*Na Manjur Tha*

by Roja on October 09, 2007, 11:34:27 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 1842 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: December 20, 2007, 05:22:47 PM »
Thanks Kudrat ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumari mohabat bhi manjur nahi by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #16 on: December 20, 2007, 05:28:37 PM »
Likhi hai gazal maine, dil ka lahoo nichod kar
Kaun manega is baat ko, sirf tumko chorkar

Bhatak rahi thi mai yahan, zindagi ki rahon main
Mil gaye they, tum mujhe yahi kisii mod per

Hum na honge kabhi juda, sath rahenge tha-umr
Yahi kaha tha tumne, dil se dil ko jodkar

Khelna tha DILSE mere, tum bhi jee berke khele
Ber gaya jab jee tumhara, rakh diya dil todkar

Tadap-tadap dham toda dil ne aur tum rahe dekhte
Phoot pada tha lahoo ka jharna kayi chattane fhodkar

Sane khoon se haat mera, hina ka sabne naam diya
Dafnaya nahi hame kisii ne, pade rahe kafan odkar

Pahunch kar shamshaan main "Roja" padenge us kitab ko
Rakh diya tha jise kabhi ek panna modkar
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #17 on: December 20, 2007, 06:18:28 PM »
Roja

Behtareen ! Bahut he umda likha hai tumne !

Keep going !
Logged
sapnaa
Guest
«Reply #18 on: December 23, 2007, 04:52:33 AM »
Likhi hai gazal maine, dil ka lahoo nichod kar
Kaun manega is baat ko, sirf tumko chorkar

Bhatak rahi thi mai yahan, zindagi ki rahon main
Mil gaye they, tum mujhe yahi kisii mod per

Hum na honge kabhi juda, sath rahenge tha-umr
Yahi kaha tha tumne, dil se dil ko jodkar

Khelna tha DILSE mere, tum bhi jee berke khele
Ber gaya jab jee tumhara, rakh diya dil todkar

Tadap-tadap dham toda dil ne aur tum rahe dekhte
Phoot pada tha lahoo ka jharna kayi chattane fhodkar

Sane khoon se haat mera, hina ka sabne naam diya
Dafnaya nahi hame kisii ne, pade rahe kafan odkar

Pahunch kar shamshaan main "Roja" padenge us kitab ko
Rakh diya tha jise kabhi ek panna modkar


wow..bahut khub..heart-touching one roja..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: December 24, 2007, 04:38:09 PM »
BAHUT KHOOB ROJA...
Logged
paani
Guest
«Reply #20 on: December 25, 2007, 11:02:58 AM »
Nice Roja... n all
Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: December 31, 2007, 01:54:17 PM »
Thanks sapna, Kwaish ji, & Paani
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: December 31, 2007, 01:55:54 PM »
Nice On Roja sis,.

Aandhero se hi kar li hai dosti humne,
Ujaale ab hume bhaya nahi karte,

Dil hi ko bana liya hai faqat apna rafeeq,
Sun lete hai sabki apni kisi se kaha nahi karte..!


Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: December 31, 2007, 01:57:54 PM »
Ladte-jagadte naya saal aa gaya
Musibathon ka fir wahi pahad aa gaya

Socha tha bhool jayenge sab shikhwe-gile,
Naye saal main fir wahi khayal aa gaya

Ektees(31st)December ko jisne ki tauba
Ek(1st)January ko fir wohi jalaal aa gaya

Khayi kasme ab nahi karenge gunah
Lekin, fir wahi dekho saal aa gaya

Kaise kahe "Roja" Naya Saal hai,
Dilon main fir wahi malaal aa gaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: December 31, 2007, 02:05:50 PM »
Jo Guzar Gaya Usko Na Yaad Karo,.
Guzre Palon Me Sadiyon Ko Na Barbaad karo,.

Hum Bhi Hain Aaj Mehfil Me Roja,.
Chalo Humse Hi Mehfil Ko Abaad Karo,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: December 31, 2007, 11:20:54 PM »
Aaj fir kwaiyshon ko dil main jaga dijiye
Tod bandishon chingariyon ko hawa dijiye

Nafraton ka tufaan utaye jahan is.se pehle
Kashtiyan chahat ki sahil se laga dijiye

Dil ka zakham kahi nasur na ban jaye
Ban ke charaghar koyi to dawa dijiye

Fir sulag ute hauslon ke shole
Bhuji-bhuji-si aag ko hawa dijiye

Reh-reh ke jo yaad unki dilaye "Roja"
Aisi unki her nishani ko hata dijiye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: January 03, 2008, 03:17:40 PM »
Nice One Roja Sis,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: January 13, 2008, 08:25:46 AM »
Thanks Jaanasheen bro
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: January 13, 2008, 08:29:29 AM »
Kisii ke hisse main khushiyon ke bandar hai
Kisii ke ghar main andhakar hi andhakar hai

Ajab khel hai zindagi teri dunia main
Koyi haat liye khali kisii haat main talvar hai

Mai akeli hi tair rahi hu gam ke samandhar main
Na.khuda hai mera, na kashti, na koyi patwar hai

Mujhe maaf kar tere kisii kaam na aa sakhungi
Ki badla hua hayaat .. halat bade dushwar hai

Tujhko pane ki aas "Roja" dafan kar di seene main
Chahat main ab izhaar hai na intezar hai
Logged
anupam saxena
Guest
«Reply #29 on: January 13, 2008, 08:43:46 AM »
Very nice Roja ! keep it up !
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 05:41:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer