RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10]
Print
Author  (Read 6851 times)
phoenix
Guest
«Reply #135 on: August 29, 2006, 05:59:46 PM »
na karo gum ko pyaar itna
ki gum ka maaza bhi adhura lagne lage
na karo ruswa yaar ko itna
ki maut ki saaza bhi kam lagne lage

nahi hota deedar toh baichaini hoti hai
wo hote hain jo mehfil mein toh aag si lag jati hai
aati nahi simat kar yaado.n mein meri
tu khwab hai ya haqiqat hai zara ye toh bata ja

har raat ko sitaro.n me tera inteezar kiya karte the
pata hai tum nahi aaoge
par tere rasta bhulne ka inteezar kiya karte hain
ek khalish ek ghaav ek nasoor bankar jiya karte hain

marham ki khwahish toh jeene wale karte hain
hum unme se hain jo har raat mita karte hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #136 on: August 30, 2006, 09:24:58 AM »
woh mujhse khafa khafa bhi hai aur hai diwaana bhi
yahan maut ke saath saath chal rahi hai zindgaani bhi

dhoond rahe hain hum zindagi mein us maye ke pyaale ko
jo bujha de payaas dil ki  fir is dil ko rakhe payaasa bhi

chahate  hain hum woh bahaar yahan
jo khilti rahe phoolo si har pal per  saath de veraana bhi

dil ka aaeina rakh diya hai tere saamne hamane
ab tu dekh ke apna aqs  kaash isko pechaane bhi !!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #137 on: September 12, 2006, 05:57:16 PM »
dard e dil chuppa k dekh liya
pathar ko khuda bana k dekh liya
nahi aata koi aanso poonchne k liye
iss lahoo ko aankho se baha kar dekh liya

har raah mein mandir bana k dekh liya
rote hue ko haasa k dekh liya
iss rooh k ghaav par bhar na paaye kabhi
humne teri tehzeeb ko apna k dekh liya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #138 on: September 12, 2006, 06:20:53 PM »
yun aa kar na bole tum
per ek janam yun hi beet gaya

kuch kaha kuch ankaha se
yeh jeevan yun hi reet gaya

khaomosh rahe lab hamaare
per nayan apni bhasha bol gaye

mann jo kahi jeete  they
woh hum jeet  kar bhi kyu yun tute se reh gaye!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #139 on: September 12, 2006, 06:28:57 PM »
amaavas mein roshni se umeed kaun kare
jab dost ban jaaye kaatar toh jeene ki justju kaun kare
har lamha jab tham jaaye dhadkane bar bar
fir dil k dhadakne ki umeed kaun kare
rishto mein aa hi jaaye darrar
fir ise bharne ki naakam koshish kaun kare
Logged
ranjana
Guest
«Reply #140 on: September 13, 2006, 04:02:44 AM »
tutate kinaare fir se kahan jud paate hain
kuch rishte bhi dilo per bojh ban jaate hain
chalate hain jab waqt badalne ke silsile
toh haat mein sirf dhalte saaye hi nazar aate hain
dhar dete hain ilzaam dusaro per zindagi ki andhari raato ka
per kabhi apne dil se poocho khud kitne dil se hum wafa kar paate hain!!
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 08:50:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer