines add krta hu

tu hi mera aksh hai tu hi meri parchhayi hai
khud se kabhi  dhoka na kiya hai na karen ge

Baat niklegi jo chand ki nazar rukegi tumhi par
Yun nigaaho se parda na kiya hai na karen ge



i hope u like d same
regards
manu
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kiya ab bhi meri jhalak Khuwab Mein Aati Hai (Akash) by akash03453400042 in Shayri-E-Dard
~~~ Hum intazar karenge ~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jab meri maut ka vo nazaara karenge by sarfira in Songs & Lyrics
Mera dil Ne Meri Saanso Ko Gulam Kiya by pawan16 in Miscellaneous Shayri
roshni246
Guest
«Reply #16 on: May 22, 2006, 04:42:05 PM »
ohh thxx manu ji!!! and aapne bohot achi lines likhi ahian!! thxx 4 sharing
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: May 23, 2006, 08:31:31 AM »
Nice One Monu Ji And Roshni Ji,..

Jaane Wo kaise Log The Jinke Pyaar Ko Pyaar Mila,..
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaanton Ka Haar Mila,..

Bichard Gaya Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath.,..
Kisko Fursat Hai Jo Thaame Deewaane Ka Haath,..
Humko Apna Saya Tak Aksar Bezaar Mila,..

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Jee Lenge,..
Uff Na Karenge Lab See Lenge Aansoon Pee Lenge,..
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila,..

_____________________________________________
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #18 on: May 23, 2006, 12:32:26 PM »
Paesh qadmoon mein tere nazrana e dil bhi karein
Yaad aaey to teri yaadoon ko meh fil bhi karein
kashtiyaan ankhoon se jab door nikal jaati hain
hum to hum yaad tujhay ro ro kar sahil bhi karein

Hum dewanay to tere ghum ke bhi hain dewanay
chaut bhi khaein aur sabr o tahammul bhi karein
ek sayyane ne kaha hai sitamgar ban ke tum  
ek sitamgar se muhabbat bhi taghafull bhi karein
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #19 on: May 23, 2006, 01:14:17 PM »
Quote from: "roshni246"
thxx a lot sis !!!
and azeem ji bohot khoob!!!

Tum ne to keh diya.. mohabbat na mili
Mujh ko to yeh bhi kehne ki.. moh'lat bhi na mili

Neendon ke desh jaate.. koi khawab dekhte
Lekin diya jalane se..  hume itni fursat bhi na mili

Tujh ko to khair shehar ke.. logon ka khouf tha
Our mujh ko apne ghar se.. ijazat na mili

Be'zar yoon huye ki.. tere e'had main hamain
Sub kuch mila.. sakoon ki doulat nahi mili


~rosh~



bahut hi khub likha hai roshani ji ap ne sach mai
 
Milna tha iteefaq, magar bichadna mera naseeb tha
Woh mujh se door hota gaya jitna mein kareeb tha.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #20 on: May 23, 2006, 01:22:24 PM »
thxx manu ji and gud one 2!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #21 on: May 23, 2006, 02:16:40 PM »
jo dil ke haalaat hai, kaise unko samjhaayein
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein

pehle yeh mausam na the, yaa fir aise hum na the
beshaq khushiyaan kam thi par, aise to ghum na the
hum dil ko kya batlaayein, koi humko samjhaaye
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein

aisa bhi haasil hai kya, jo qaraar kho diyaa
kisi ne chhookar humko,nayaa ashiyana saja diya
kuchh to hum bhi samjhe, to kuchh unko keh paayein
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: May 24, 2006, 09:47:04 AM »
Nice One Roshni Ji,..

Mera Haal Dekhkar Doston Ne Bhi Apna Daman Bachaya,..
Ke Ek Bewafaa Ke Pyaar Ki Khateer Humne Apna Sab Lootayaa,..

Bahoot Humdard The Sab Mujhse Jab Roshan Tha Main,..
Aaj Unhone Hi Mera Har Charaag Mohabbat Ka Bhujaayaa,..

Kya Shikwa Karoon Main Gairon Ki Meharbaanion Ka Jaanasheen,.
Ye Zakham Gairon Ke Nahi Ye Maine Apno Se Payaa,..

__________________-Azeem-_________________
Logged
roshni246
Guest
«Reply #23 on: May 24, 2006, 09:49:36 AM »
sad5 :cry:
no roshni ji
sirf roshni plzz

awesome reply azeem ji!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: May 24, 2006, 11:10:59 AM »
Acha Bhabhi,..
Aur Shukriya,..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #25 on: May 26, 2006, 08:00:21 PM »
Apni to nind udd gayi hai tere fasaanoN maiN
Maheer haiN too bhee mujh ko ajmaane maiN

Tumhe jahan se mitaana tha par mitaa na saka
SochtI hu mushkil kahaN thee bhulane maiN

RaateiN katti hai ab to karvat badalate sanam
Nigaahe masruf hain khwabo ko manane maiN

Taar-e-ashq hi mere rukhsaar ke gahne bane
Zindagi ulzi rahii akhshar ise sajaane maiN

Mere dard bhi tere sitam ke diwaane ho gaye
Kuchh luft aane laga ab to chhot khaane maiN

Hamane halaat ka naam majboori kar diya
Lage hain ab toote rishto ko bachaane maiN

Taarik-e-gham ko maine dil se hataane maiN
Jalaali ungliyaaN charaago ko jalaane maiN


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: May 27, 2006, 10:07:24 AM »
Quote from: "roshni246"
Apni to nind udd gayi hai tere fasaanoN maiN
Maheer haiN too bhee mujh ko ajmaane maiN

Tumhe jahan se mitaana tha par mitaa na saka
SochtI hu mushkil kahaN thee bhulane maiN

RaateiN katti hai ab to karvat badalate sanam
Nigaahe masruf hain khwabo ko manane maiN

Taar-e-ashq hi mere rukhsaar ke gahne bane
Zindagi ulzi rahii akhshar ise sajaane maiN

Mere dard bhi tere sitam ke diwaane ho gaye
Kuchh luft aane laga ab to chhot khaane maiN

Hamane halaat ka naam majboori kar diya
Lage hain ab toote rishto ko bachaane maiN

Taarik-e-gham ko maine dil se hataane maiN
Jalaali ungliyaaN charaago ko jalaane maiN


~rosh~

Nice One Bhabhi,..

Neend Bhi Humse Rooth Gayi Jab Se Tum Humse Roothe,..
Jaane Kya Galti Hogayi Mujhe Jaanasheen Anjaane Mein,..

Aaj Bhi Yaad Karte Hi Teri Chahat Ko Aankh Bhar Aati Hai,..
Tune Bhi Koi Kasar Na Chordi Meri Hasti Mitaane Mein,..

Ab Kya Shiwa Karein Kya Gila Kare Tumse O Be-Rehem,..
Ke Humne Hi Loota Diya Sab Kuch Apna Tujhe Apna Banaane Mein,..

Galat Tha Main Ke Ek Be-Dard Se Rishta Jorda Use Apna Samjha,..
Aur Apno Ne Hi Lagaa Di Aaag Mere Abaad Aashiaane Mein,..

Gairon Ke Saath Milke Tune Bhi Mujhpe Sitaam Dhaya,..
Tujhi Ko Samjha Tha Maine Apna Is Be-dard Zamaane Mein..

Jaa Ab Khushiaan Manaa Meri Barbaadi Par Jaanasheen,..
Tera Iradaa Mukkammal Hogaya Hamare Dil Ko Jalaane Mein,..

_____________________-Azeem-______________________
Logged
roshni246
Guest
«Reply #27 on: June 03, 2006, 01:06:03 PM »
gud one JS


kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri

aake lag ja gale ke ab raha jai na
dil bholane se bhi nahi bholta woh batein teri

kab se meri aankho ko nind aati hi nahi
bahein mangti hai mujh se ratein teri

tu chala jata hai tu jaan nikal jati hai
tere aane se laot aati hai ye sanse meri

kab talak ye lamha judayi ka rulaiyega mujh ko
dil laga baithein hai sine se bas ab yaadein teri

meri rooh main basker tum ja paoge kaha tak jaana
laot ke le ayegi fir paas tumhe wafaye meri

jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi
tum ko bola rahi hai ye bahein meri

kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bahot roti hai ye aankhein meri......


~rosh~
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #28 on: June 03, 2006, 06:24:22 PM »
wonderful    Roshni................  Nirbhay........ and all........
Logged
roshni246
Guest
«Reply #29 on: June 03, 2006, 06:25:41 PM »
wah wah my big bro in my thread........!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 11:37:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer