Talaash...

by Aryaan on July 24, 2005, 03:57:38 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 5395 times)
Tosha
Guest
«Reply #30 on: August 17, 2005, 05:57:03 AM »
Quote from: "Aryaan"


Yeh zara zara si baat par tarha tarha ke azaab kyun
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai

Mujhe laghzishon peh harr ghari koi tok-ta hai baar baar
Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai

Main dhoondta hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho
Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai

Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo
Jahan hirann ko sher se darr na ho mujhe uss jagah ki talaash hai

Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai

Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai

Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai


 Puzzled ! Real thought full ... !!! Amazing Aaryan

taalash hai dharti pe sunhare dino ki
sameet le wo aasun har behal ke
ugal sake wo sona de tareste ko aas

talaash hai uss hawa ke zhoke ke
udra ke lejaye jo daard bhukh se wyakul ka
sukha sake ko zakham uski tadapti aatma ka

taalash hai uss chamakte bhadakte usraj ke
jalade jo nainsafi aur brashthachar jag se
de ujala un bebas aakho ko ki wo khuda ko dekh sake

Taalash hai teri e rahemi khuda, kaha luka daba baitha hai tu
teri umeed hai tera hai aasra, kyo sitam dhata hai tu
andher nahi par itne deer bhi kyo, ghutta hai tera banda zameen pe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
talaash by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
na jaane kis ki talaash hai............ by redwhitegang in Shayri-E-Dard
Talaash by rakeshthp in Shayri for Dard -e- Judai
TALAASH by luvable_vishal in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Talaash karta Raha uski.......!!!!!! by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #31 on: August 17, 2005, 12:36:49 PM »
Thanx a lot Tosha..aur kya khoob reply hai... Bohat khoob!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #32 on: August 17, 2005, 05:39:45 PM »
wah Tosha,aryaan........kya kahoon.......boaht hi khoob likha hai dono ne.....mindblowing.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #33 on: August 18, 2005, 01:15:53 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
wah Tosha,aryaan........kya kahoon.......boaht hi khoob likha hai dono ne.....mindblowing.

Thank you so much Nidhi....
Logged
Tosha
Guest
«Reply #34 on: August 18, 2005, 06:58:23 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
wah Tosha,aryaan........kya kahoon.......boaht hi khoob likha hai dono ne.....mindblowing.

...
Thank a lot Nidhi Ji  Puzzled !
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #35 on: August 21, 2005, 10:52:28 AM »
Thanks a lot all ...
And nice job too ...


Ya dil ka rog ya chahat Khuda kisi ko na de,
Boori bala hai mohabbat Khuda kisi ko na de;

Tadap janoon ya ruswaiaa akelapan,
Kadam kadam ya musibat Khuda kisi ko na de;

Jo chot tune mujhko di na de koi tujhko,
Ya bewafai ki aadat Khuda kisi ko na de;

Zaroori hai to bahut ishq zindagi mein magar,
Ya jaan lewaa zaroorat Khuda kisi ko na de ...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #36 on: August 21, 2005, 03:01:21 PM »
Bohat khoob JHL............................
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #37 on: August 29, 2005, 05:52:32 PM »
Thanka a lot Aryan ...


Zindagi ki ronak ko yu sajaana padta hai,
Dard sehna padta hai gum chhupana padta hai,
Jo hawa se bikhrege un gulo ko dekho to,
Har saba ke jhonke pe jhool jana padta hai ......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: August 29, 2005, 06:46:15 PM »
WAH KAYA BAAT HAI BAHOOT KHOOB JHL JI...

Zaroori hai to bahut ishq zindagi mein magar,
Ya jaan lewaa zaroorat Khuda kisi ko na de ...
 Bahoot khoob!!!


Talaash hai kiski, yah samjh nahi ayya
rutha hai tu, ya ghum gaya hai mera saya!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #39 on: August 31, 2005, 05:57:57 PM »
Bohat khoob JHL & Pooja.............
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #40 on: September 03, 2005, 05:58:25 PM »
Thanks a lot Pooja for understanding my post and thanks too Aryan ...
Nice one Pooja ...

Zaroorat thi hame akele the hum isliye,
Tere saaye ko humne churaya hai,
Sunle aawaz hamare dil ki dil se,
Humne sachche dil se tumhe bulaya hai ...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: September 05, 2005, 01:10:36 PM »
Bohat khoob JHL.....
Logged
bond
Guest
«Reply #42 on: September 05, 2005, 01:14:39 PM »
nice ones all
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: September 05, 2005, 03:16:28 PM »
Quote from: "bond"
nice ones all

Thanx Bond...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #44 on: October 08, 2005, 03:09:10 PM »
Thanks a lot Aryan and Bond ...


Pyaar ki duniya mein,
do dil mushkil se sama paate hai,
Yaha gair to kya,
Apno tak ke saaye bhi nahi aa paate hai ...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 08:25:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer