Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 27
Print
Author  (Read 21715 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #60 on: April 25, 2008, 08:42:39 PM »
Wah wah ...kya asha'ar hain Sayyid....!!


Shukriya Celmira ji !  icon_salut
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
syednaami
Guest
«Reply #61 on: April 25, 2008, 08:47:19 PM »
Ab shayad aese likhna padega.....

mail pe aansoo ghir rahe hen or keyboard khamosh he  Laughing hard

Hum ne sanam ko email likha
email woh spam folder men attak gaya.
Kabutar bhi khat lejaya karte the aur phir unka haal yeh hota tha.

pahunche ye khat jaane kahaa,
jaane bane kyaa daastaan
 Laughing hard
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #62 on: April 29, 2008, 03:19:44 PM »
Subhan Allah,.
Wakhai Sabki Peshkash Kaabeel-e-Taareef Hai,.
Khushi Hai Ke Sab Yahaan Behtareen Se Behtareen Shayari Post Kar Rahe Hain,. Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #63 on: April 29, 2008, 03:22:09 PM »
Dil Jala Hoon Bahot Main Saari Dunya Jala Doon
Uss Ki Raahon Ki Saari Roshni Mein Bujhadon!!

Janay Her Baar Mere Sath Yeh Hojata Hai
Mai Jissay Chahta Hoon Mujhse Woh Kho Jata Hai

Yah Bata Day Hamaray Pyar Mai Kiya Kami Hai
Mere Ankhoon Mai Dekhoo Ajj Kitnee Nami Hai!!

_______________________________-NM-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #64 on: April 29, 2008, 03:31:12 PM »
Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahi Sakta,.
Mera Jawaab Kahin Se Tu Laa Nahi Sakta,.

Hazaar Parde Bhi Daalo Agar Banawat Ke,.
Dilon Ki Baat Ko Chehra Chupaa Nahi Sakta,.

Banaa Diya Hai Zamaane Ne Dil Ko Patthar,.
Sataaye Koi Bhi Mujhe, Koi Rulaa Nahi Sakta,.

Haseen Taj Mahaal Ko Banaane Waala Bhi,.
Dilon Ke Toote Gharon Ko Banaa Nahi Sakta,.

__________________________-Naseem Akhtar-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: April 29, 2008, 04:14:22 PM »
nice sharing Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #66 on: April 29, 2008, 04:44:15 PM »
Shukriya Didi,.
 notworthy
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #67 on: April 29, 2008, 04:52:14 PM »
Ek Aur Peshkash umeed hai Aap Sabko achchia Lage,.

Aap Jinke Kareeb Hote Hain,.
Wo Bade Khush Naseeb Hote hain,.

Jab Tabiyat Kisi Pe Aaati Hai,
Maut Ke Din Kareeb Hote Hain,.

Mujhse Milna Phir Aapka,.
Ab Kisko Naseeb Hote Hain,.

Zulm Sehkar Uff Nagi Karte,.
Un Ke Dil Ajeeb Hote Hain,.

+_______________-Nooh Narvi-
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: April 29, 2008, 05:00:41 PM »
Very nice Azeem...
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: April 29, 2008, 05:02:02 PM »
aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa (Ahmad Faraz)

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness]

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love]

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep]

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

[ochhaalaa=upward push]

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #70 on: April 29, 2008, 05:19:49 PM »
nice sharing talat

Harash
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #71 on: April 29, 2008, 06:36:19 PM »
Tamam peshkash behtareen he azeem bhai... yahan haqeeqat me "Sabse Badiya Shayari" ho rahi he.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #72 on: April 29, 2008, 06:39:30 PM »
aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa (Ahmad Faraz)

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness]

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love]

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep]

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

[ochhaalaa=upward push]

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa



Celmira ji Ahmad Faraz sa. ki gazal ke tamam asha'ar behtareen he magar maqta to lajwaab he.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #73 on: April 29, 2008, 07:15:14 PM »
Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahi Sakta,.
Mera Jawaab Kahin Se Tu Laa Nahi Sakta,.

Hazaar Parde Bhi Daalo Agar Banawat Ke,.
Dilon Ki Baat Ko Chehra Chupaa Nahi Sakta,.

Banaa Diya Hai Zamaane Ne Dil Ko Patthar,.
Sataaye Koi Bhi Mujhe, Koi Rulaa Nahi Sakta,.

Haseen Taj Mahaal Ko Banaane Waala Bhi,.
Dilon Ke Toote Gharon Ko Banaa Nahi Sakta,.

__________________________-Naseem Akhtar-


Sabhi ashaar amazing hain, par iss ki to rooh se bhi ashnaayi ho gayi, Naseem Ji ne lajawaab kardiya.

Subhanallah
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #74 on: April 30, 2008, 10:50:27 AM »
Shukriya Talat Ji,.
Sayyid Ji,.
Syed Ji,.

And Thanks For Sharing By Favourite Shayari By Ahmed Faraaz Ji,.
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 06:31:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.265 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer