{{Tere Bina}} ________________ [{angel}]

by angel4u on April 25, 2009, 05:25:47 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 3046 times)
aaina
Guest
«Reply #30 on: April 28, 2009, 05:20:33 AM »
Posting something after a long time...

Tere Bina Ye Safar-E-Zindagi Ko Muqammal Karun Kaise,
Tere Bina Mere Bejaan Naam Ko Main Pehchaan Dun Kaise,

Teri Paak Nazaron Se Utha Har Ek Ilzaam Qubool Hai,
Meri Jaan, Teri Saanson Ki Aahon Ko Sahun Main Kaise,

De Chahe Saza Mujhe Saat Janmon Ki, Na Shikwa Karenge,
Jo Tu Door Door Rahe Mujhse To Is Janam Ko Paar Karun Kaise,

Tamannaon Ke Bhanwar Mein Pisti Chali Gayi Na Jaane Kyon,
Is Doobti Hui Kashti Ko Majhdhaar Se Main Ubharun Kaise,

Mera Sajda Tu Meri Ibaadat Tu Meri Har Dua Ki Aawaz Tu,
Tu Hi Na Sune Meri Sada To Us Khuda Ke Paas Jaun Kaise,

Kehti Thi Tujhe Main Apna Chamakta Sitara, Ab Ehsaas Hua Ye,
Soone Aangan Mein Jo Chaand Banke Aaya Use Sitara Kahun Kaise,

Is Aag Ke Dariye Ko Paar Karein Jo Tera Hath Ho Hathon Mein,
Chal Na Mere Sang!! In Laqeeron Ke Adhurepan Ko Mitaun Kaise,

Teri Baahon Mein Hoti Thi Subah, Teri Panahon Mein Shaam Meri,
Tu Nahi To Apni Khwaahishon Ki Kitaab Ko Anjaam Doon Kaise,

Mere Qabr Ki Mitti Na Jaane Kyon Aaj Rukhi Hai Sanam,
Main Ise Tere Ashqon Ke Mausam Ke Qaabil Banaun Kaise,

Yun Nazrein Na Fer Berukhi Se Dekhke Mera Dafn Hota Hua Jism,
Tujhime Samati Thi, Aaj Tanha Is Andhere Mein Samaun Kaise...


angel ji ek bhut hi khoobsurat ghazal har shair mashallah bhut hi khoob.....you.n hi likhti rahiye.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere bina......... by sweet_gal in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere bina by Sonu in Songs & Lyrics
tere bina by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
~~~tere bina~~~ by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq
*Tere Bina* by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #31 on: May 05, 2009, 06:00:17 PM »
Mujhe Yeh Nazm Khaas Kar Bahut Pasand aayi thi,mere Zehan Mein Yeh Baat Thi Ke Main yahan par Kuch Zaroor likhoon..Ek choti Si koshish,Meri taraf se...

Tere Bin Mehsoos Hota Hai Kuch yuh,
Ke Saans To Leta Hoon Main,
Par Naa Jaane Kyon Jeene Ki Ada Bhool Jaata Hoon...

Taa-Umar Dhoondhta Raha Jo Main Manzil Ishq Ki,
Ab Haasil Hai Mujhe!!
Par Tere Bin,Manzil Tak Pahunch Kar bhi Khush Rehna Bhool Jaata Hoon...

Sawaalo Ke Bheed Mein Uljha Sa Rehta Hoon Main Ab,
Tere Bin Zindagi Ke Kai sawaalo Ko Suljhaana Bhool Jaata Hoon....

Yeh Baat Galat Hai ke Humein Dooriyan Sehne Hi Nahi Aati!!!
Khud Ko Deta Hoon Kasam Ke Tujhe Kuch pal Yaad Naa Karunga,
Par Tere Bin Kambaqt Kasam Kya Hoti hai,Bhool Jaata Hoon....

Tere Bin,Har Naya Din Yehi Sawaal,Ke Ab Din Aakhir Kaise Guzre,
Jhooti Tasalli Deta Hoon Khud Ko Ke Main Bahut Khush Hoon!!!
Par Sach To Yeh Hai Ke Aankhon Mein Aansuo Ko Chupana Bhool Jata Hoon....

Kuch Andaaza nahi Hai Mujhe Ke Raah-e-Waffa Mein,
Aakhir Mujhe  Kis Cheez Ki Talaash Hai!!!
Tere Bin Ek Tanha,BeBas, Beghar sa  Musafir Hoon Main,
Kis Raah Par Mujhe Ab Chalna Hai,Yeh Tak Main Bhool Jaata Hoon...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #32 on: May 05, 2009, 08:53:11 PM »
Good post..

Dard daay kay puchtay hai..
Dard hotaa hay kay..

Ranj daay kay puchtay hai..
Parsash que ho tum..

Hum kahray thay Tere Bina (Jenaa Nahee) ...
Tum Kahraee ho Bina Tere (Jenaa Hai)...

Dard hota hai kayaa..
Koyee poucha zaraa..

Hum kahtay hai Tum..
Tum kahtay hom Hum..

Ques...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: May 06, 2009, 02:53:59 AM »
Bahut bahut bahut khoob Khwaish Ji.
Ispe zaroor kuch likhenge Inshaallah...
Shukriya..

Allah Hafiz.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: May 06, 2009, 02:54:39 AM »
Good post..

Dard daay kay puchtay hai..
Dard hotaa hay kay..

Ranj daay kay puchtay hai..
Parsash que ho tum..

Hum kahray thay Tere Bina (Jenaa Nahee) ...
Tum Kahraee ho Bina Tere (Jenaa Hai)...

Dard hota hai kayaa..
Koyee poucha zaraa..

Hum kahtay hai Tum..
Tum kahtay hom Hum..

Ques...




Bahut hi achha likha hai aapne Qutub Ji.. Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: May 06, 2009, 03:54:32 PM »
Mujhe Yeh Nazm Khaas Kar Bahut Pasand aayi thi,mere Zehan Mein Yeh Baat Thi Ke Main yahan par Kuch Zaroor likhoon..Ek choti Si koshish,Meri taraf se...

Tere Bin Mehsoos Hota Hai Kuch yuh,
Ke Saans To Leta Hoon Main,
Par Naa Jaane Kyon Jeene Ki Ada Bhool Jaata Hoon...

Taa-Umar Dhoondhta Raha Jo Main Manzil Ishq Ki,
Ab Haasil Hai Mujhe!!
Par Tere Bin,Manzil Tak Pahunch Kar bhi Khush Rehna Bhool Jaata Hoon...

Sawaalo Ke Bheed Mein Uljha Sa Rehta Hoon Main Ab,
Tere Bin Zindagi Ke Kai sawaalo Ko Suljhaana Bhool Jaata Hoon....

Yeh Baat Galat Hai ke Humein Dooriyan Sehne Hi Nahi Aati!!!
Khud Ko Deta Hoon Kasam Ke Tujhe Kuch pal Yaad Naa Karunga,
Par Tere Bin Kambaqt Kasam Kya Hoti hai,Bhool Jaata Hoon....

Tere Bin,Har Naya Din Yehi Sawaal,Ke Ab Din Aakhir Kaise Guzre,
Jhooti Tasalli Deta Hoon Khud Ko Ke Main Bahut Khush Hoon!!!
Par Sach To Yeh Hai Ke Aankhon Mein Aansuo Ko Chupana Bhool Jata Hoon....

Kuch Andaaza nahi Hai Mujhe Ke Raah-e-Waffa Mein,
Aakhir Mujhe  Kis Cheez Ki Talaash Hai!!!
Tere Bin Ek Tanha,BeBas, Beghar sa  Musafir Hoon Main,
Kis Raah Par Mujhe Ab Chalna Hai,Yeh Tak Main Bhool Jaata Hoon...



Tere Bin kya subah meri kya shaam meri kuch yaad nahi hia,
tere bin ye bejaan lamho ka matlab hi bhool jaati hoon main,

rukh kare jo teri taraf un hawaon ki talaash mein aqsar,
rooh ka pighalna is dhoop mein bhool jaati hoon main,

teri baahon ki panahein ab bhi yaad hai sanam mujhe,
aaj bhi usme khone ki aas mein apne aap ko bhool jaati hoon main...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: May 06, 2009, 04:16:25 PM »
Bahut bahut bahut khoob Khwaish Ji.
Ispe zaroor kuch likhenge Inshaallah...
Shukriya..

Allah Hafiz.

Thankyou Sooo Much Angel!!!aapko yeh koshish pasand aayi,jaankar bahut khushi hui... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: May 06, 2009, 04:25:34 PM »

Tere Bin kya subah meri kya shaam meri kuch yaad nahi hia,
tere bin ye bejaan lamho ka matlab hi bhool jaati hoon main,

rukh kare jo teri taraf un hawaon ki talaash mein aqsar,
rooh ka pighalna is dhoop mein bhool jaati hoon main,

teri baahon ki panahein ab bhi yaad hai sanam mujhe,
aaj bhi usme khone ki aas mein apne aap ko bhool jaati hoon main...

Wah Wah!! Bahut Bahut khoob Angel!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dard Mohabbat ka Sahe Jaa raha Hoon,
Tere Bin Bas Jiye Jaa Raha Hoon...

Mujhse Koi Naa Puche Mera Haal-E-Dil,
Yeh Soch kar,Apne Ashko Ko Piye Jaa Raha Hoon..

Zakhm Judai Ke Dard Bahut dete Hai "Khwaish"
Apne Zakhmo Ko Apne aap hi siye jaa raha Hoon...

Bas,Tere Bin Jiye Jaa Raha Hoon.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: May 06, 2009, 04:30:09 PM »
Wonderfuly written Khwaish Ji...

Tere Bin Mere Zakhm Mere Humsafar Bane Hue Hai,
Inhe Main Apne Saath Liye Chale jaa rahi hoon,

maana ke mushkil hai raahein meri tanha Tere Bin,
in raahon pe chalte chalte chhalni hue jaa rahi hoon,

saamne tu aa jaaye to kuch dard ka ehsaas bhi ho,
tere bin dard ko daaman mein siye jaa rahi hoon...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: May 06, 2009, 04:51:28 PM »
Bahut Bahut Khoob Angel!! Clapping Smiley Clapping Smiley

Tere Bin Mehsoos Hota Hai kuch yuh!!
Ke jism se jaan Juda Ho Jaise...

Tere Bin Rehta Hoon Kuch yuh Gumsum Sa!!
Khud ka Kuch bhi Pata Naa Ho jaise...

Main Jaanta Asaan Nahi Mohabbat Mein Khud Ko Mita Dena,
"Khwaish" Ko Koi Puche To,
Woh aakhir Kitni Mohabbat Karta Hai,
Uske Naam Se Woh Apna Naam Jodta Hai,
Khud Ka Naam-O-Nishaan Mita Ho Jaise....

APne Haaton Ke Lakeeron Mein Tujhe Hi Doondte Rehta Hai,
Tera Naam In Haaton Ki Lakeeron Mein Likha Ho Jaise....
[/size]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #40 on: May 06, 2009, 05:01:36 PM »
Bahut hi achha likha hia khwaish ji...

Meri lakeerein ab dhundti hai apne safar ka sabab tere bin,
qismat meri kho gayi in laqeeron se jaise tere bin,

sanwre bahut hum tere liye teri nazron mein jach gaye,
ab kya karun is shringaar ka, is roop ka tere bin,

Chal na chalein usi mod par humsafar mera haath thaam le,
ye duniya kya karun, kya karun ye khudayi ab tere bin...
[/font][/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: May 06, 2009, 05:03:46 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya baat hai...Bohot bohot Khoob Khwaish and Angel ...bohot hi dilchasp hai, bohot khoobsurat !!  icon_thumleft
Logged
angel4u
Guest
«Reply #42 on: May 06, 2009, 05:04:52 PM »
Thank you so much Talat Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: May 06, 2009, 05:11:26 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya baat hai...Bohot bohot Khoob Khwaish and Angel ...bohot hi dilchasp hai, bohot khoobsurat !!  icon_thumleft

Thankyou Soo Much Talat!!! Iss Topic Par Kuch Aapse Bhi padhne Mil Jaata...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: May 06, 2009, 05:16:34 PM »
Kya Baat Hai Angel!!! Bahut Ache..

Ab Tere bin Har Taraf Kuch kami Si Lagti Hai,
Saansein Bhi Apni Kuch Thami Si Lagti Hai....

Jab se Hue Hai Door, Eh Mere Humsafar!!
Aankhon Mein Nami Si Lagti Hai...

Tere Bin,Muskurau Bhi To Kaise??
Ab Apni Awaaz Tak Mujhe Sehmi-Sehmi Si Lagti hai...

Tere Bin Har Taraf Kuch Kami Si Lagti hai....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:45:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer