Saans Hawaa Ban Kar Seene Ki.....

by Aryaan on July 13, 2005, 09:13:42 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2411 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: July 15, 2005, 03:09:18 PM »
Yeh zindagi bohat mukhtaser hai khayaal kar le
Taa'luq jo tu ne toaraa hai bahaal kar le
Numm aankh liye ghar se na nikla kar
Kahin aisa na ho tujh se koi sawaal kar le
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hawaa Ghamon Kii,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Hawaa chaley saanyn-saanyn; raat jamhareeree! by abdbundeli in Ghazals
hawaa chhutne wali hai by rahulbhandari3 in Other Languages
Mujhe Aur Hawaa Dene Lage by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #16 on: July 15, 2005, 04:44:37 PM »
Quote from: "Aryaan"

Saans hawaa ban kar seene ki aatish ko barhkaaye tau
Jeevan phir bhi jeevan tehra, daaman maut bachaaye tau

Kaise jeete hain jeevan mein, kaise sath nibhaate hain
Aa kar thaam le koi hum ko aur koi samjhaaye tau

Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau

Apni maazi ki yaadon ke hum iklaute waaris hain
Jo bhi maang raha hai hum ko, unn ko bhi apnaye tau

Hum bhi bilkul toot gaye, unki bhi hain aankhein num
Lekin apne beech mein aa kar baat koi suljhaye tau

Khud ko ruswa karne se behtar hai khaamosh rahein
Aa kar beech kahaani mein tum jo kahin ghabraye tau

Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau.....


lovely ARYAAN,very nice pooja ji.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: July 15, 2005, 04:57:56 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"

lovely ARYAAN,very nice pooja ji.

Thanx alot Nidhi.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: July 27, 2005, 01:12:22 AM »

Koi kabhi unn chehron ko bhi parhey
Jo afsaanon ki tarha hote hain
Woh aankhein jin mein shokhiyon ki jagah
Gehrey gehrey samander hote hain
Woh hont jinhon ne hansi ki bajaye
Chup ki chaadrein orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazaar khwahishein nahi
Tootey huwe armaan chupey hote hain...
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #19 on: July 27, 2005, 06:43:39 AM »
"Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau"
WOW aryaan bahut achaa likha hai par yeh line toh dil ke aar paar hee hogaye.......very touching!!!

Aur sab na bhi kamaal likha hai.......GOOD JOB!!!!...tareef ke kabil hai......nice nice!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #20 on: July 27, 2005, 07:05:22 AM »
Quote from: "Aryaan"

Saans hawaa ban kar seene ki aatish ko barhkaaye tau
Jeevan phir bhi jeevan tehra, daaman maut bachaaye tau

Kaise jeete hain jeevan mein, kaise sath nibhaate hain
Aa kar thaam le koi hum ko aur koi samjhaaye tau

Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau

Apni maazi ki yaadon ke hum iklaute waaris hain
Jo bhi maang raha hai hum ko, unn ko bhi apnaye tau

Hum bhi bilkul toot gaye, unki bhi hain aankhein num
Lekin apne beech mein aa kar baat koi suljhaye tau

Khud ko ruswa karne se behtar hai khaamosh rahein
Aa kar beech kahaani mein tum jo kahin ghabraye tau

Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau.....


wow wonderfull Aryaan ji.............
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #21 on: July 27, 2005, 09:36:38 AM »
Quote from: "Aryaan"

Koi kabhi unn chehron ko bhi parhey
Jo afsaanon ki tarha hote hain
Woh aankhein jin mein shokhiyon ki jagah
Gehrey gehrey samander hote hain
Woh hont jinhon ne hansi ki bajaye
Chup ki chaadrein orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazaar khwahishein nahi
Tootey huwe armaan chupey hote hain...


wah aryaan,ek ek alfaaz me dard hi dard hai,excellent.
Logged
dolly
Guest
«Reply #22 on: July 27, 2005, 01:14:09 PM »
Quote from: "Aryaan"

Saans hawaa ban kar seene ki aatish ko barhkaaye tau
Jeevan phir bhi jeevan tehra, daaman maut bachaaye tau

Kaise jeete hain jeevan mein, kaise sath nibhaate hain
Aa kar thaam le koi hum ko aur koi samjhaaye tau

Inn ashkon se doob ke aakhir hum ne hansna chaha hai
Na-mumkin ko mumkin karna koi hamein sikhlaaye tau

Apni maazi ki yaadon ke hum iklaute waaris hain
Jo bhi maang raha hai hum ko, unn ko bhi apnaye tau

Hum bhi bilkul toot gaye, unki bhi hain aankhein num
Lekin apne beech mein aa kar baat koi suljhaye tau

Khud ko ruswa karne se behtar hai khaamosh rahein
Aa kar beech kahaani mein tum jo kahin ghabraye tau

Yeh lo duniya waalo tum par Aryaan ne khud ko waar diya
Ab tum mein se koi aaye, aur ussey dafnaaye tau.....


bahut bahut hi achha hai Aryaanji..veryyyyyy nice......aapki post pad kar jeewan ki sachaai pata chal jaati hai.toooo guudddd....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: July 27, 2005, 02:14:24 PM »
Bohat shukriya Isha, Nikki, Nidhi & Dolly.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: July 27, 2005, 02:39:46 PM »
Dono poems bohot achchi hain Aryaan......beautiful..as always..... and nice all.... !!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: July 28, 2005, 02:34:34 AM »
Quote from: "Talat"
Dono poems bohot achchi hain Aryaan......beautiful..as always..... and nice all.... !!!!!

Bohat shukriya Talat.......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: July 27, 2006, 10:43:03 AM »
Too good...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: July 28, 2006, 09:46:12 PM »
Thanks Angel... Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 12:12:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer